twitter

Kisi ki aankh purnam hai, Muhabbat ho gai ho gee
Zuban per qissa e ghum hai, Muhabbat ho gai ho gee

Kabhi hasna kabhi rona, kabhi hans hans kay ro dena
Ajab dil ka yeh aalam hai, Muhabbat ho gai ho gee

Khushi ka hud say barh jana bhi ab ik bay qarari hai
Na gham hona bhi ik gham hai, Muhabbat ho gai ho gee

Kabhi aankhon hi aankhon mein wo baton ka bata dena
Kabhi takraar barham hai, Mohabbat ho gai ho gee

Kisi ko saamnay paa kar, kisi kay surkh honton per
Anokha sa tabassum hai, Muhabbat ho gai ho gee

Jahan veeran raahain theen, jahan hairaan aankhain theen
Wahan phoolon ka mausam hai, Muhabbat ho gai ho gee

Her ek silvat pe bister ki kisi ka naam likha hai
Diye ki lau bhi madham hai
Muhabbat ho gai ho gee

Wednesday, November 5, 2014 | 0 comments | Labels:
Yeh pihlay ishq ki batain hain
Jab aankh main khwab damaktay thay
Jab dil main dagh chamaktay thay
Jab palkain sheher ke raston main
Ashkon ka noor lutati theen
Jab saansain ujlay chehron ki
Tun mun main phool sajati theen
Jab chaand ki rim jhim kirnon se
Sochon main bhanwar par jatay thay
Jab aik talatum rehta tha,
Apnay bay-unt khayalon main
Her ehd nibhanay ki rasmain
Jab aam theen hum dil walon main
Ab apnay bheegay honton per
Kuch jaltay bujhtay lafzon ke
Yaqoot pighaltay rehtay hain
Ab apni gum sum aankhon main
Kuch dhool hai bikhri yadon ki
Kuch gard alood say mausam hain
Ab dhoop ugalti sochon main
Kuch paimaan jaltay rehtay hain
Ab apnay weeran angan main
Jitni subhon ki chandni hai
Jitni shamon ka sona hai
Us ko khaakstar hona hai
Ab yeh batain rehnay deejiye
Jis umr main qissay buntay hain
Us umr ka gham sehnay deejiye
Ab apni ujri ankhon main
Jitni roshan si batain hain
Us umr ki sab saughatain hain
Jis umr kay khwab khayal huay
Wo pichli umr thi, beet gai
Wo umr bitaey saal huay
Ab apni deed kay rastay main
Kuch rung hai guzray lamhon ka
Kuch ashkon ki baratain hain
Kuch bhoolay bisray chehray hain
Kuch yadon ki barsatain hain
Yeh pichlay ishq ki batain hain

Mohsin Naqvi
| 1 comments | Labels:
Tu jafa ki, main wafa ki raah pe hain gaamzan
Peechay mur ke dekhta tu bhi nahi main bhi nahi

Tu mujhay, main tujhay ilzam dharta hoon
Apnay mun main jhankta tu bhi nahi main bhi nahi

Maslehat ne ker diye donon main peda ikhtalaaf
Werna fitrat ka bura tu bhi nahi main bhi nahi

Budgumani sheher main kis ne phela di jab ke
Aik doosray se khafa tu bhi nahi main bhi nahi

Jurm ki nauiyaton main kuch tawafat ho to ho
Dar haqeeqat parsa tu bhi nahi main bhi nahi

Jaan e Mohsin tu bhi tha ziddi ana mujh main bhi thi
Donon khudsar thay jhuka tu bhi nahi main bhi nahi
| 0 comments | Labels:
Andhyari raat ke aangan main yeh subh ke qadmon ki aahat
Yeh bheegi bheegi sard hawa, yeh halki halki dhundulahat
Gaari main hoon tanha mehv e safar aur neend nahi hai aankhon man
Bhoolay bisray armanon ke khwabon ki zameen hai aankhon main
Aglay din hath hilatay hain, pichli peetain yaad aati hain
Gumgashta khushiyan aankhon main aansu bun ke lehrati hain
Seenay ke weeran goshon main ik tees se karwat leti hai
Wo rahain zehen main ghoomti hain jin rahon se aaj aaya hoon
Kitni umeed se pohncha tha, kitni mayoosi laya hoon


Sahir Ludhyanwi
| 0 comments | Labels:
Aks Kitnay Utar Gaye Mujh Mein
Phir Na'janay Kidhar Gaye Mujh Mein

Yeh Jo Main Hoon Zara Sa Baqi Hoon
 Wo Jo Tum Thay Wo Mar Gaye Mujh Men

Meray Andar Thi Aisi Taareeki
Aa K Aasaib Dar Gaye Mujh Mein

Main Ne Chaha Tha Zakhm Bhar Jain
Zakhm Hi Zakhm Bhar Gaye Mujh Mein

Pehly Utra Main Dil K Darya Mein
Phir Samandar Utar Gaye Mujh Mein

Kaisa Khaka Bana Diya Mujh Ko
Kon Sa Rang Bhar Gaye Mujh Mein

Main Wo Pal Tha Jo Kha Gya Sadyaan!
Sab Zamanay Guzar Gaye Mujh Mein.

Bun Ke Khurshid Samnay Aaye
Aur Phir Raat Ker Gaye Mujh Mein
Sunday, November 2, 2014 | 0 comments | Labels:
Bhula to day ga
Magar abhi kuch
Guzashta lamhon ka zikar lay ker
Khizaan ki rut main
Aawara patton ke sung chalay ga
Hawa ki lehron pe chupkay chupkay
Azab e jaan kay sitam likhay ga
Abhi to wo bhi aseer e gham hai
Usi musafat pe gaamzun hai
Abhi to kuch din, meri tarah woh
Shikasta khwabon ki kirchiyon ko
Woh narm hathon ki ungliyon kay
Haan zakhmi poron say jab chunay ga
To kya karay ga ...
Guman kay raston pe aatay jatay
Kisi tajassus main jab rukay ga
Mera yaqeen hai
Keh ro paray ga
Magar kahan tak
Naye dinon ko gaye dinon pe
Woh taal rakhay ga
Guzashta lamhon ki titliyon ko
Bhala kahan tak sambhal rakhay
Abhi to kuch din
Gai ruton ka bharam rakhay ga
Sehem sehem ker qadam rakhay ga
Bhula to day ga,
Magar abhi kuch ...
Sunday, October 26, 2014 | 0 comments | Labels:
Phirtay hain ab bhi dil ko girebaan kiye huay
Jin wehshiyon pe hain tere ehsaan kiye huay

Tajdeed-e-ishq kia ho keh barson guzar gaye
Tujh se koi sukhan bhi meri jaan kiye huay

Ab tujh se kya gila ho keh ek umar ho gai
Hum ko bhi qasd-e-koocha-e-janaan kiye huay

Dil se hui hai phir tere bare mein guft o gu
Tar ansuon se deeda-o-daamaan kiye huay

Jee manta nahin hai ke hum bhi bhula chukeen
Teri tarah se wada-o-paimaan kiye huay

Kuch zid mein nasehon ki tujhe chahte rahe
Kuch paasdari-e-dil-e-nadaan kiye huay

Hum woh keh tujh ko shair mein tasveer kar diya
Surat garaan-e-shehar ko hairaan kiye huay

Aye ishq hum se aur bhi honge zamanay mein
Achay bhale gharon ko bayabaan kiye huay

Kuch hum se na murad keh phirtay hain kubaku
Dil ko kisi faqeer ka daamaan kiye huay

Wada kia tha us ne kisi shaam ka kabhi
Hum aaj tak hain ghar mein charaghan kiye huay

Ab us ke jaur se bhi gaye hum keh jab se hain
Apne kiye pe us ko pashemaan kiye huay

Yeh rut-jagay qabool keh araam se to hain
Rakhtay thay warna khwab pareshan kiye huay

Hum woh aseer hain keh zamanay guzar gaye
“Band apnay aap par dar-e-zindan kiye huay"

Tark-e-wafa ke baad hawas ikhtiyar ki
Is karobar mein bhi hain nuqsaa kiye huay

Jaan-e-Faraz marg-e-tamanna ke bawajood
Bhoolay nahi humain teray ehsan kiye huay
| 0 comments | Labels:
Ager Tum Kaho To
Main Wo Sari Batein Hawaon Sey Kah Doon
Jo Aankon Hi Aankon Main Hum Ney Kahi Hain
Isharon Isharon Main Hum Ney Suni Hain
Ke Yeh Aatey Jaatey Huay Naram Jhonkey
Har Ek Rastey Pe Meri Raah Rookein
Kabhi Meray Balon Sey Kajra Gira Ker
Kabhi Mery Shaney Ka Pallu Hila Ker
Mujhay Is Terha Chairtey Hain Ke Jesay
Wo Sab Jantey Hon

Ager Tum Kaho To..!!
Main Apni Afsurda Dili Key Fasaney
Umaadtey Huay Badalon Ko Suna Doon
Fasaney Jo Kamoshiyon Ney Suney Hain
Jinhain Sun Key Deewar o Dar Ro Diay Hon
Key Ye Ras Ke Rasya Ye Ghunghor Badal
Chupaye Huay Apni Amrit Ki Chagul
Garaj Ker Dara Ker Meray Gher Pey Chaa Ker
Mujhay Is Terhan Dekhtey Hain Key Jesay
Wo Sab Jantey Hon

Ager Tum Kaho To..!!
Main Apni Kahani Samandar Sey Keh Doon
Samander Humarey Junoon Ki Alamat
Samander Humarey Sakoon Ka Nishan Bhi
Samander Ki Taqat Bhi, wusaat Bhi, jahan Bhi
Jabhi Tu Samander Key Veeran Goshey
Chatanon Ki Palkon Key Namkeen Qatrey
Wo Khurd Ro Biyoun Key Aazurda Saaye
Cheekhti Zameenon Key Maayoos Chehrey
Mujhay Is Terhan Chahtey Hain Key Jesy
Wo Sab Jantey Hon..!!!

Zehra Nigah
Thursday, October 9, 2014 | 0 comments | Labels:
Baat niklay gee to phir door talak jaaye gee,
Log be-wajaha udasi ka sabab poochain gay
Ye bhi poochain gay keh tum itni pareshaan kyun ho?
Ungliyaan utthain gee, sookhay huay baalon ki taraf,
Ik nazar dekhain gay, guzray huay saalon ki taraf
Chooriyon par bhi kai tanz kiye jain gay,
Kaanptay haathon pe bhi fiqray kasay jain gay
Log zalim hai, har ik baat ka tana dain gay,
Baaton baaton mein mera zikr bhi lay aain gay
Un ki baaton ka zara sa bhi asar mat lena
Warna chehray ke ta'assur say samajh jain gay
Chahay kuch bhi ho, sawalat na karna un say,
Meray baray mein koi baat na karna un say,
Baat niklay gee to phir door talak jaaye gee

Kafeel Azar
| 0 comments | Labels:
Sari baten bhool janab fariha.
Tha wo sub kuch ik fasana fariha.

Han mohabbat 1 dhoka he to thi.
Tum kabhi dhoka na khana fariha.

Cher day gar koi mera tazkira.
Sun k tanzan muskurana fariha.

Meri jo nazmaen tumhare naam hain.
Ab unhen mat gun'gunana fariha.

Tha faqat ruhon k naly ki shikast.
Wo taran'num wo tarana fariha

Behs kya karna bhala halaat se.
Haarna hai haar jana fariha.

Saz o barg e aish ko meri tarha.
Tum nazar se mat girana fariha

Hai shaoor e gham ki ik qimat magar.
Tum ye qimat mat chukana fariha.

Zindagi hai fitratan kuch bad’mizaaj.
Zindagi k naaz uthana fariha.

Pesh kash mein phool kar lena qabool.
Ab sitare mat mangwana fariha.

Chand wiranen tas’sawar mein rahen.
Jab nai duniya basana fariha.

Jaanib e ashr e tag e shehr e bahaar.
Ho saky to mill k janab fariha.

Sochta hun kis qadar tareek hai.
Ab mera baqi zamana fariha.

Sun raha hun manzil e ghurbat se door.
Baj raha hai shaadiyana fariha.

Moj e zan pata hun me ik sayl e gham.
Az qafas ta ashiyana fariha.

Ho mubarak rasm e taqreeb e shabaab.
Bar muraad e khirwarana fariha.

Saj k wo kesa laga ho ga jo tha.
Aik khaab e shai’rana fariha.

Sochta hun k mujh ko chahiye.
Ye khushi dill se lagana fariha.

Kya huwa gar zindagi ka bas na chaly.
Ham nhi shana bashana fariha.

Waqt shayad aap apna jabr hai.
Is pe kya tohmat lagana fariha.?

Zindagi ik naqsh e be’naqaash hai.
Us pe kya ungli uthana fariha.?

Kaash ik qanoon hota jo nhi.
zakhm apne kya dikhana fariha.?

Kaash kuch iqdaar hotin jo nhi.
Phir bhala dill kya lagana fariha.?

Sirf ik jalti hoi zulmat hao noor.
Taab o tabish par na jana fariha.

Ye jo sub kuch hai ye shayad kuch nhi.
Roog jee ko kya lagana fariha.?

Sayl hai bus beqaran lamhon ka sayl.
Gharq e sayl e beqarana fariha.


Jaun Elia
| 4 comments | Labels:
Rooh bechain hai ik dil ki aziyyat kya hai

Dil hi shola hai to yeh soz-e-mohabbat kya hai
Woh mujhay bhul gai is ki shikayat kya hai
Ranj to yeh hai keh ro ro kay bhulaya ho ga

Wo kahan aur kahan kaif-e-gham sozish e jan
Us ki rangeen nazar aur nuqoosh e hirman
Us ka ehsas e lateef aur shikast e armaan
Tanzan ek zamana nazar aaya ho ga

Jhuk gai ho gee jawan saal umangon ki jabeen
Mit gai ho gee lalak dub gaya hoga yaqeen
Chha gya ho ga dhuan ghoom gai ho gee zameen
Apnay phalay hi ghronday ko jo dhaya ho ga

Dil nay aisay bhi kuch afsanay sunaey hon gay
Ashk aankhob nay piye aur na bahaye hon gay
Band kamray main jo khat meray jalaye hon gay
Ek ek harf jabeen par ubhar aaya ho ga

Us nay ghabra kay nazar lakh bachai ho gee
Mita kay ik naqsh nay sau shakl dikhai ho gee
Maiz say jab meri tasveer hatai ho gee
Har taraf mujh ko tarapta hua paya ho ga

Bemahal chher pe jazbat ubal aye hon gay
Ghum pasheman tabassum maib dhal aye hon gay
Naam par meray jab ansu nikal aaye hon gay
Sar na kandhay say saheli kay uthaya ho ga

Zulf zeed kar kay kisi nay jo banai ho gee
Ruthay jalwon pay khizan aur bhi chhai ho gee
Barq ashwon ne kai din na giraee ho gee
Rang cheharay pay kai roz na aaya ho ga

Ho kay majbur mujhay us nay bhulaya ho ga
Zehr chup kar kay dawa jan ke khaya ho ga..!!!

Kaifi Aazmi
| 0 comments | Labels:
Kya kahoon bhayanak hai,
Ya haseen hai ye manzar
Khwaab hai keh bedaari,
Kuch pata nahin chalta
Phool bhi hain saaye bhi
Khaak bhi hai paani bhi
Aadmi bhi mehnat bhi
Geet bhi hain aansoo bhi
Phir bhi ek khaamoshi
Rooh o dil ki tanhaai
Ik taveel sannata
Jaisay saanp lahraey
Maah o saal aatay hain
Aur din nikaltay hain
Jaisay dil ki basti say
Ajnabi guzar jaaye
Cheekhti hueen Ghariyan
Zakhm khurdaa taa'ir hain
Narm rau subak lamhay
Munjamid sitaaray hain
Rengti hain taareekhain
Roz o shab ki raahon par,
Dhoondtay hain chashm o dil
Naqsh e paa nahin miltay
Zindagi kay guldastay
Zeb e taaq e nisyaan hain

Pattiyon ki palkon par
Oas jagmagaati hai
Imliyon kay pairron par
Dhoop par sukhaati hai
Aaftaab hanstaa hai
Muskuratay hain taaray
Chand kay katoray say
Chandni chalakti hai
Jail ki fizaaon mein
Phir bhi ik andhera hai
Jaisay rait mein gir kar
Doodh jazb ho jaaye
Roshni kay gaalon par
Teergi kay naakhun ki
Sainkron kharashain hain
Pathar ki deewaarain
Baarkon ki taameerain
Azhadon ke paikar hain
Jo naye aseeron ko
Raat din nigaltay hain
Behisi ki mohray hain

Pathar ki deewaarain

Pathar kay farsh aur chhut
Patharon ki mehraabain
Patharon ki aankhain hain
Patharon kay darwaazay
Patharon ki angraai
Patharon kay panjon mein
Aahni salaakhon hain
Aur in salaakhon mein
Hasratain, tamanna'ein
Aarzuain, umeedain
Khwaab aur taabeerain
Ashk phool aur shabnam
Chaand ki jawan nazrain
Dhoop ki sunehri zulf
Badalon ki parchha'een
Subh o shaam ki paryan
Maasoomon ki laila'ein
Sooliyon pe chharhti hain
Aur is andheray mein
Sooliyon ke saaye mein
Inqalaab paltaa hai
Teergi ke kaanton par
Aaftab chalta hai
Patharon kay seenay say,
Surkh haath ugtay hain
Haath hain keh talwaarain
Raat kay andheray mein
Jaisay shama jalti hai
Ungliyan farozaan hain
Baarkon ke konon say
Saazishain nikalti hain
Khaamushi ki nabzon mein
Ghantiyaan si bajti hain

Jaanay kaisay qaidi hain
Kis jahaan say aaye hain
Naakhunon mein keelain hain
Haddiyaan shikasta hain

Naujawaan jismon par
Pairahan hai zakhmon kay
Jagmagatay maathon par
Khoon ki lakeeren hain
Ashk aag kay qatray
Saans tund aandhi hai
Baat hai keh toofaan hai
Abru'on ki jumbish mein
Azm muskuratay hain
Aur nigah ki larzish mein
Hauslay machaltay hain
Teweriyon ki shiknon mein
Naqshay paa baghaawat kay

Jitna zulm sahtay hain
Aur muskuraatay hain
Jitna dukh uthaatay hain
Aur geet gaatay hain
Jabr aur barhta hai
Zahr aur charhta hai
Zaalimon ki shiddat par
Zulm cheekh uthtaa hai
Un kay lab nahin hiltay
Un kay sar nahin jhuktay
Dil say aah kay badlay
Ik sada nikalti hai
''Inqalaab zindabaad''

Khaak e paak kay betay
Khetiyon kay rakhwaalay
Haath kaarkhaanon kay
Inqalaab ki shah par
Kohsaar ke shaahi
Patharon ki koron par
Aandhiyon ki raahon par
Bijliyon ki baarish mein
Goliyon ke toofaan mein
Sar uthaaye baithay hain

Inqalaab saamaan hai
Hind ki fiza sari
Naz'aa kay hai aalam mein
Yeh nizam e zardaari
Waqt kay mahel mein hai
Jashn e nau ki tayaari
Jashn e aam e jamhoori
Iqtidaar e mazdoori
Muflisi o naadaari
Teergi ke baadal say
Jugnu'on ki baarish hai
Har taraf andheraa hai
Aur is andheray mein
Har taraf sharaaray hain
Koi keh nahin saktaa
Kaun sa sharaara kab
Beqaraar ho jaaye
Sholaabaar ho jaaye
Inqalaab aa jaaye
Inqalaab aa jaaye

Ali Sardaar Jaafri
| 0 comments | Labels:
Sandaleen paikar tumharey baazu'on kay darmiyan
Fareeha ka gham bhulaney kay liye aaya hon mein

Zindagi ki ik haqeeqat ko tumharey ru baru
Aik afsana bananey kay liye aaya hon mein

Fareeha ki yaad merey hafzey sey cheen lo
Apna sarmaya lutaney ke liye aaya hon mein

Inteqaman chahiye ab mujh ko ik haal e tarb
Aaj tanzan muskuraney ke liye aaya hon mein

Ab to har naqsh e khayali ko mitana hai mujhey
Ab to sab kuch bhool janey ke liye aaya hon mein

Kar kay tameer aik but khana bara-e-bandagi
Kaba e nakhuwat dhaaney ke liye aaya hon mein

Ab to bas tum ho faqat tum ! Fareeha kuch bhi nahi
Tum ko seeney sey lgaaney kay liye aaya hon mein

Meri khush manzar jawaani bhi to koi cheez hai...
Tum sey is ki daad paaney kay liye aaya hon mein...

Raayegaan ab tak gaye merey sukhan kay mojzey
Taaza ijaazi dikhaney kay liye aaya hon mein

Kash tum meri jabeen ko choom lo! han choom lo
Matla e fun jagmaganey kay liye aaya hon mein..

Tum sey bhi shayad mujhey gham ka atya hi miley
Phir b taza zakham khaaney ke liye aaya hon mein

Shaakh e dil ko lamha lamha ik namu to chahiye
Zindagi ko ik faraib e aarzu to chahiye

Jaun Elia
| 0 comments | Labels:
Aye meri hum raqs mujh ko thaam lay !
Zindagi say bhaag kar aaya hoon main,
Dar say larzaan hoon, kaheen aisa na ho
Raqs gaah ke chor darwaazay say aa kar zindagi
Dhoond lay mujhko, nishaan paa lay mera
Aur jurm e aish kartay dekh lay

Aye meri hum raqs mujh ko thaam lay !
Raqs ki yeh gardish
Ek mubham aasiyaa ke daur hain
Kaisi sargarmi say ghum ko raundta jata hoon main
Jee mein kehta hoon ke haan
Raqs gah mein zindagi ke jhaanknay say peshtar
Kulfaton ka sangreza ek bhi rahnay na paaye

Aye meri hum raqs mujh ko thaam lay !
Zindagi meray liye
Ek khooni Bherriye say kum nahin
Aye haseen o ajnabi aurat ! Usi ke Dar say main
Ho raha hoon lamha lamha aur bhi teray qareeb
Janta hoon tu meri jaan bhi nahin
Tu meri un aarzuwon ki magar tamseel hai
Jo raheen mujh se gurezaan aaj tak
Aye meri hum raqs mujh ko thaam lay !

Ehdve paareena ka main insan nahin
Bandagi say is dar o deewaar ki
Ho chuki hain khwaahishain bay soz o rung o naatawan
Jism say teray lipat sakta to hoon
Zindagi par main jhapat sakta nahin
Is liye ab thaam lay
Aye haseen o ajnabi aurat mujhay ab thaam lay !

Noon Meem Rashid
| 0 comments | Labels:
Aye Ishq Na Chaer Aa Aa Ke Hamain, Hum Bhoolay Hu'on Ko Yaad Na Kar
Pehlay Hi Bahut Nashaad Hain Hum, Tu Aur Hamain Nashaad Na Kar
Qismat Ka Sitam Hi Kum Nahi Kuch , Yeh Taza Sitam Ijaad Na Kar
Yun Zulm Na Kar Bedaad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Jis Din Say Milay Hain Dono Ka, Sab Chain Gya, Aaram Gya
Chehron Say Bahar-e-Subh Gai, Aankhon Say Farogh-e-Sham Gya
Haathon Say Khushi Ka Jaam Chuta, Honthon Say Hansi Ka Naam Gya
Ghamgeen Na Bana Nashaad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Raaton Ko Uth Uth Ke Rotay Hain, Ro Ro Kar Duaien Kartay Hain
Aankhon Main Tasawur Dil Main Khalish, Sar Dhuntay Hain Aahain Bhartay Hain
Aye Ishq Yeh Kaisa Rog Laga, Jeetay Hain Na Zaalim Martay Hain
Yeh Zulm To Aye Jallaad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Yeh Rog Laga Hai Jab Se Hamain, Ranjeeda Hoon Main Beemaar Hai Woh
Har Waqt Tapish Har Waqt Khalish, Bekhuwaab Hoon Main Bedaar Hai Woh
Jeenay Say Idhar Bezaar Hoon Main, Marnay Pay Udhar Tayaar Hai Woh
Aur Zabt Kahay Faryaad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Jis Din Se Bandha Hai Dheyan Tera, Ghabraey Huay Se Rehtay Hain
Her Waqt Tasawur Ker Ker Ke, Sharmaey Huay Se Rehtay Hain
Kumhlaey Huay Phoolon Ki Tarah Kumhlaey Huay Se Rehtay Hain
Pamaal Na Ker, Barbaad  Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Bedard Zara Insaaf To Kar, Is Umr Main Aur Maghmoom Hai Woh
Phoolon Ki Tarah Naazuk Hai Abhi, Taaron Ki Tarah Masoom Hai Woh
Yeh Husan Sitam Yeh Ranj Ghazab, Majboor Hoon Main Mazloom Hai Woh
Mazloom Pe Yun Bedaad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Aye Ishq Khudara Dekh Kaheen, Woh Shokh Haseen Badnaam Na Ho
Woh Maah-e-Laqa Badnaam Na Ho, Woh Zohra-Jabeen Badnaam Na Ho
Naamoos Ka Us Ko Paas Rahay, Woh Parda Nasheen Badnaam Na Ho
Us Pardaa Nasheen Ko Yaad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Ummeed Ki Jhuthi Jannat Kay, Reh Reh Kay Na Dikhla Khwaab Hamain
Aainda Kay Farzi Ishrat Kay, Waday Say Na Kar Betaab Hamein
Kehta Hai Zamana Jis Ko Khushi, Aati Hai Nazar Kumyaab Hamein
Chor Aisi Khushi Ko Yaad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Kya Samjhay Thay Aur Tu Kya Nikla, Yeh Soch Ke Hi Heran Hain Hum
Hai Pehlay Pehel Ka Tajraba Aur Hum Umr Hain Hum, Anjan Hain Hum
Aye Ishq! Khudara Rehem o Karam! Masoom Hain Hum, Nadan Hain Hum
Nadan Hain Hum, Na Shad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Woh Raz Hai Yeh Gham e Aah Jesay, Pa Jaye Koi To Khair Nahi
Aankhon Se Jab Aansu Behtay Hain, Aa Jaye Koi To Khair Nahi
Zalim Hai Yeh Dunya, Dil Ko Yahan, Bha Jaye Koi To Khair Nahi
Hai Zulm Magar Faryaad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Do Din Hi Main Ehd-e-Tifali Kay, Masoom Zamaanay Bhool Gaye
Aankhon Say Woh Khushyaan Mit Si Gai, Lab Ke Woh Taraanay Bhool Gaye
Un Paak Bahishti Khwaabon Kay, Dilchasp Fasaanay Bhool Gaye
Un Khwaabon Se Yun Aazaad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Is Jaan e Haya Ka Bus Nahi Kuch, Baybus Hai Paraey Bus Main Hai
Bay Dard Dilon Ko Kya Hai Khabar, Jo Pyar Yahan Aapas Main Hai
Hai Bay Basi Zeher Aur Pyar Hai Rus, Yeh Zeher Chupa Is Rus Main Hai
Kehti Hai Haya Faryaad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Aankhon Ko Yeh Kya Aazar Hua, Her Jazb Nihan Per Ro Dena
Aahang e Tarab Per Jhuk Jana, Awaz e Fughan Per Ro Dena
Barbat Ki Sada Per Ro Dena, Matrab Ke Bayan Per Ro Dena
Ehsas Ko Ghum Bunyaad Na kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Her Dum Abdi Rahat Ka Saman Dikhla Ke Hamain Dilgeer Na Kar
Lillah Hubab e Aab e Rawan Per Naqsh e Baqa Tehreer Na Kar
Mayoosi Ke Ristay Badal Per Umeed Ke Ghar Tameer Na Kar
Tameer Na Kar, Aabad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Jee Chahta Hai Ik Doosray Ko Yun Aath Peher Hum Yaad Karain
Aankhon Main Basa'ain Khwabon Ko, Aur Dil Main Khayal Aabad Karain
Khilwat Main Bhi Ho Jalwat Ka Saman, Wahdat Ko Dui Se Shad Karain
Yeh Aarzuain Eejad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Dunyaa Ka Tamasha Dekh Liya, Ghamgeen Si hai, Bay Taab Si Hai
Umeed Yahan Ik Wehem Si Hai, Taskeen Yahan Ik Khwab Si Hai
Dunya Main Khushi Ka Naam Nahi, Dunya Main Khushi Nayab Si Hai
Dunya Main Khushi Ko Yaad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar


Akhtar Sheeraani
Wednesday, October 8, 2014 | 0 comments | Labels:
Kitna shaffaf hai badan tera
Kal jo tu meray paas say guzri
Main nay dekha keh teray chehray per
Jheel ka sa sukoon chahya hai
Aur teray dil pe jab nazar dali
Main nay wo hashar sa bapa dekha
Jis tarah zalzala sa aaya hai.

Ahmad Nadeem Qasmi
| 0 comments | Labels:
Agar barf girti hai
Girti rahay
Aakhir-kaar us ko
Tamazat ki yalghaar mein
Yun pighalna hai
Kuch aisi waraftagi say pighalna hai
Jaisay na pighli
To pathar ki ho jaye gee

Ahmad Nadeem Qasmi
| 0 comments | Labels:
Kohra, neela baseet o buland aasman,
Itna khaamosh, thehra hua, pur sukoon
Is tarah dekhta hai mujhay jaisay main
Apnay gullay say bichri hui bhairr hoon

Tum kahan ho meri rooh ki roshni,
Tum to kehti theen ye dard paainda hai,
Tum kahan ho, meray raaston ke diye
Bujh gaye phir bhi har cheez taabinda hai

Main millon kaarkhaanon ke bojhal dhuwain,
Qehba khanon ki maghmoom taabindagi
Kaahinon ki mohabbat ka fuzla jisay
Rab e maujood o maadoom ne bakhsh di

Daaymi zindagi tumharay liye,
Ehd e qaaroon ki geer aur daar se,
Apni zakhmi mohabbat bacha laaya hoon

Akhtarul Imaan
| 0 comments | Labels:
Mujh say mat pooch ''mere husn mein kya rakha hai''
Aankh say parday e zulmat ko hata rakha hai.
Meri dunya, keh meray ghum say jahannum bardosh,
Tu nay dunya ko bhi firdaus bana rakha hai

Mujh se mat pooch ''tere ishq mein kya rakkha hai'',
Soz ko saaz kay parday mein chhupa rakha hai
Jagmaga uthi hai dunya e takhayyul jis say,
Dil mein woh shola e jaan soz daba rakha hai

Asraar Ul Haq ''Majaaz''
| 0 comments | Labels:
Dinon ka lahu,
Meray baalon main gir ke
Safaid ho gya hai
Hazaaron ki taadad mein chand sooraj
Miri aankh ke paas
Chamke hain, tootay hain, gum ho gaye hain
Meray naqsh e pa say
Zameen bhar gai hai
Zameen ab miri peeth par ghoomti hai
Main apnay badan mein
Kai saal dafn ho chuka hoon

Mohammad Alvi
| 0 comments | Labels:
Hum apnay aap ko
Pat'thar ana ke khauf say
Jitna bazahir pur sukoon rehnay ki aadat daal lain
Per hijr ki bechain yakh basta hawa say
Raakh mein dhalti tamanna'ein bhi
Aakhir kapkapati hain
Sada'ein larrkharrati hain
Tumhain maloom to ho ga
Keh kachi umr ki chahat
Hazaron saal bhi dil k kisi gehray samandar mein rahay paband
Per
Phir bhi kabhi marti nahi
Main ne bohat arsa tumhain
Yaadon, khayalon aur khuwabon ki nigaahon say kiya ojhal
Magar jaanan
Main apnay aap say ab larrtay larrtay thak gya hoon
Aur akelaypan ke weeraan shehar mein jab shaam dhalti hai
To muddat say thaki haari wafa'ein
Sog mein doobay huay kuch geet gaati hain
Tumhain wapas bulati hain

Farhat Abbaas Shaah
| 0 comments | Labels:
Khayal o shair ki dunya mein jaan thi jin say
Faza e fikr o amal arghwan thi jin say
Woh jin kay noor say shaadab thay meh o anjum
Janoon e ishq ki himmat jawan thi jan say

Woh aarzoo'ain kahan so gaeen hein meray nadeem

Woh nasaboor nigahain, woh muntazir rahain
Woh pas e zabt say dil mein dabi hui aahain
Woh intezar ki ratain, taweel teerah o taar
Woh neem khawab shabistan, woh mukhmaleen bahain

Kahaniyan theen, kahin kho gai hein meray nadeem

Machal raha hei raig e zindagi mein khoon e bahar
Ulajh rahay hein puranay ghamon say rooh kay taar
Chalo keh chal kay chiraghan karain dayar e habib
Hain intezar main agli mohabbaton kay mazaar

Mohabbatain jo fana ho gyee hein mere nadeem

Faiz Ahmad Faiz
| 0 comments | Labels:
Likha hai hazrat Saadi ne eik hikayat mein
"Para Damishq mein eik baar is bala ka qehet
Wahan ke ehl-e-wafa ishq tak bhula bethay
Hisar-e-halqa-e-bechargi main ja bethay"
Nahi wo qehet ka aalam humari dunya main
Bohat say loag hain nalaan agarcha "hissay" per
Kahin zyada kahin kum sahi magar phir bhi
Hai rizq sab ko mayassar zameen ka takhtay per
To phir yeh kaisay hua aaj bhi zamanay mein
Saroor-e-ishq ko khalqat bhula bethi hai
Her eik rah pay kaasay sajaye bethi hai
Jo hotay hazrat Saadi to ab woh yun likhtay
"Damishq waqt mein ab kay ajeeb qehet para
Keh ishq bhoolnay walay dua bhi bhool gaye
Dilon say ghum hua rukhsat to sharam aankhon say
Keh khud main gum huay aesay' khuda bhi bhool gaye"

Amjad Islam Amjad
| 0 comments | Labels:
Rishta-e-dil teray zamanay mein
Rasm hi kya nibhani hoti
Muskuraaye hum us se miltay waqt
Ro na partay agar khushi hoti?

Meri aql-o-hosh ki sab haalatein
Tum nay saanchay mein junoon kay dhaal deen
Kar liya tha main ne ehd-e-tark-e-ishq
Tum nay phir baahein galay mein daal deen

Sharm, dehshat, jhijhak, pareshani
Naaz se kaam kyun nahin leteen
"Aap", "woh", "ji","magar" yeh sab kya hai
Tum mera naam kyun nahin leteen

Hai mohabbat hayaat ki lazzat
Warna kuchh lazzat-e-hayaat nahin
Kya ijazat hai aik baat kahun
Woh...magar khair koi baat nahin

Ehd-e-waabastagi guzaar kay main
Wajh-e-waabastagi ko bhool gaya
Yaani tum woh ho! waaqai? Had hai!
Main to sach much sabhi ko bhool gaya!

Ajab tha us ki dildaari ka andaaz
Woh barson baad jab mujh say mila hai
Bhala main poochhta us se to kaise
Mata-e-jaan tumhara naam kya hai?

Saal ha saal aur aik lamha
Koi bhi to na in mein bal aaya
Khud hi ik dar pe main ne dastak di
Khud hi larka sa main nikal aaya

Hai yeh baazaar jhoot ka baazaar
To yahi jins kyun na tolain hum
Kar kay ik doosray se ehd-e-wafa
Aao kuchh dair jhoot bolain hum

Jaun Elia
| 0 comments | Labels:
Aao Ki Jashn-E-Marg-E-Mohabbat Manaen Ham!
Aati Nahin Kahin Se Dil-E-Zinda Ki Sada

Mazi Pe Apne Haal Ko Tarjih Kyun Na Dun
Aur Apna Apna Ahd-E-Wafa Bhul Jaen Hum

Barson Ki Baat Hai Ki Mere Ji Men Aai Thi
Wo Fitna-Sar Gae Jinhen Kante Aziz The

Ab Kaun Un Shikasta Mazaron Ki Baat Lae
Sune Pade Hain Kucha O Bazar Ishq Ke

Ab Kuchh Nahin To Nind Se Aankhen Jalaen Hum
Jo Shama-E-Intizar Jali Thi Bujhaen Hum

Shayad Na Phir Mile Teri Aankhon Ka Ye Fusun
Hai Sham-E-Anjuman Ka Naya Husn Jaan-Gudaz

Aao Ki Jashn-E-Marg-E-Mohabbat Manaen Ham!
Aao Ki Jashn-E-Marg-E-Mohabbat Manaen Ham!

Shayad Nahin Rahe Wo Patingon Ke Walwale
Is Husn-E-Ikhtiyar Pe Aankhen Jhuka To Len

Kya Jaane Ab Na Ulfat-E-Derina Yaad Aae
Socha Na Tha Ki Aaega Ye Din Bhi Phir Kabhi

Aao Ki Jashn-E-Marg-E-Mohabbat Manaen Ham!
Main Sochta Tha Tujhse Kahun, Chhod Kya Kahun

Sambhle Hue To Hain Pa Zara Dagmaga To Len
Matam Khizan Ka Ho Ki Bahaaron Ka, Ek Hai

Barsa Labon Se Phul Teri Umar Ho Daraaz
Taza Na Rah Sakengi Riwayat-E-Dasht-O-Dar
Ek Bar Phir Mile Hain, Zara Muskura To Len!


  AkHtar Ul Imaan
| 0 comments | Labels:
Main yeh soch kar us ke dar say utha tha
Keh woh rok lay gee, mana lay gee mujh ko
Qadam aisay andaaz say uth rahay thay
Keh woh aawaz day kar bula lay gee mujh ko
Hawaon main lahrata aata tha daaman
Keh daaman pakar kar bithaa lay gee mujh ko

Magar us nay roka, na mujh ko manaya
Na aawaz hi di, na wapis bulaaya
Na daman hi pakra, na mujh ko bithaya
Main aahista aahista barhta hii aaya
Yahan tak keh us se juda ho gya main

Kaifi Aazmi
| 0 comments | Labels:
Kahan itni saza'en theen bhala is zindgani mein,
Hazaron ghar huay roshan jab mera dil jala Mohsin.

Faqat ik lafz "mohabbat" ki hum ne bheek mangi thi,
Taras gaye khushi ko hum mili hai yeh saza Mohsin.

Sukoon e zindagi chora ik teri zaat ki khatir,
Magar phir bhi meri chahat se tum ko hai gila Mohsin.

Toota hua yeh dil lay kar main kis ke paas jaoon ga,
Hai kaun woh karay ga jo meray dil ki dawa Mohsin.

Teri ankhain teri sansain tera chehra teri dharkan,
Main kaise bhool paön ga teri har ik adaa Mohsin.

Kisi ko kya khabar mujh par har pal kya guzarti hai,
Meri saari kahani ka hai tu hi aashna Mohsin.

Nahi qaabil teray lekin munasib jo agar samjho,
Yaad rakhna duaon mein yehi hai ilteja Mohsin.
| 0 comments | Labels:
Lay ke aaya hoon tumharay saamnay seenay ke daagh
Dair say lau dey rahey hain baada-e-fun ke chiraagh
Aik rahro ja raha tha raastay mein bey khayaal
Dil ko mustaqbil ki ummeedon say behlata hua
Tum achanak aaeen aur khaas ik doraahey ke qareeb
Apni paayal ke tarannum say usay chonka dia
Aur us say uski manzil ka tasawwur cheen kar
Aik bey maqsad safar ke ehd o peimaan kar liye
Ab tumhari rahbaree thee aur takhayyul ka faraib
Raastay badlay gaye aur kaarwaan barhnay lagay
Zehn pay chaata raha rangeen khwaabon ka fusoon
Zindagi karnay lagi khwaabon ke gulzaaron mein raqs
Raat ki tanhaiyon mein shehr-e-anjum ka safar
Kehkashaan ta Kehkashaan na deeda sayyaron mein raqs
Mujh ko bakhshay thay unheen nazaaron ney maekhaanon ke khwaab
Aariz o Gesu say wabasta shabistaanon ke khwaab
Saahil-e-aghosh-e-sar masti mein toofaanon ke khwaab
Kya magar khwaabon ka haasil,wo bhi deewaanon ke khwaab ?
Aur phir wo daur bhi aaya keh tum ukta gayeen
Apni hud say barh gayee theen, apni hud mein aa gayeen
Main faraib-e-aarzu khaata raha, jeeta raha
Zehr-e-gham peeta raha, peeta raha, peeta raha
Chaak karti hi raheen tum jeib o daamaan-e-wafa
Aur main sehta raha, sehta raha, sehta raha
Jaanay kyun tum mustaqil daaman kushaan rehnay lageen ?
Bey sabab na mehrbaan, na mehrbaan rehnay lageen
Bhool ker ehd-e-nazar jaanay kahan pohncha khayal
Chor kar shehr-e-wafa janay kahan rehnay lageen ?
Aah ! Wo naaz-e-mohabbat ka yaqeen o aitbaar
Main neay tumko dam badam aawaaz per aawaaz di
Phir hudood-e-hasrat o ummeed tak Dhoonda tumhain
Rooh ki waadi mein dil ke saaz per aawaaz di
Log kehtay hain yaqeenan theek hi kehtay hain log
Main faqat wehmon ki dunya mein safar karta raha
Main nay chahi bijliyon say khirman andozi ki daad
Paththaron say khwaahish-e-lutf-e-nazar karta raha
Kya tumharay shehr mein ley kar duaaon ke hisaar
Nau jawani ko mitaanay ke liye aaya tha main ?
Kya shaoor-e-zindagi ki daad paanay ki bajaaye
Maikadon mein larkharaaney ke liye aaya tha main ?
Ab shaoor-e-zindagi ko aazmaanay do mujhay
Kuch hijaabaat-e-mizaaj-e-dil uthaaney do mujhay
Aik hi rukh tum ney dekha hai abhi tasveer ka
Aaj us ka doosra rukh bhi dikhaaney do mujhay
Tum ko apnaya tha, tum ko chor bhi sakta hoon main
But banata hi nahin hoon, tor bhi sakta hoon main !!

Jaun Elia
| 0 comments | Labels:
Ishq awara mizaj, woh musafir to gaya
Na koi us ki mahak hai keh jo day us ka pata
Na koi naqsh e kaf e pa
Na koi us ka nishaan
Koi talkhi bhi na jaam main chori us ne
Aik dukhta hua dil
Choat thi jis pe lagi
Choat wesi to nahi
Dard baqi to nahi
Laakh manay na magar
Kuch pashemaan sa dil
Yun badal janay par
Aap heran sa dil
Us ko kya apna pata
Ye hai insaan ka dil
Koi pather to nahi
Jis pe mit'ti nahi
Par jaye jo aik baar lakeer.
Thursday, October 2, 2014 | 0 comments | Labels:
Yeh ajab sa'at e rukhsat hai keh dar lagta hai
Sheher ka sheher mujhay rakht e safar lagta hai

Hum ko dil ney nahi halaat ne nazdeek kiya
Dhoop main dur se her shakhs shajar lagta hai

Jis pay chaltay huay socha tha ke laut aaun ga
Ab woh rasta bhi mujay sheher badr lagta hai

Muj se to dil bhi muhabat main nahi kharch hoya
Tum to kehtay thay k is kam main gar lagta hai

Waqat lafzon say banai hoi chadar jesa
Orh leta hun to sub khawab e hunar lagta hai

Aik muddat se meri maan nahi soi Tabish
Main ne ik bar kaha tha mujay dar lagta hai
Monday, July 21, 2014 | 0 comments | Labels:
Kahin goyai ke haathon sama’at ro rahi hai
Kahin lab basta reh janay ki hasrat ro rahi hai

Kisi deewar par nakhun ne likha hai rehaai
Kisi ghar main aseeri ki aziyyat ro rahi hai

Kahin mimber pe betha hai ek sajde ka nasha
Kisi mehraab ke neechay ibaadat ro rahi hai

Yeh mathay par paseenay ki jo larzish tum ne dekhi
Yeh ek chehray pe la-hasil mushaqqat ro rahi hai

Ajab mahfil hai sab ek doosray pe hans rahe hain
Ajab tanhaai hai khilwat ki khilwat ro rahi hai

Yeh khamoshi nahi, sab ilteja'ain thak chuki hain
Yeh aankhen tar nahi, rone ki himmat ro rahi hai

Jo baad az hijr aaya, us ko kaise wasl kah doon?
Shikaayat say gale mil ke nadaamat ro rahi hai

Isay ghussa na samjho! ‘Azm’ yeh mere lahoo me
Musalsal zabt karnay ki riwaayat ro rahi hai
| 0 comments | Labels:
Wafoor e kaif say dil itna bay qarar na ho
Main dar raha hun ke muztar nigah e yar na ho

Shareek e ishq agar aqal parda dar na ho
Nazar ke samnay kuch bhi siwae yar na ho

Nigah e yaar ka mumkin nahin ke war na ho
Khud apna aib hi seena agar figar na ho

Dikhaoon dagh e mohabbat jo ho qusoor maaf
Sunaoon qissa e furqat, jo na gawar na ho

Kahan ke saru o sanober, kahan ke lala o gul
Nigah hi main jo kafiyat e bahar na ho

Unhain to dekh ke aaina weham aata hai
Keh yeh kisi ki kahin chashm e intazar na ho

Ajab zamana hai, karta nahin isey tasleem
Kisi sabab say ba zahir jo beqarar na ho

Bas ik nigah e mohabbat se dekh lena hai

Magar, jo khatir e nazuk pe ye bhi bar na ho

Naseeb dil ko ho yun mehw e aarzoo hona
Keh khud bhi chahen agar wo, to hoshyar na ho

Bharay huay hain nigahon main husn ke jalway

Yeh kya majal,jahan main hun, or bahar na ho

Khayal e wasl se kar to raha hun kuch batain
Qareeb hai kaheen lekin nigah e yar na ho 


Main sun ke hazrat Asghar ke ae jigar!ashaar
Woh mast hoon ke koi pi ke bada khawar na ho
Tuesday, March 11, 2014 | 0 comments | Labels:
Hansi Labon Pay Sajaaey Udaas Rehta Hai
Ya Kaun
Hai Jo Mery Ghar Ke Paas Rehta Hai

Yeh Aur Baat keh Milta Nahee Koi Us Say
Magar Woh Shakhs Sarapa Sipas Rehta
Hai

Jehan Pay Doob Gya Meri Aas Ka Suraj
Ussi Jaga Woh Sitara Shanas Rehta
Hai

Likhi
Hai Kis Nay Yeh Tehreer Rag-e-sahil Per
Bahot Dinon Say Samandar Udaas Rehta
Hai

Guzar Raha Hoon Sauda Garon Ki Basti Say
Badan Pay Dekhiye Kab Tak Libas Rehta
Hai

Mein Wehshaton Ke Safar Main Bhi Kahan Tanha
Yahi Gumaan
Hai Koi Aas Pass Rehta Hai

Mein Guft o go Ke Her Andaz Ko Samhajta Hon
Keh Meri Zaat Mein Lehja Shanas Rehta
Hai

Woh Faslon Meib Bhi Rakhta
Hai Rung qurbat Ke
Nazar Say Dur Sahi Dil Ke Pass Rehta
Hai

Jab Us Say Guftogu Karta
Hai Koi Bhi Mir
Ik Iltemaas Pas-e-iltemaas Rehta
Hai
| 0 comments | Labels:
Hamaray baad chali rasm e dosti keh nahin
Hawa ki zad pe koi shama phir jali keh nahin
 

Bichar ke jab bhi milay mujh se puchta hai wo shakhs
Keh in dinon koi taza ghazal hui keh nahin

Suna hai aam thi kal shab ko chand ki bakhshish
Bujhay gharon main bhi utri hai chandni keh nahin
 

Nikal kay jis say hua apna dard aawara
Kisi ke dil me wo mehfil bhie phir saji keh nahin

Wo rahguzar jo andheron main saans leti thi
Tumharey naqsh e qadam se chamak uthi keh nahin 


Dayar e hijr se aaye ho kuch kaho Mohsin!
Keh sham e gham bhi kisi mor per mili keh nahin
| 0 comments | Labels:
Hai kis ka aks dil ke qareen, char su hai kon
Gard e guman chatey to khuley rubaru
hai kon

Kis ke badan ki dhoop ne lehren uchal din
Aye aks e mahtab teh e aab ju
hai kon

Kya janey sung bar hawa ku-e-yaar ki
Paiwand kis qaba me lage, be rafu
hai kon

Nok e sinan pe kyun na sajay apni sarkashi
Juz sheher yar sheher me apna adu
hai kon

Aye maslehat ki taiz hawa, juz ghareeb sheher
Is sheher e nang o naam main be abru
hai kon

Palkon pe kon chunta hai ruswaiyon ki dhool
Ruswa hamaray sath yahan ku baku
hai kon
Monday, March 10, 2014 | 0 comments | Labels:
Neem shab ka ujaar sannata
Khwab alood be sada rastay
Teergi say ati hui galyaan
Khurdaray, sakht, be charagh kiwar

Sehmi sehmi hawa ki dastak say
Saans letey hain be hawasi main
Pairr per chund zard ru pattay
Toot'tey hain zameen per girtay hain
(Jesey be shakal chaap per aksar
Koi beemar dil dharakta he)
Aesi tanhaiyon me bhi ab tak
Main teray nam jagtay sotey
Kheriyat ke khatoot likhta hun


Mohsin Naqvi
| 0 comments | Labels:
Qissay meri ulfat kay jo marqoom hain sarey
Aa daikh terey naam say mausoom
hain sarey!

Bus iss liye her kaam adhooray hi paray hain
Khadim bhi meri qaum ke makhdoom hain sarey

Ab kon merey paoon ki zanjeer ko kholey
Hakim meri basti ke bhi mehkoom
hain sarey!

Shayad ke yeh hai zarf jo khamosh hoon ab tak
Warna to teray aib bhi maloom
hain sarey!

Sub jurm meri zaat say mansoub
hain Mohsin!!
Kiya mere siva sheher mein masoom
hain sarey!
| 0 comments | Labels:
Hawa bhi khushgawar hai, gulon pe bhi nikhar hai​
Tarannumein hazaar hai, bahaar purbahaar hai​
Kahan chalaa hai saaqiya, idhar to laut idhar to aa​
Arey, yeh dekhta hai kya? Uthaa sabu, sabu uthaa​
Sabu uthaa, pyala bhar, pyala bhar ke day idhar​
Chaman ki simt kar nazar, samaan to dekh bekhabar​
Woh kaali kaali badliyaan , ufaq peh ho gai ayaan
Woh ik hajum-e-maikashaan, hai su-e-maikada rawan​
Yeh kya guman hai badguman, samajh na mujh ko naatavan​
Khayal-e-zohd abhi kahan? Abhi to main jawaan hoon


Ibaadaton kaa zikr hai, nijaat ki bhi fikr hai​
Junoon hai sawaab ka, khayal hai azaab kaa​
Magar suno to shaikh ji, ajeeb shay hain aap bhi​
Bhala shabab-o-aashiqui, alag huay bhi hain kabhi?​
Haseen jalwa-rez hon, adaaein fitana khaiz hon
Hawaaein itr-bez hon, to shauq kyun naH taiz hon?​
Nigaah hai fitana gar, koi idhar koi udhar​
Ubhartaye hon aish par, to kya karey koi bashar?​
Chalo ji qissa mukhtasir, tumhara nuqta-e-nazar​
Durust hai to ho magar, abhi to main jawaan hoon


Yeh gasht kohsaar ki, yeh sair ju-e-waar ki​
Yeh bulbulon ke chehchahey, yeh gulrukhon ke qahqahey​
Kisi sey mail ho gya, to ranj-o-fikr kho gya​
Kabhi jo waqt so gya, ye hans gya woh ro gya​
Yeh ishq ki kahaniyan, yeh ras bhari jawaaniyan
Udhar sey meharbaniyan, idhar sey lantaraniyan​
Yeh aasman yeh zameen, nazara haa-e-dilanasheen​
Unhain hayat afareen, bhala main chor doon yahin
Hai maut is qadar qareen, mujhey na aaye ga yaqeen​
Nahin nahin, abhi nahin, nahin nahin abhi nahin

​ Na gham kashood-o-bast ka, baland ka na pust ka​
Na bood ka na hast ka, na wadaa-e-alast ka​
Umeed aur yaas gum, hawas gum qayas gum​
Nazar sey aas-paas gum, hama, bajuz gilas gum​
Na mai mein kuch kami rahey, qadah sey hamdami rahey​
Nashist yeh jami rahey, yahi hama hami rahey​
Wo raag cherr mutrabaa, tarab-fizaa, alam-rubaa​
Asar sadaa-e-saaz ka, jigar mein aag de laga
Har ik lab pe ho sada, na haath rok saaqiya​
Pilaye ja pilaye jaa, abhi to main jawaan hoon



Hafeez Jallandhari
| 0 comments | Labels:
Kisi bhi morr ke aglay paraao par
Juda hi hum ko hona hai
To aao phir
Yahin apnay asason ko alag alag kar lein
Ye jitnay zakhm dil par hain
idher meri taraf kar do
Ke tum aksar yeh kehtay thay
Yeh sab meri badaulat hein
To phir ye zakhm meray hein , mujhay day do ,,

Zara dekho
Yeham kuch khwab bhi hon gay
Jo mil kar hum ne dekhay thay
Unhain taqseem karna hai
So yun kr lo
Sunahay khwab tum rakh lo
Ke meri yun bhi aadat hai
Mujhay tooti hui cheezon say ik be naam raghbat hai
So adhay khwab tum rakh lo
Ye aadhay meray hein
Chalo taqseem ka qissa yahin ab khatm kartay hein

Magar thehro , yahin thehro
Yehan tum say mujhay ik baat kehna ha
Mujhay ik ehd lena hai
Kisi bhi morr ya aglay paraao par
Na murr kar dekhna mujh ko
Ke murr kar dekhnay say ehd kamzor partay hain
Iraday toot jatay hain
Sabar k jaam hathon say palon mein chout jatay hain
Bohat nuqsaan hota hai
Tum ye nuqsaan mat karna
Khyali is kahani mein haqeeqi rang mat bharna
| 0 comments | Labels:
Zindagi Ke Melay Main
Khwahishon Ke Relay Main
Tum Se Kya Kahain Jana
Is Qadar Jhamelay Main
Waqt Ki Ravani Hai
Bakht Ki Girani Hai
Sakht Bezameeni Hai
Sakht Lamakani Hai
Hijr Ke Samandar Main
Takht Aur Takhtay Ki
Ek Hi Kahani Hai
Tum Ko Jo Sunani Hai
Bat Go Zara Si Hai
Bat Umr Bhar Ki Hai
Umr Bhar Ki Batain Kab
Do Ghari Main Hoti Hain
Dard Ke Samandar Main
Anginat Jazeeren Hain
Beshumar Moti Hain
Ankh Ke Dareechay Main
Tum Nay Jo Sajaya Tha
Baat Us Diye Ki Hai
Baat Us Gilay Ki Hai
Jo Lahu Ki Khilwat Main
Chor Ban Ke Ata Hai
Lafz Ki Faseelon Par
Toot Toot Jata Hai
Zindagi Say Lambi Hai
Baat Ratjagay Ki Hai
Rastay Main Kaisay Ho
Baat Takhliye Ki Hai
Takhliye Ki Baaton Main
Guft o gu Izafi Hai
Pyar Karnay Walon Ko
Ik Nigah Kafi Hai
Ho Sakay To Sun Jao
Ek Din Akalay Main
Tum Se Kya Kahen Jana
Is Qadar Jhamele Main
| 0 comments | Labels:
Chalo us sheher jatay hain. . !
Chalo taqdeer ko phir aazmatay hain
Chalo hum rait se peron ke ja kar naqsh chuntay hain
Hawaon per likhi sargoshiyon ko aaj sunty hain
Chalo palkon se, neelay aur sunehray reshmi se khuwab bunty hain
Hatheli per kisi ne likh diya tha lams honton ka
Aur aankhon ke dareechon mein adhoora khuwab rakha tha
Sama’at un-chooi si aahaton ki zad mein hai shayad
Jabhi to dharkanain chup hain, jabhi to sa’atain chup hain


Chalo us sheher jatay hain


Jahan per wasl ko zanjeer se bandha nahi jata
Jahan tadbeer ko taqdeer se bandha nahi jata
Mani ko jahan tehreer se bandha nahi jata
Jahan dil ko kisi jageer se bandha nahi jata
Jahan per chaand taaron se muzayyan raat hoti hai
Jahan per chahaton ki har taraf barsaat hoti hai
Muhabbat ki jahan per jeet hoti hai
Jahan per dil ke saray dushmanon ko maat hoti hai
Chalo us sheher jatay hain. . !
| 0 comments | Labels:
Apni khaatir jagay ho, soay ho,
Apni khaatir hansay ho, roay ho,
Kis liye, Aaj khoay khoay ho,
Tum ne aansu bohat piye apnay,
Tum bohat saal reh liye apnay,
Ab meray, Sirf meray ho ke raho,

Tum azal se dukhon ke dairay ho,
Chahey khud ko ghamon mein ghairay ho,
Jab se paida huay ho meray ho,
Aaj kholain gay lab siye apnay,
Tum bohat saal reh liye apnay,
Ab meray sirf meray ho ke raho,

Ab mujhay apnay dard sehnay do,
Dil ki har baat dil say kehnay do,
Meri banhon mein khud ko behnay do,
Mudatt’ton zakham khud siye apnay,
Tum bohat saal reh liye apnay,
Ab mere, Sirf mere ho ke raho,

Husn hi husn ho, Zahanat ho,
Aashiq hoon mein, Tum to mohabbat ho,
Tum meri , Bas meri amanat ho,
Ji liye, Jis qadar jiye apnay,
Tum bohat saal reh liye apnay,
Ab mere, Sirf mere ho ke raho,

Rehtay ho ranj-o-gham ke ghairon mein,
Dukh ke, asaib ke baseron mein,
Kesay choroon tumhain andheron mein,
Tum ko day doon ga sab diye apnay,
Tum bohat saal reh liye apnay,
Ab mere, Sirf mere ho ke raho
| 0 comments | Labels:
Mujhay uss say muhabbat thi
Keh wo us waqt meray shehr ki banjar zameen par
Abr-e-neesan ka badan orhay
Gulabi kasni mausam k saray zaviay pehnay
Chureray surajon ki sat rangon mein nahaey
Aabsharon ki tarha
Behti, behekti, bolti, bajti
Shuaon ki sunhehri unglian thamay
Baqa k bam say dosh-e-hawa par
Naqsh-e-pa ki daimi khushbo dharay
Dum tortay chehron
Bujhi ankhon
Jalay raston
Katay pairron ki sookhi tehnion ko
Surkharo mausam ki khushkhabri sunanay
Kon janay kis bahanay aa ke utra tha keh jab
Her so udasi apnay khemay nasb kar kay
Wehshiyon ki budnuma dulhan ki soorat nachti thi aur
Meray shehr ki banjar zameen ke be nawa basi
Udasi ko abd ki dewdasi jaan kar apnay lahu ki nazr dena
Kaar-e-awwal jantay thay
Mantay thay
Sabhi zameenon ki jabeenain daaghnay walon ko "an data "
Sunehri baliyon ka bankpan jin ke badan, kundan banata
Un ke darwazon pay aawazon ko dafnanay ki adat ik ibarat thi

Mujhay us say muhabbat thi
Keh us ne benawa logon ke yakhbasta zameeron
Ko jaga kar
Muddaton se sar jhuka kar reengnay walon ko seena taan kar
Gardan utha kar
Saf ba saf charon taraf nazrein ghuma kar
Sub zameenon ki jabeenein daghnay walon ke
Chamkeelay girebanon kay taankon mein
Khud apnay jism ke ristay laho say
Phoot'ti chingarian bharnay
Ki jurrat ka hunar bakhsha
Sulagtay khurdaray hathon ki mehnat ko samar bakhsha

Mujhay us say muhabbat thi
Keh us ne wehm ke jaalay mein uljhi fakhtaaon ko
Chamaktay aasmanon ki basharat di
Bujhi dharti ki sharyanon mein
Sehmay khoon ko taza hararat di

Mujhay us say muhabbat thi
Keh us ne dar ke mathay pay
Zakhmi unglion say zindagi ka naam likh kar
Apnay " honay " ka bharam rakha
Keh us ne ehd ke saray andheray cheer kar
Sach ke saweray mein qadam rakha .

Mohsin Naqvi
Thursday, March 6, 2014 | 0 comments | Labels:
Ye Thaka Thaka Sa Jo Chaand Hai
Ye To Khuwab Hai Kisi Aankh Ka
Jisay Jaagnay Ki Saza Mili

Ye Jo Chand Hai, Ye Azaab Hai
Wo Azzab
Jisne Mila Diya Hai Gulaab Lamhoun Ko Khaak Main

Ye Jo Chand Hai, Ye Jawaab Hai
Kisi Is Tarha Ke Sawal Ka
Ke Jo Aaj Tak Na Utha Kabhi Kisi Zehan Mai

Ye Jo Chand hai
Ye To Baab Hai kisi Dard ka
Kisi Hijr Ka, Kisi Wasl Ka
Kisi Zard Zard Si Fasl Ka

Ye Thaka Thaka Sa Jo Chand Hai
Kabhi Bun Paray To Ye Us Se Pooch Ke Dekhna
Issey Gehri Gehri Si Neend Say
Bhala Kisnay aa Ke Jaga diya?
Issey Rog Kisne Laga diya?
| 0 comments | Labels:
Abhi kon tujh se wafa karay?
Abhi kis ko fursatein hain is qadar
Keh samait ker teri kirchiyan
Tere haq mein khud se dua karay?
Abhi zid na ker dil-e-be khabar
Keh teh-e-ghubar-e-gham-e-jahan!
Kahan kho gaye terey chara gar?
Keh raah-e-hayat mein raegaan
Kahan so gaye teray humsafar…!
Abhi ghum gusaron ki chot seh…
Abhi kuch na sun, abhi kuch na keh…
Abhi zid na ker merey be nawa
Sabhi khwab raakh mein dafn ker!!
Abhi ho sake to ye soch lay!
Keh taloo-e-ashk se peshter
Kahin dard hai to hua karay
Koi chot hai to khila karay…
Kabhi yoon bhi ho k sar-e-ufaq
Teray dukh ka chand damak uthay…
Koi tees khud se chamak uthay
Kisi shehr-e-zakhm-e-farosh mein
Koi zakhm khud se khareed kar
Sabhi aks khud se khurach kabhi
Kisi aainey pe na deed ker
Kabhi yoon bhi jashn-e-tareb mana
| 0 comments | Labels:

Kam kam kaho, sanbhal ke kaho, shan se kaho
Roodaad e shouq zabt kay unwaan say kaho

Is meN kuch apne pyaar ki izzat ka hai sawaal
Aa jaaye raah par dil e naadaan say kaho

Tark e wafaa jahaan main koi jurm to nahi
Kya tum wafa shu’aar ho? Emaan say kaho

Us dar pe ehl e dil ko nahi poochhta koi
Tum ek raees e shahr ho! Darbaan say kaho

Kyun le rahe ho hazrat e naaseh ka imtehaan
Jo dil ki baat hai kisi insaan say kaho

Humne bana liya hai naya phir se aashiyaan
Jaao yeh baat phir kisi toofaan say kaho

Kis munh se ab Qateel pe dharte ho tohmaten
Yeh sab hikaayaten kisi anjaan say kaho
Wednesday, March 5, 2014 | 0 comments | Labels:
Firaq-e-Yaar ki Barish Malaal ka Mausam
Humaray Shehr Mein Utra kamal ka Mausam

Wo ik Dua Meri Jo Na Muraad Laut Aai..
Zuban Se Rooth Gya Phir Sawal ka Mausam

Jo Be-Yaqeen Hon, Baharen Ujarr Bhi Sakti Hain
Tu Aa ke Daikh Lay Meray zawaal ka Mausam

Mohabbatain Bhi teri Dhoop Chaon Jaisi Hain
Kabhi Ye Hijr, kabhi Ye Wisaal ka Mausam

Koi Mila Hi Nahi Jis ko Sonptey..Mohsin..
Hum Apney Khawb ki Khushbu Khyaal ka Mausam
| 0 comments | Labels:
Maanoos Kar Chukey Hein Ye Deewar-o-Dar Mujhey
Zindaan Ke Baad Raas Na Aaye ga Ghar Muhjey

Umeed-e-Zindagi Nahin Aye Charah-Gar Mujhey
Shaam Ho gai Tou Phir Na Hogi Sahar Mujhey

Mein Ek Mata-e-Eshq Hoon, Khoya Agar Mujhey
Shayed Na Pa Sako ge Kaheen Umar Bhar Mujhey

Kya Jeetay Jee Umeed-e-Rehayi Say Waasta
Dhoka Na Dein Qafas Mein Merey Baal-o-Par Mujhey

Do Jan-ba-Lab Mareez Hein, Ek Marg-e-Muntazir
Mein Us Ko Dekhhta Hoon, Charagh-e-Sahar Mujhey

Tung Aa ke Chorta Hoon Dunya Ko Aap Hi
Duyna Ghareeb Chor Ke Jaati Kidhar Mujhey

Aaina Bun Raha Hoon Kisi Ke Jamal Ka
Kuch Sochtey Hein Dekh Ke Ahl-e-Nazar Mujhey

Maadoom Ho Chuka Yeh Ehsaas-e-Zindagi
Chahein To Zehar De Dein Merey Charah-Gar Mujhey

Jeeney Ki Hai Salaah, Keh Marney Ki, Ishq Mein
Dil say Ye Poochna Hai Kahein Baith Kar Mujhey
| 0 comments | Labels:
Mohabbat Rog Hai Jaana
Ajab Sanjog Hai Jaana
Yeh Kaisa Jog Hai Jaana

Baray Boorhay Btatay Thay
Kai Qissay Sunatay Thay
Magar Hum Mantay Kab Thay
Yeh Sab Kuch Jantay Kab Thay
Yeh Baatein Zikr ke Qabil
Bhala Gardantay Kab Thay

Ana k Takht Par Baithay
Humein Maloom Hi Kab Tha
Ana ke Takht Se Ooper
Bohat Sari Bulandi Par
Kahin Pariyon ke Jhurmat Mein
Teray Pairoon Ki Payel Mein
Teray Chotay Se Gaaon Mein
Ghani Zulfoon Ki Chaaon Mein
Sitaray Chaand Sooraj
Walehana Raqs Kartay Hain

Humein Maloom Hi Kab Tha

Teray Qadmon Ki Aahat Par
Gulabi Muskurahat Par
Teray Hontoon Ki Jumbish Par
Teray Sir k Isharay Par
Sada-e-Dil Barana Par
Nigah-e-Qatilana Par
Jafa-e-Mehramana Par
Ada-e-Kafirana Par
Chaman ke Phool Saray
Is Tarah Se Dhyan Detay Hain
Zara Say Wasl k Jhansey Mein
Apni Jaan Detay Hain

Humein Kab ILM Tha Jaana

Teray Pekar Se Dhul kar
Chandni Har Soo Bikharti Hai
Shab-e-Mahtab Ki Dosheezgi
Kaisy Nikharti Hai
Teri Payal Ki Chan Chan
Mann Mein Kya Ghanti Bajati Hai
Teri Awaz Veeranay Mein
Kya Jadu Jagati Hai
Teray Naghmay Fiza Mein
Kis Tarah Jal Tarang Bajaty Hain
Bohat Pukhta Iraday
Kis Tarah Se Toot Jatay Hain

Humein Idraak Hi Kab Tha

Humein Kamil Bharosa Tha
Hamaray Sath Kisi Surat
Bhi Aisa Nahi Ho Ga
Dil-e-Nadaan Kabhi
Qaboo Se BeQaboo Nahi Ho Ga
Yeh DuniyaDaar
DuniyaDaar Se Saadhuu Nahi Ho Ga

Magar....


Magar Phir Yun Hua Jaana

Na Janay Kyun Hua Jaana
Bara Afsoon Hua Jaana
Jigar Ka Khoon Hua Jaana

Teray Abroo Ki Ik Jumbish
Se Ghayel Ho Gaye Hum bhi
Baray Be Multafit Phirtay Thay
Maayel Ho Gaye Hum bhi
Sakhawat Karnay Aye Thay
Aur Saayel Ho Gaye Hum bhi
Baray Boorhon Ki In Baaton ke
Qaayel Ho Gaye Hum bhi

Keh ...

Mohabbat Rog Hai Jaana

Ajab Sanjog Hai Jaana
Yeh Kaisa Jog Hai Jaana...!!!
| 0 comments | Labels:
Aankhon se khawb, dil se tamanna tamam shud
Tum kya gaye keh shoq-e-nazara tamaam shud

Kal teer-e-tishnagaan se yeh kya moajza hua
Darya pay hont rakhay to darya tamam shud

Dunya to ik barf ki sil say siwa na thi
Pohnchi zara jo aanch to dunya tamam shud

Ishq per yeh ab kay ajab waqt aa para
Majnoon ke dil se hasrat-e-laila tamam shud

Shehr-e-dil-e-tabah mein pohnchun to kuch khulay
Kya bach gya hai raakh mein or kya tamam shud

Hum shehr-e-jaan mein aakhri naghma suna chukay
Samjho keh ab hamara bhi tamasha tamam shud

Ik yaad-e-yar hi to pas-e-andaaz hai Mohsin
Werna wo kaar-e-ishq to kab ka tamaam shud
| 0 comments | Labels:
Mushkil hai ab sheher mein nikay koi ghar say
Dastaar pe baat aa gai hai hoti hui ser say

Barsa bhi to kis dasht ke be-faiz badan par
Ik umr meray khait thay jis abr ko tarsay

Is baar jo eindhan ke liye kat ke gira hai
Chiryon ko bara pyar tha us boorhay shajr say

Mehnat meri aandhi se to mansuub nahin thi
Rehna tha koi rabt shajr ka bhi samar say

Khud apnay se milne ka to yarana tha mujh mein
Main bheer mein gum ho gai tanhaai ke dar say

Benaam musaafat hi muqaddar hai to kya gham
Manzil ka ta'yyun kabhi hota hai safar say

Pathraya hai dil yun ki koi talism parha jaaye
Ye sheher nikaltaa nahin jadu ke asar say

Nikale hain to raste mein kahin shaam bhi hogi
Suraj bhi magar aaye ga is raah-guzar say

Perveen Shakir
Tuesday, March 4, 2014 | 0 comments | Labels:
Mere tun ke zakhm na gin abhi
Meri aankh main abhi noor hai
Mere bazu'on pe nigah ker
Jo ghuroor tha, wo ghuroor hai.
Abhi taza dum hai mera faras
Naye ma'arkon pe tula hua!
Abhi razm gah ke dermyan
Hai mera nishan khula hua
Teri chashm e bud se rahain nihan
Wo tahain jo hain meri zaat ki
Mujhay dekh qabza e taigh per
Hai garift abhi meray hath ki
Wo jo dasht e jaan ko chaman karay
Yeh sharf to meray lahu ka hai
Mujhay zindagi se azeez tar
Yeh jo khel taigh o gulu ka hai
Tujhay maan josh o garz per
Mera harf e haq meri dhaal hai
Tera jaur o zulm bala sahi
Mera hosla bhi kamal hai
Main us qabeelay ka fard hoon
Jisay naz sidq o yaqeen pe hai
Yehi nama ber hai bahar ka
Jo gulab meri jabeen pe hai..!

Ahmed Faraz
| 0 comments | Labels: