twitter

Mujhay aur kahin lay chal sanwal

Jahan raat kabhi bhi soi na ho
Jahan subah kissi pe roi na ho
Jahan hijer ne wehshat boi na ho
Jahan koi kissi ka koi na ho

Mujhay aur kahin lay chal sanwal

Jahan haath na phalain dar bhi na ho
Jahan roog kisi k ghar bhi na ho
Jahan aazadi ka dar bhi na ho
Jahan tootay phootay par bhi na ho

Mujhay aur kahin lay chal sanwal

Jahan shaher hoon sare wairane
Jahan loog sabhi hoon baigane
Jahan sab k sab hoon dewane
Jahan koi humain na pehchane

Mujhay aur kahin lay chal sanwal

Jahan nafrat dil mein bus na sake
Jahan koi kissi ko dus na sake
Jahan koi kissi pe huss na sake
Jahan koi b gunjal kass na sake

Mujhay aur kahin lay chal sanwal

Jahan dard kissi ko raas na ho
Jahan koi bhi uddas na ho
Jahan zulmat ki boo bass na ho
Jahan too hhi ziada pass na ho

Mujhay aur kahin lay chal sanwal....!!!

Monday, October 27, 2008 | 0 comments | Labels:

Kat he gai judai bhi kab yun hua ke mar gaye
Tere bhi din guzar gaye meray bhi din guzar gaye

Tu bhi kuch aur aur hai hum bhi kuch aur aur hain
Jane wo tu kidhar gaya jane wo hum kidhar gaye

Rahon main he mile they hum rahen nasib ban gain
Tu bhi na apne ghar gaya hum bhi na apnay ghar gaye

Wo bhi gubar-e-Khak tha hum bhi gubar-e-khak they
Wo bhi kaheen bikhar gaya hum bhi kaheen bikhar gaye

Koi kinar-e-ab-e-ju baitha hua hai sarnigun
Kashti kidhar chali gai jane kidhar bhanwar gaye

Tere liye chale the ham tere liye thehar gaye
Tu ne kaha to ji uthe tu ne kaha to mar gaye

Waqt he kuch judai ka itna tavil ho gaya
Dil mein tere firaq ke jitne the zakham bhar gaye

Barish-e-vasl wo huie sara gubar dhul gaya
Wo bhi nikhar nikhar gaya ham bhi nikhar nikhar gaye

Itne qarib ho gaye itne raqib ho gaye
Wo bhi Adeem dar gaya ham bhi Adeem dar gaye ....!

| 0 comments | Labels:

Tohmatain to lagti hain
Roshni ki khahish main
Ghar say bahir aanay ki kuch saza to milti ha

Loag loag hotay hain
Unko kiya khabar ja'ana
Aap kay iradoon ki khubsurat aankhon main
Basnay walay khaboon kay rang kaisay hotay hain
Dil ki good aangan main palnay wali batoon kay
Zakham kaisay hotay hain
Kitnay gehray hotay hain

Kub ya soach saktay hain
Aisi baygunah aankhain
Ghar kay konay khudroon main chup kay kitna roti hain

Phir bhi yey kahani say
Apni kuj bayani say

Is qadar rawani say dastaan sunatay hain
Aur yakeen ki aankhain
Sach kay ghamzada dil say lag kay kitna roti hain

Tohmatain tu lagti hain
Roshni ki khawish main
Tohmatoon kay lagnay say
Dil kay dost ko jaa'na
Ab nidhal kiya karna
Tohmatoon say kiya darna

| 0 comments | Labels:

Yeh kon meray dil main yeh kehta hai keh main hoon
Mehsoos karoon usko to lagta hai keh main hoon

Kon khailta rehta hai na janay koi dil say
Nadaan k haathoon main khilona hai keh main hoon

Yaadain hain k reh reh k sulag uthti hain aksar
Badal koi tham tham k barasta hai keh main hon

Woh rang, woh khushbu, meri ab mujh main kahan hai
Yai shaakh say toota hwa ghuncha hai keh main hoon

Rastay ka mujhay hosh na manzil ki khabar kuch
Toofan main urta hua patta hai keh main hoon

Aanso meray hans hans k yahi pooch rahay hain
Sailab main behta hwa tinka hai keh main hoon

Kuch aur he aalam hai meri zaat main pinha
Dunia main koi aur bhi rehta hai keh main hoon

| 0 comments | Labels:

Dard phail jaye tou aik waqat aata hay
Dil dharakta rehta hay
Arzoo gazidoon kay hoslay nahi chaltay
Dasht-e-bay yaqeeni main asray nahi chaltay
Rah-ro-on ki ankoon main
Manzilen na jab tak hoon, qaflay nahi chaltay
Ik zara tavajo say daikhiye tu khulta hay
Log in per chaltay hain, rastay nahi chaltay
Sochnay samajhnay say, saath saath chalnay say
Doriyan smat'ti hain, faslay nahi chaltay
Khwab khwab aankoon main ratjagay nahi chaltay
Darguzar kay halqay main masalay nahi chaltay
Do diloon ki qurbat main teesra nahi hota
Vastay nahi chaltay
Bakht sathh chalta hay taal-e-azmaon kay
Waqat raam kernay main tujzeeon kay dao kya
Tajrabay nahi chaltay
Ishaq kay ilaqay main hukm-e- yar chalta hay
Zaabtay nahi chaltay
Husan ki adalat main aajzi tu chalti hay
Mertabay nahi chaltay
Dosti kay rishtoon ki perwarish zarori hay
Silsalay ta'aluq kay, khud say ban tu jatay hain
Lakin in shagofoon ko totnay bikharnay say
Rokna bhi perta hay
Chahatoon ki matti ko, arzo kay poday ko
Senchna bhi perta hay
Ranjishon ki baton ko bolna bhi perta hay

| 0 comments | Labels:

Abhi kuch din lagain gay
Dil aesay shehar kay pamaal ho jaanay ka manzar bhoolnay main
Abhi kuch din lagain gay
Jahan-e-rung kay saaray khas-o-khaashaak,

Sub saru-o-sanober bhoolnay main
Abhi kuch din lagain gay....
Thakay haaray hooway khwaaboun kay saahil par,

Kaheen ummeed ka chota sa ik ghar
Bantay bantay reh gaya hay
Woh ik ghar bhoolnay main, abhi kuch din laggain gay

Magar ab din hee kitnay reh gaye hain
Buss, ik din dil kee loh-e-muntazir per
Achaanak
Raat utray gee
Meri baynoor aankhoun kay khazaanay main chupay

Her khwaab kee takmeel kar day gee
Mujhay bhee khwaab main tabdeel kar day gee
Ik aisa khwaab jiss kaa dekhnaa mumkin naheen tha
Aik aisaa khwaab jiss kay daaman-e-sud chaak main koi mubarak
Koi roshan din naheen thaa
Abhi kuch din laggain gay

| 0 comments | Labels:

Kis tarah rokta hoon ashkoon ko
Kis tarah dil pe jabr karta hoon
Aaj bhi kaar zaar-e-hasti mein
Jab tere shehar se guzarta hoon


Dil bhi kartaa hai yaad chhup ke tujhe

Naam leti nahi zubaan tera..
Is qadar bhi nahin mujhe maloom
Kis muhalley mein hai makaan tera
Koun si shaakh-e-gul pe raqsaan hai
Raqs-e-firdaus, aashyaan tera
Jaaney kin vaadiyoon mein thehra hai
Ghairat-e-husn, karvaan tera
Kis se puchoon ga mein khabar teri
Koun batlaaye ga nishaan tera
Teri rusvaaiyoon se darta hoon
Jab tere shehar se guzarta hoon


Haal-e-dil bhi na keh saka garchay
To rahi muddaton qareeb mere
Kuch teri azmaton ka dar bhi tha
Kuch khayalat bhi thay ajeeb mere
Aakhir-e-kar woh ghari aayi
Yar war ho gaye raqeeb mere
Tu mujhe chor kar chali bhi gayi
Khair qismat meri naseeb mere
Aab main kiyon tujh se piyar karta hoon
Jab tere shehar say guzarta hoon

Wo zamana teri muhubat ka
Aik bholi hoi kahani hai
Tere koochay main umr bhar na gaye
Sari duniya ki khaak chani hai
Lazat-e-qurb ho keh zakhm-e-firaq
Jo bhi hai teri meharbani hai
Kis tammana say tujh ko chaha tha
kis muhabbat say har mani hai
Aapni qismat pay naz karta hoon
Jub tere shehar se guzarta hoon

Aaj bhi karzar-e-hasti main
To agar aik bar mil jaye

Kisi mehfil main saamna ho jaye
Ya sar-e-rahguzaar mil jaye
Aik nazar daikh lain mohabbat say
Aik lamhay ka pyar mil jaye
Chain aa jaye aarzoon ko
Hasraton ko qarar mil jaye
Jane kiya kiya khayal karta hoon
Jab tere shehar se guzarta hoon

Koi pursan-e-haal ho to kahon
Kesi aandhi chali hai tere baad
Din guzara hai kis tarha main nai
Raat kese dhali hai tere baad
Roz jeeta hon roz marta hoon
Jub tere shehar say guzarta hoon

Tujh se koi gila nahi mujh ko
Main tujhe bewafa nahin kehta

Tera milna khuab-o-khayal hua
Phir bhi na-aashna nahin kehta
Wo jo kehta tha muh ko awara
Main us ko bhi bura nahin kehta
Warna ik be nawa muhabbat main
Dil kay lutne pay kiya nahi kehta

Main to mushkil say aah bharta hoon
Jub tere shehar say guzarta hoon

Saturday, October 25, 2008 | 0 comments | Labels:

Abhi waqt hai meray saath chal
Abhi paon main hain musafatain
Abhi raaston peh garift hai
Abhi hath rakha hua hai waqt ki baag per
Abhi meherbaan hai rahguzar bari door tuk
Abhi raastay bhi nahin utay huay hain ghubar main
Abhi hoslay hain jawan meray
Abhi dil main chalnay ka shoq hai
Abhi manzilon ka yaqeen hai to junoon bhi hai urooj per
Yahan aik jahan main jaanay kitnay jahan hain
Abhi daik apni umeed kay kisi baadban ko khol ker
Yeh jo kishtiyan si rawan hai seena-e-aab per
Isi aag ki hain nishaniyan yeh musafatain
Koi hisraton main suna gaya hai basharatain
Abhi waqt hai meray saath chal

| 0 comments | Labels:

Umr beeti hai jinhain hijr ki pemaish main
Hum syah bakht, teray faasla bardaar, musafir shab kay
Raat aati hai to chal pertay hain
Bay baha sulagi hui yaad kay angaaron per
Rooh bersaat main bharki hui aatish hai keh bujhti hi nahin
Raat aati hai to gir pertay hain
Teray undoh ki num ghaaron main
Kon ab aa kay nikalay humain
Kon tehraaye ga bikhray huay pat'ton kay naseeb
Hum jo ronday huay raston ki tarah
Aah bhi bhartay huay dartay hain
Jaanay phir konsi veerani guzar jaye achanak kisi veerani say
Hum jo thithkay huay bachon ki tarah
Sans bhi letay hua mertay hain
Zindagani kisi murjhaye huay dil ki tarah
Sog kay kapray main lipti hui bevah hai koi
Koi dum bhar bhi thehertay hai kisi aas ki chaon (shade) main to ro perti hai
Aur hum phir say nikal pertay hain
Hum syah bakht, teray faasla bardaar, musafir shab kay
Umr beeti hai jinhain hijr ki pemaish main
Raat aati hai to chal pertay hain

| 0 comments | Labels:

Abhi Thehro
Abhi kuch din lagain gay!

Vasl ko khwahish bananay main
Tumhain apna samajhnay kay liye dil ko mananay main
Abhi kuch din lagain gay

Abhi hum apni khwahishon ko dil say milnay dain
Inhain mehsoos karnay dain
Wafa kya hai or taqaza-e-mohabbat ki hadain kya hain?
Hadon ki sarhadain kya hain
Phir in kay paar janay ka sabab kya hai
Dheyan o bay-dheyani main
Tumhari bheegti baaton kay darya ki rawani mai
Kahani hi kahani main
Agar beja wo manzil
Koi khawashish
Dilon ki kokh say paida hui
To kon daikhay ga
Humaray naam ki sachai ko
Or khwahishon k bay-nasb mehtab chehron ko
Abhi thehro
Abhi kuch din lagain gay

Rishta-e-baynaam ko naam karnay main
Kahani ko kisi agaz say anjam karnay main
Kahin izhar karnay main
Humain iqrar karnay main
Abhi thehro
Abhi kuch din lagain gay!!!!!
Abhi kuch din lagain gay !!!!

| 0 comments | Labels:

Aur kuch hi dair main, jub phir meray dil ko
Fikr aa lay gee keh tanhai ka kia chara karay
Dard aaye ga dabay paon, liye surkh charagh
Woh jo ik dard dharakta hai kahin dil say puray

Shola-e-dard jo pehloo main lapak uthay ga
Dil ki deewar pe her naqsh damak uthay ga

Halqa-e-zulf kaheen, gohsa-e-rukhsar kaheen
Hijr ka dasht kaheen, gulshan-e-deedar kaheen
Lutf ki baat kaheen, pyar ka iqrar kaheen

Dil say phir ho gee maray baat keh aye dil aye dil
Yeh jo mehboob bana hai teri tanhai ka
Yeh to mehmaan hai ghari bhar ka, chala jaye ga
Is say kub teri museebat ka madawa ho ga
Mushtail ho kay abhi uthain gay wehshi saaye
Yeh chala jaye ga, reh jain gay baqi saaye
Raat bhar jin say rera khoon kharaaba ho ga
Jang thehri hai koi khail nahin hai aye dil
Dushman-e-jaan hain sabhi, saray kay saray qatil
Yeh kari raat bhi, yeh saaye bhi, tanhai bhi
Dard aur jang main kuch mail nahin hai aye dil
Lao, sulgao koi josh-e-ghazab ka angaar
Taish ki aatish-e-jarrar kahan hai lao
Woh dehekta hua gulzaar kahan hai lao
Jis main germi bhi hai, harkat bhi, tawanai bhi

Ho na ho apnay qabeelay ka bhi koi lashkar
Muntazir ho ga andhairay ki faseelon kay udhar
Un ko sholon kay rajz apna pata to dain gay
Khair, hum tuk wo na pohonchay bhi, sada to dain gay
Dur kitni hai abhi subh, bata to dain gay

| 0 comments | Labels:

Rahguzar, saaye, shajar, manzil dur, halqa-e-baam

Baam peh seena-e-mahtaab khula, aahista

Jis tarha kholay koi bund qaba, aahista

Halqa-e-baam talay, saayon ka thehra hua neel

Neel ki jheel

Jheel main chupkay say taera, kisi put’tay ka habab

Aik pal taera, chala, phoot gaya, aahista

Bohot aahista, bohot halka, khunk rang sharab

Meray sheeshay main dhala, aahista

Sheesha-o-jaam, suraahi, teray haathon kay gulaab

Jis tarha dur kisi khuab ka naqsh

Aap hi aap bana aur mita aahista

Dil nay dohraya koi harf-e-wafa aahista

Tun may kaha “aahista”

Chand nay jhuk kay kaha

“Aur zara aahista”

| 0 comments | Labels:
Hawa ko likhna jo aa gya hai
Ab us ki marzi
Keh wo khizan ko bahar likh dey
Bahar ko intezar likh dey
Safar ki khawish ko
Wahemon key azaab sey humkinar likh dey
Wafa key raston pe chalny walon ki qismatoon main
Ghubar likh dey
Hawa ko likhna jo aa gya hai
Hawa ki marzi
Keh vasl mausam main hijr ko hissa-dar likh dey
Mohabbaton main guzarny wali ruton ko
Na-paidar likh dey
Shajr ko kum saya daar likh dey
Hawa ko likhna jo aa gaya hai
Ab us ki marzi keh hamaray diye bujha kar
Shabon ko baikhtiyar likh dey
Hawa ko likhna sikhanay walon

Noshi Gillani
| 0 comments | Labels:

Iss Basti ke Ik koochey mein , Ik Insha Naam ka Deewana
Ik naar pe jaan ko Har gaya , mash'hoor hai uss ka afsaana

Uss naar mein aisa roop na tha , jis roop se din ki dhoop dabbey
Iss shehar mein kya kya gori hai , mehtaab rukhey gulnaar labbey
Kuch baat thi uss ki baatoo'n mein,kuch bhaid they uss ke chitwan mein
Wuhi bhaid ke joat jagaatey hain , kisi chahney waaley ke mann mein
Ussey apna banaey ki dhun mein , hua aap hi aap se begaana
Iss basti ke ik koochey mein ik Insha naam ka Deewana

Na chanchal khail jawani ke , na payaar ki al'harh ghaatein thein
Bus raah mein unn ka milna tha aur phone pe unn ki baatein thein
Iss Ishq pe ham bhi hanstey they , behasil sa behasil tha?
Ik roz biphartey sagar mein , na kashti thi na sahil tha
Jo baat thi in ke ji mein thi , jo bhaid tha yaksar anjaana
Iss basti ek ik koochey mein , ik Insha naam ka deewana

Ik roz magar barkha rutt mein , wo bhaadoon' thi ya sawan tha
Deewar pe beech sumandar ke , yeh dekhney waloo'n ne dekha
mastana haath mein haath diye , yeh aik Kagar pe baithey they
youn Shaam hui phir Raat hui , jab Sailaani ghar laot gey
kya raat thi wo - ji chahta hai uss raat pe likhein Afsaana
iss basti ke ik koochey mein ik Insha naam ka deewana

Haa'n Umar ka saath nibhaaney ke they Ehad bohat Paimaan bohat
wo jin pe bharosa karney mein kuch sood nahi , Nuqsaan bohat
wo Naar yeh keh kar door hui - " majboori Sajan Majboori"
yeh wehshat se ranjoor huye aur ranjoori si ranjoori
uss roz hamein maloom hua , uss shakhs ka mushkil samjhana
iss basti ke ik koochey mein , Ik Insha naam ka deewana

Go Aag se Chaati jalti thi , Go Aankh se darya behta tha
har aik se dukh nahi kehta tha , Chup rehta tha Gham sehta tha
Naadaan hain wo jo chairtey hain , iss aalam mein deewanoo'n ko
uss shakhs se aik jawab mila , sab apnoo'n ko baigaanoo'n ko
"kuch aur kaho to Sunta hoo'n , iss Baab mein kuch mat farmana"
iss basti ke ik koochey mein ik Insha naam ka deewana

Ab aagey ka Tehqeeq nahi , go sun'ney ko ham suntey they
uss Naar ki jo jo baatein thein , uss Naar ke jo jo Qissey they
ik Shaam jo uss ko bulwaya , kuch samjhaya bechaarey ne
uss raat yeh qissa paak kiya , kuch kha hi liya dukhyaarey ne
kya baat hui , kis toar hui ? Akhbaar se logoo'n ne jana
iss basti ke ik koochey mein , ik Insha naam ka deewana

Har baat ki khoj to theek nahi , tum ham ko kahani kehney do
Uss naar ka naam maqam hai kya , iss baat pe parda rehney do
ham se bhi soda mumkin hai , tum se bhi jafa ho sakti hai
yeh apna bayaa'n ho sakta hai , yeh apni Katha ho sakti hai
wo naar bhi aakhir pachtaayi , kis kaam ka aisa pachtaana?
iss basti ke ik koochey mein , ik Insha Naam ka deewaana

Monday, October 20, 2008 | 0 comments | Labels:

Aksar shab-e-tanhai main ' kuch dair pehlay neend say
Guzri hui dil-chuspian ' Beetay huay din aish kay
Buntay hain shama-e-zindagi ' Aur daaltay hain roshni
Meray dil-e-sud chaak per

Woh bachpan aur wo saadgi ' Woh rona woh hansna kabhi
Phir woh jawani kay mazay ' Woh dil lagi woh qehqahay
Woh ishq woh ehd-e-wafa ' Woh wada or woh shukriya
Woh lazzat-e-bazm-e-tarb ' Yaad aati hain ik aik sab
Dil ka kanwal jo roz-o-shab ' rehta shagufta tha so ab
Us ka yeh abtar haal hai ' Ik sabza-e-pamaal hai
Ik phool kumhlaya hua ' sookha hua bikhra hua
Ronda para hai khak per

Yun hi shab-e-tanhai main ' Kuch dair pehlay neend say
Guzri hui na-kaamiyan ' Beetay huay din ranj kay
Bantay hain shama-e-baykasi ' Or daltay hain roshni
Un hasraton ki qabr per

Jo aarzooain pehlay theen ' Phir gham say hasrat ban gaein
Gham doston kay faut ka ' Un ki jawan mot ka
Lay daikh sheeshay main meray ' Un hasraton ka khoon hai
Jo gardish-e-ayyam say ' Jo qismat-e-nakaam say
Ya aish-e-ghum anjaam say ' Merg-e-But-e-gulfaam say
Khud meray ghum main mer gaein ' Kis tarha paaon main hazeen
Qaboo dil-e-baysabr per

Jab aah un ahbab ko ' Main yad ker uthta hoon jo
Yun mujh say pehlay uth gaye ' jis tarha taa'ir baagh kay
Ya jesay phool aur patiyan ' Gir jain sun qabl khizan
Or khushk reh jaye shajr

Us waqt tanhai meri ' Bun ker mujassam baykasi
Ker deti hai pesh-e-nazar ' Ho haq sa ik weeran ghar
Berbaad jis ko chor ka ' Sub rehnay walay chal basay
Tootay keewar or khirkiyan ' Chut kay tapaknay kay nishan
Pernaalay hain rozan nahin ' Yeh hall hain aangan nahin
Perday nahin chilman nahin ' Ik shama tuk roshan nahin
Meray siwa jis main koi ' Jhankay na bhoolay say koi
Woh khana-e-shali hai dil ' Poochay na jis ko dev koi
Ujra hua weeran ghar

Aksar shab-e-tanhai main ' kuch dair pehlay neend say
Guzri hui dil-chuspian ' Beetay huay din aish kay
Bantay hain shama-e-zindagi ' Aur daltay hain roshni
Meray dil-e-sud chaak per

| 0 comments | Labels:

Saiyan zaat adhoori hay, Saiyan baat adhoori hay
Saiyan raat adhoori hay, Saiyan maat adhoori hay
Dushman chaukanna hay laikan, Saiyan ghaat adhori hay

Saiyan ranj malal bohat, Deewanay be haal bohat
Qadam qadam per jaal bohat, Pyar muhabbat kaal bohat
Aur isi aalam mein saiyan, Guzar gaye hain saal bohat

Saiyan har soo dard bohat, Mausam mausam sard bohat
Rasta rasta gard bohat., Chehra chehra zard bohat
Aur sitam dhanay ki khatar, Taira ik ik fard bohat

Saiyan tairay shehar bohat, Gali gali mein zehar bohat
Khof zada hay dehar bohat, Us pe taira qehar bohat
Kali raatein itni kyun, Hum ko ik he pehar bohat

Saiyan dil majboor bohat, Roh bhi choor o choor bohat
Paishani be noor bohat, Aur lamhay maghroor bohat
Aisay mushkil aalam mein, Tu bhi hum se door bohat

Saiyan raahein tang bohat, Dil kamm hain aur sang bohat
Phir bhi tairay rang bohat, Khalqat sari dung bohat
Saiyan tum ko aatay hain, Behlanay kay dhung bohat

Saiyan mairay taaray gum, Raat kay chand saharay gum
Saray jan se pyaray gum, Aankhein gum nazaray gum
Rait mein aanso doob gaaiy, Rakh mein huway shararay gum

Saiyan rishtay toot gaye, Saiyan apnay chhoot gaye
Such gaye aur jhoot gaye, Taiz moqaddar phoot gaye
Janay kaisay dakoo thay , Jo lutay huwo ko loot gaye

Saiyan tanha shamo mein, Chunay gaaiy hain bamo mein
Chahat k ilzamo mein, Shamil huway hain ghulamo mein
Apni zaat na zato mein, Apna naam na namo mein

Saiyan vairani k sadqay, Apni yazdaani kay sadqay
Jabar e insani k sadqay, Lambi zindani kay sadqay
Saiyan mairay achhay Saiyan, Apni rehmani kay sadqay

Saiyan mairay dard ghata, Saiyan mairay zakhm bujha
Saiyan mairay aib mita, Saiyan koi naveed suna
Itnay kalay mausam mein, Saiyan apna aap dikha

Saiyan Mairay Achhay Saiyan, Saiyan Mairay Dolay Saiyan
Saiyan Mairay Pyary Saiyan, Saiyan Mairay Beebay Saiyan

| 0 comments | Labels:

Jeewan khel nahin jana
Aag aur pani, phool aur shubnum, dharti aur es neel gagun ka
Koi mail nahin jana!

Jeewan khwab nahin jana
Hum ko bhi maloom hai laykin ab es ghum ko seh janay ki
Dil mai taab nahin jana!

Jeewan roag nahin jana
Laykin woh jo merhum bun ker her ek zakhum sila detay thay
Ab woh log nahin jana!

Jeewan sham nahin jana
Suraj se majboor ho tum bhi shayad sumt badal lenay per
Yeh elzaam nahin jana!

Jeewan aag nahin jana
Apni sunderta ki lo mai apnay app he jal jathay hain
Jin k bhaag nahin jana!

Jeewan dhool nahin jana
Tez hawa ki aahut sun ker shaak se apni kut jaye
Yeh aisa phool nahin jana!

| 0 comments | Labels:

Daira der daira es gurdbad-e-waqt k rastay main jo yeh
Kuch khuss-o-khashaak se urtay bikhertay ja rahay hain
Kon hain!

Wuswasoon aur khwahishon ki bastion k dermian jo
Aik sel-e-bay juhat ka rizq buntay ja rahay hain
Kon hain!

Jis mai shamil bhi nahin thay aik aisay bay thikana
Jurm ka tawaan bhurtay ja rahay hain
Kon hain!

Raat din kiron makoron ki tarha se
Yeh jo jitay aur mertay ja rahay hain
Kon hain!

Dil ki wehshut, apnay he sayee ki dehshut se
Laraztay ja rahay hain
Kon hain!

Matum ehlay wafa main bain kertay
Ja rahay hain
Kon hain!

Yeh jo mitay
Ja rahay hain
Kon hain!

| 0 comments | Labels:

Aa kisi sham kisi yaad ki dehleez pe aa
Umr guzri tujhay dekhay huay, behlaye huay
Yaad hai?
Hum tujhay dil mantay thay
Teray her nukhray ki fermaish per
Aik jeewan ki tamannaon ki beenai say hum dekhtay thuktay hi na thay
Sochtay thay
Aik chota sa naya ghar
Mohabbat ki faza
Hum donon
Aur kisi baat per takyon say larai apni
Phir larai main kabhi hanstay huay ro perna
Aur kabhi rotay huay hans perna
Aur thuk haar key gir pernay ka masoom khush buksh khayal
Yaad hai?
Hum tujhay sukh jaantay thay
Raat hans perti thi bay sakhta dershan say teray
Din teri doori say ro perta tha
Yaad hai?
Hum tujhay jaan kehtay thay
Teri khamoshi say hum mer jatay
Teri aawaz say jee uthtay thay
Tujh ko choo lenay say ik zindagi aa jati thi sheryanon main
Thaam lenay say koi sheher sa bus jata tha weeranon main
Yaad hai?
Hum tujhay milnay kay liye
Waqt say pehlay pohonch jatay thay
Aur mulaqat kay baad
Hum bohot dair say ghar aatay to kehtay hamain kuch na kaho
Hum bohot dur say ghar aaye hain
Is qadar dur say aaye hain keh shaid hi koi aa paye
Yaad hai?
Hum tujhay bhagwan samajhtay thay magar kufr say dar jatay thay
Teray chin janay ka dar theek say rakhta tha musalmaan hamain
Aa kisi sham, kisi yaad ki dehleez pe aa
Teray bhoolay huay rastay pe liye phirta tha imaan hamain
Aur kehta tha pehchan hamain
Yaad hai?
Hum tujhay imaan kaha kertay thay

| 0 comments | Labels:

Karo jo baat kerni hai
Agar is aas per bethay, keh dunya
Bus tumhain sunnay ki khatir
Gosh ber aawaz ho ker beth jaye gi
To aisa ho nahin sakta
Zamana, aik logon say bhara footpath hai jis per
Kisi ko aik lamhay kay liye rukna nahin milta
Bithao lakh tum pehray,
Tamashgah-e-alam say guzarti jaye gi khalqat
Bina dekhay bina thehray .......
Jisay tum waqt kehtay ho,
Dhundalka sa koi jesay zameen say aasman tuk hai!
Yeh koi khawab hai jesay
Tumhain nahin kuch is khawab ki mohlat kahan tuk hai!
Karo jo baat kerni hai.............!!!

| 0 comments | Labels:

Teray narm din say parey parey teri garam raat kay us taraf
Meri kainaat hunoot hai ter kainaat kay us taraf

Main to dhund aur dhu'ain main hoon kisi tang o tareek kuain (well) main hoon
Mujhay dekhnay nahin day raha koi haadsaat kay us taraf

Mujhay maut yeh keh kay chali gai tu bhatak raha hai yahan kahan
Tera muntazir hai koi safar, safar-e-hayat kay us taraf

Meri justujoo mera ruksh hai, mera karb-e-jaan mera rakht hai
Mujhay day jehat koi saatween had-e-shash jehat kay us taraf

Meray kufr ko na day raasta meray paaon kaat meray khuda
Koi khainchta hai ghari ghari mujhay teri zaat kay us taraf

| 0 comments | Labels:

Itnay chup kyun ho rafeeqan-e-safar kuch to kaho
Dard say choor huay ho keh qarar aaya hai
Bhar gaya hijr ka her zakhm keh jee haar chalay
Bujh gaya shoq keh peghaam-e-nigar aaya hai
Na muradi ki thakan hai keh khumar-e-shab-e-wasl
Jaan sulagti hai keh chehron peh nikhar aaya hai

Kitni ujri hui rut hai keh sukoon hai na junoon
Itni bay-faiz hui baad-e-bahari kesay
Na kaheen noha-e-jaan hai na kaheen naghma-e-dil
Kuch to bolo keh shab-e-dard guzari kesay
Sar-ba-zaanoo ho to kyun chaak girebaan walo
Baazi-e-raah-e-talab jeet kay hari kesay

Saturday, October 11, 2008 | 0 comments | Labels:

Chota Sa Ak Gaoon Tha Jis Main
Diyay Thay Kam Or Bohat Andhera
Bohat Shajer Thay Thoray Ghar Thay
Jin Ko Tha Doori Nay Ghera
Itne Bari Tanhaee Thi Jis Main
Jagta Rahta Tha Dil Mera
Bohat Qadeem Faraq Tha Jis Main
Ak Muqarar Hadd Say Aagay
Soch Na Sakta Tha Dil Mera
Ease Sourat Main Pher Dil Ko
Dheyaan Aata Kis Khowab Main Tera
Raaz Jo Hadd Say Baher Main Tha
Apna Aap Dekhata Kesay
Sapnay Ke Bhi Hadd Thi Aakher
Sapna Aagay Jata Kesay

| 0 comments | Labels:
-->
Chalo phir aisa kertay hain
Zara tafheem kertay hain
Bnaam-e-adl-e-aadam rizq hum taqseem kertay hain
To tum saari hukoomat, shan-o-shaukat, tumkanat lay lo
Faza-e-behr-o-bur kay sub umoor-e-saltanat lay lo
Adaalat-e-husn-o-daulat, ikhtiyar-e-bay karan lay lo
Sipah-e-derbar-e-ishrat, iqtidaar-e-do jahan lay lo
Mujhay kuch herf day do, lafz day do
Aik qalam day do,
Zamaanay bhar ka gham day do,
Mujhay aik chashm-e-num day do,
Mujhay kuch khwab day do
Sungrazay, tulkhiyan day do
Dil-e-afsurda, khali ghar, qafas ki teeliyan day do
Magar do din ka qissa hai kamal-e-tamkanat janan
Saheefon ki riwayat hai zawal-e-saltanat janan
Aah!
Aik waqt aaye ga bhari dopeher main janan
Akailay tum kharay ho gay akailay sheher main janan
Meri jaan!
Aisay mausam main meray alfaaz bolain gay
Meray alfaaz kay jadoo dar-e-herut ko kholain gay
Main likhoon ga wo naghmay jo kabhi sochay nahin tum nay
Abhi kuch baal-o-par baqi hain jo nochay nahin tum nay
Kuch aisay ista'aray hain jo kabhi sochay nahi jatay
Main ugloon ga wo moti jo kabhi tolay nahi jatay
Meri nazmain jamal-e-mausam-e-jaan ko nikharain gi
Meri ghazalain tumharay husn ki zulfain sanwarain gi
Tumhain main husn doon ga
Aitabar-e-baykaran doon ga
Waqar-e-husn doon ga
Ikhtiyar-e-jism-jaan doon ga
Faza-e-naghma-o-gul main tumhain main zinda rakhoon ga
Hisaar-e-sheher-e-jaan main, tumhain main painda rakhoon ga
To janan aisa kertay hain
Zara tafheem kertay hain
Bnaam-e-adl-e-aadam rizq hum taqseem kertay hain
| 1 comments | Labels:

Insha jee bohat deen beet chukay
Tum tanha thay, tum tanha ho
Yeh jog bajog to theek nahi
Yeh rog kisi ka acha ho ?
Kabhi poorab mein, kabhi pacham mein
Tum purwa ho, tum pachwa hoo?
Jo nagri nagri bhatkaye
Aya bhi na mun mein kanta ho
Kya aur sabhi choonchal yahaan ?
Kya aik tumhee yahaan dukhiya ho
Kya aik tumhee par dhoop karee
Jab sab par sukh ka saya hoo

Tum kiss jungal kay phool miyaan
Tum kis bagiyaa ka bayla ho ?
Tum kis sagar ke lehar bhala
Tum kis badal kay barkha ho ?
Tum kis ponam ka ujayaara
Kis andhee rain ke oosha hoo
Tum kin hathoon ke mehandi ho
Tum kis mathay ka teeka ho
Kiyon shehar taja, kiyon jog liya
Kiyon wehshi ho, kiyon ruswa ho
Hum jab daikhain behroop naya
Hum kaya jannain tum kaya kaya ho ?

Jab soraj doobay sanjh bhaye
Aur phail raha andhayara ho
Kisi saaz ke lay par jhan'an jhan'an
Kisi geet ka mukhra jaga hoo
Is taal pay nachain pairoon mein
Aik chup chup behtee nadiya hoo
Ho charoon koot sughandh basee
Jeevan jangal pehna gajra hoo
Yeah ambar kay mukh ka anchal ho
Iss anchal ka rung ooda ho
Ik goot ro'pehlay taroon kee
Aur beech sunehra chanda hoo
Iss sundar sheetal shaant samay
Haan bolo bolo phir kaya ho ?
Woh jis ka milna na mumkin
Woh mil jaye tu kaisa hoo ?
Kyon aisay sapnay daikhtay hoo
Insha jee tum aap bhi sapna ho
Ik beetain likhtay shayar hoo
Ik geet ugalte beena hoo
yeah battain mein mein woh sochay
jo kaya batlyain kaisa ho ?
woh jiss kay hat mei kismat kee
Aik lambee gehree raikha hoo
Woh shakhas puranay qisoon kaa
Ik mud'mata shehzada hoo
Jo shehar ka rasta bhoola ho
Aur jungal mein aa nikla hoo
Woh raja kaashi nagree ka
Woh wali'e bulkh o bukhara ho
Kuch uss kay taj pay kalghee ho
Kuch uss ka chand sa chehra ho
Woh malik mehal ataariyoon ka
Woh roppay soonay walla hoo
Ya koye anookha gunn walla
Woh jiss ka jug mein charcha ho
Ya koyee sajeela banjara
Jo nagri nagri ghooma hoo

Hum nugri nugri ghoomay tu
Jab niklay thay awara hoo
Woh landon ho, woh paris ho
Woh barlun ho, woh roma ho
Woh kabul ho, woh lanka ho
Woh sahil seen o rayan ho
Ya sahit e neel o dajla ho
Woh jeen ka daish washaal kaheen
Ya pucham dais amrica ho
Woh cohati fuji yama kee
Ya ulpus ka barpad ooncha ho
Woh chattain gulabi laydan ke
Ya neela aab janeva ho
Din astanbool ke galiyoon mein
Ya sab ke sair praha hoo
Kuch sourattain theen, kuch mortain theen
Kuch aur bhi shaid daikha ho
Jahaan nazrain thereen theetki hoon
Jahaan dil ka kanta atka hoo
Par hum ko tu kuch yaad nahi
Kuch khoya ho, kuch paya ho
In batoon mein, in ghatoon mein
Sajoog ka koye lamha ho
Hum apnay jo khud aap nahi
Phir bolo kyun humara hoo
Youn samjhoo shehar saraye mein
Shab bhar kay liye koi utra ho
Koi pardaisi, koi saylaani
Woh jis ka door thikana ho
Shaam aye sawairay koch kiya
Jab dhundhla dhundla rasta ho
Jab dhartee sooni sooni hoo
Jab anbar pheeka pheeka hoo

Aik alam tha, kaya alam tha
Woh sacha hoo, ya jhoota hoo
Hum apnay aap mein doob gaye
Khud pathar ban, khud darya hoo
Jeevan ghaas ka tinka jungle
Jeevan andhi mein koye pata ho
Hum kis say kahain, kis toor kahain
Koi baat humaree samjha hoo!
Hum uss say millain jo apna hoo
Hum uss say kahain jo hum sa ho

Jab yeah bhi nahi, jab woh bhi nahi
Kaya baat banay, kaya rasta hoo
Iss zindaan mein koye rozan ho
Iss gunbad mein darwaza ho
Aye jogi, aye darwaish qavi
Kyon umaar ganwaye ramta ho
Kiyn tun pay rakh bhaboot mallay
Tu gorakh naat ka cheela hoo
Ya porab pucham kuch bhi nahi
Yeah joog bajoog bhi dhooka hoo
Jo tujh say juda sab maya hai
Ya apnay ko gar pana hoo
Kiyon aur pay jee ko rujhata hai
Yeah peet ke reet tu phanda ho
Jo hara jaan say haar gaya
Jo jeeta woh bhi ruswa ho
Dhooni na rama, basram na kar
Bus alakh jaga kar chalta ho
Tu apna reh, tu apna ban
Tu Insha hai, tu Insha ho

| 0 comments | Labels:

Taigh apni jagah daar apni jagah
Aur haqeeqat kaa izhaar apni jagah

Ab khandar hai khandar hi kaho dosto
Sheesh mahaloon ke aasaar apni jagah

Tuur par laakh Musa se ho guftogoo
Arsh-e-aazam pe deedaar apni jagah

Awalan haq ne takhleeq jis ko kiya
Sab ke baad us ka izhaar apani jagah

MuKhtasir ye bata sar ba-kaf kon tha
Jeet apni jagah haar apni jagah

Thursday, October 9, 2008 | 0 comments | Labels:

Kisi soorat musafat main kami honay nahin detay
Shajr bay dard hain chaon ghani honay nahin detay
Sahar hotay hi her janib dhowan sa phail jata hai
Yeh badal is nagar main roshni honay nahin detay
Woh roz-o-shab hamain ezaaz pe ezaaz detay hain
Ehsaas-e-zillat main kami honay nahin detay
Ta'aluq kuch bhi to qaim had-e-fasil to rehti hai
Woh hum say dosti ya dushmani honay nahin detay
Bujha detay hain jo jalta chamakta jaagta sooraj
Kisi ko raat ka ehsaas bhi honay nahin detay
Wo sail-tund-khoo hain barq ki soorat guzaray hain
Koi deewar rastay main khari honay nahin detay
Jala ker khaak ker detay hain jo taaza shagoofon ko
Woh sooraj main jahan main teergi honay nahin detay
Woh hum ko nit naye khaabon kay ainay dikhatay hain
magar umeed ki soorat-gari honay nahin detay
Usay janay nahin detay Shehzad hum taswur say
Kabhi weeran hum dil ki gali honay nahin detay

| 0 comments | Labels:

Mujhay apnay lafzon ki khusbo'on main rakhna
Mujhay zaat kay ista'aron main rakna
Mujhay apnay aangan main jhuktay huay chand taron main rakhna
Meray chund khut hain jinhain main nay
Apnay lahoo ki sadaqat say likha tha tum ko
Meray chund lamhay hain jin main
Sada'on ki pakeezgi say pukara tha tum ko
Meray chund lehjay hain jin main
Tumhari hi tarz-e-takhatub ka rung aa chala tha
Meray chund jumlay hain jin ki
Sama'at liye ab tumhain ik muddat hui
Meri kuch pasandeedah batain bhi hain
Jin ko hasil tumhari pasandeedgi thi
Meri kuch kitabain hain
Jo tum nay shaid yunhi mang li theen
Mera ik mazi hai
Jis ko tumhari rafaqat nay mazi ka mafhoom bakhsha
Mera ik aaindah tha Jis kay aaina khanon mai
Aks aashna thay tumharay tarasheeda abroo, hijr si jabeen aur khaabon si aankhain
Meri chund khushiyan theen jin pe tumhari
Qamat ka saya-e-afreen tha
Woh aik phool jis ko kabhi tum nay
Saaray phoolon say chun ker rukh liya tha
Unhain aur kuch aur baton ko bhi
Apni yadon main rakhna
Unhain guftogoo kay kinaron main rakhna
Isharon main rakhna
Unhain zaat kay ista'aron main rakna

| 0 comments | Labels: