Badal gai hai yeh zindagi ab, sabhi nazaray badal gaye hain
Kaheen pe mojain badal gai hain, kaheen kinaray badal gaye hain
Badal gaya hai us ka lehja, ab us ki aankhain badal gai hain
Wo chand chehra hai ab bhi wesa meray sitaray badal gaye hain
Mila hoon tum say to yun laga hai keh jesay donon hi ajnabi hoon
Kabhi jo mujh ko aziz e jaan thay, wo tor saray badal gaye hain
Kaheen peh badla hai kehnay wala, kaheen pe saam’e badal gaya hai
Kaheen pe aankhain badal gai hain, kaheen nazaray badal gaye hain
Is liye bhi main sir jhuka ker tumhari nagri say chal para hoon
Tha naaz jin per kabhi mujhay wo sub saharay badal gaye hain
0 comments:
Post a Comment