twitter

Aye Ishq Na Chaer Aa Aa Ke Hamain, Hum Bhoolay Hu'on Ko Yaad Na Kar
Pehlay Hi Bahut Nashaad Hain Hum, Tu Aur Hamain Nashaad Na Kar
Qismat Ka Sitam Hi Kum Nahi Kuch , Yeh Taza Sitam Ijaad Na Kar
Yun Zulm Na Kar Bedaad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Jis Din Say Milay Hain Dono Ka, Sab Chain Gya, Aaram Gya
Chehron Say Bahar-e-Subh Gai, Aankhon Say Farogh-e-Sham Gya
Haathon Say Khushi Ka Jaam Chuta, Honthon Say Hansi Ka Naam Gya
Ghamgeen Na Bana Nashaad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Raaton Ko Uth Uth Ke Rotay Hain, Ro Ro Kar Duaien Kartay Hain
Aankhon Main Tasawur Dil Main Khalish, Sar Dhuntay Hain Aahain Bhartay Hain
Aye Ishq Yeh Kaisa Rog Laga, Jeetay Hain Na Zaalim Martay Hain
Yeh Zulm To Aye Jallaad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Yeh Rog Laga Hai Jab Se Hamain, Ranjeeda Hoon Main Beemaar Hai Woh
Har Waqt Tapish Har Waqt Khalish, Bekhuwaab Hoon Main Bedaar Hai Woh
Jeenay Say Idhar Bezaar Hoon Main, Marnay Pay Udhar Tayaar Hai Woh
Aur Zabt Kahay Faryaad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Jis Din Se Bandha Hai Dheyan Tera, Ghabraey Huay Se Rehtay Hain
Her Waqt Tasawur Ker Ker Ke, Sharmaey Huay Se Rehtay Hain
Kumhlaey Huay Phoolon Ki Tarah Kumhlaey Huay Se Rehtay Hain
Pamaal Na Ker, Barbaad  Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Bedard Zara Insaaf To Kar, Is Umr Main Aur Maghmoom Hai Woh
Phoolon Ki Tarah Naazuk Hai Abhi, Taaron Ki Tarah Masoom Hai Woh
Yeh Husan Sitam Yeh Ranj Ghazab, Majboor Hoon Main Mazloom Hai Woh
Mazloom Pe Yun Bedaad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Aye Ishq Khudara Dekh Kaheen, Woh Shokh Haseen Badnaam Na Ho
Woh Maah-e-Laqa Badnaam Na Ho, Woh Zohra-Jabeen Badnaam Na Ho
Naamoos Ka Us Ko Paas Rahay, Woh Parda Nasheen Badnaam Na Ho
Us Pardaa Nasheen Ko Yaad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Ummeed Ki Jhuthi Jannat Kay, Reh Reh Kay Na Dikhla Khwaab Hamain
Aainda Kay Farzi Ishrat Kay, Waday Say Na Kar Betaab Hamein
Kehta Hai Zamana Jis Ko Khushi, Aati Hai Nazar Kumyaab Hamein
Chor Aisi Khushi Ko Yaad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Kya Samjhay Thay Aur Tu Kya Nikla, Yeh Soch Ke Hi Heran Hain Hum
Hai Pehlay Pehel Ka Tajraba Aur Hum Umr Hain Hum, Anjan Hain Hum
Aye Ishq! Khudara Rehem o Karam! Masoom Hain Hum, Nadan Hain Hum
Nadan Hain Hum, Na Shad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Woh Raz Hai Yeh Gham e Aah Jesay, Pa Jaye Koi To Khair Nahi
Aankhon Se Jab Aansu Behtay Hain, Aa Jaye Koi To Khair Nahi
Zalim Hai Yeh Dunya, Dil Ko Yahan, Bha Jaye Koi To Khair Nahi
Hai Zulm Magar Faryaad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Do Din Hi Main Ehd-e-Tifali Kay, Masoom Zamaanay Bhool Gaye
Aankhon Say Woh Khushyaan Mit Si Gai, Lab Ke Woh Taraanay Bhool Gaye
Un Paak Bahishti Khwaabon Kay, Dilchasp Fasaanay Bhool Gaye
Un Khwaabon Se Yun Aazaad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Is Jaan e Haya Ka Bus Nahi Kuch, Baybus Hai Paraey Bus Main Hai
Bay Dard Dilon Ko Kya Hai Khabar, Jo Pyar Yahan Aapas Main Hai
Hai Bay Basi Zeher Aur Pyar Hai Rus, Yeh Zeher Chupa Is Rus Main Hai
Kehti Hai Haya Faryaad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Aankhon Ko Yeh Kya Aazar Hua, Her Jazb Nihan Per Ro Dena
Aahang e Tarab Per Jhuk Jana, Awaz e Fughan Per Ro Dena
Barbat Ki Sada Per Ro Dena, Matrab Ke Bayan Per Ro Dena
Ehsas Ko Ghum Bunyaad Na kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Her Dum Abdi Rahat Ka Saman Dikhla Ke Hamain Dilgeer Na Kar
Lillah Hubab e Aab e Rawan Per Naqsh e Baqa Tehreer Na Kar
Mayoosi Ke Ristay Badal Per Umeed Ke Ghar Tameer Na Kar
Tameer Na Kar, Aabad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Jee Chahta Hai Ik Doosray Ko Yun Aath Peher Hum Yaad Karain
Aankhon Main Basa'ain Khwabon Ko, Aur Dil Main Khayal Aabad Karain
Khilwat Main Bhi Ho Jalwat Ka Saman, Wahdat Ko Dui Se Shad Karain
Yeh Aarzuain Eejad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar

Dunyaa Ka Tamasha Dekh Liya, Ghamgeen Si hai, Bay Taab Si Hai
Umeed Yahan Ik Wehem Si Hai, Taskeen Yahan Ik Khwab Si Hai
Dunya Main Khushi Ka Naam Nahi, Dunya Main Khushi Nayab Si Hai
Dunya Main Khushi Ko Yaad Na Kar
Aye Ishq Hamain Barbaad Na Kar


Akhtar Sheeraani
Wednesday, October 8, 2014 | 0 comments | Labels:

0 comments: