twitter

Zara sa muskuraoo na
Ghamoon ki faseel hai
Wo is qader taweel hai
Ghazab to hai yeh ek nahin
Faseel der faseel hai
Tum is ki har mandair per
Arzooon kay tail say
Charagh e dil jalao na
Zara sa muskuraoo na

Wo phir say yaad aa gaya
Jo rooth ker chala gaya
Ussay khiyal bhi nahin
Kisi ka dil dukha gaya
Ab us ki meethi yaad main
Shaboon ko jag jag ker
Ye ratjagay manaoo na
Zara sa muskuraoo na

Ye gham hamesha aain gay
Ye dil yun hi jala'ain gay
Magar khushi kay aatay hi
Ye gham bhi bhool jain gay
Malool ho kay gham say tum
Zara palkoon pe yoon hi
Sittaray jhilmilao na
Ye ansoo pee bhi jaoo na
Zara sa muskaraoo na

Thursday, October 2, 2008 | 1 comments | Labels:

1 comments:

  1. NAVAL LANGA
    October 4, 2008 at 7:21 PM

    I have just read some of your posts, the poems. I liked the imagination.

    I liked the way in which you put the words in creating the whole scene of a meaning.


    If you are interested in reading short stories and other writings by an Indian author, do visit my blogs.

    Naval Langa