twitter

Kahin tum apni qismat ka likha tabdeel kar letay
To shaid hum bhi apna raasta tabdeel kar letay

Agar hum waqi kam hosla hote muhabbat mein
Marz bahrne se pehle hi dawa tabdeel kar letay

Tumhare saath chalne per jo dil razi nahin hota
Buhat pehle hum apna faisla tabdeel kar letay

Tumhe in mausamoo ki kya khaber milti agar hum bhi
Ghutan ke khof se aab-o-hawa tabdeel kar letay

Tumhari tarah jeene ka huner aata to phir shaid
Makan apna wohi rakhte pata tabdeel kar letay

Wohi kirdaar hain taza kahani mein jo pehle bhi
Kabhi chehra kabhi apni qaba tabdeel kar letay

Judai bhi na hoti zindagi bhi sehel hojati
Jo hum ek dosre se masla tabdeel kar letay

Hamesha ki tarah isbaar bhi hum bool uthe warna
Gawahi dene wale waqiyat tabdeel kar letay

Buhat dhundla gaya yaadon ki rim jhim mein sada dil
Woh mil jata to hum yeh aaiyna tabdeel kar letay

Thursday, October 2, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: