twitter

Mohabbat Rog Hai Jaana
Ajab Sanjog Hai Jaana
Yeh Kaisa Jog Hai Jaana

Baray Boorhay Btatay Thay
Kai Qissay Sunatay Thay
Magar Hum Mantay Kab Thay
Yeh Sab Kuch Jantay Kab Thay
Yeh Baatein Zikr ke Qabil
Bhala Gardantay Kab Thay

Ana k Takht Par Baithay
Humein Maloom Hi Kab Tha
Ana ke Takht Se Ooper
Bohat Sari Bulandi Par
Kahin Pariyon ke Jhurmat Mein
Teray Pairoon Ki Payel Mein
Teray Chotay Se Gaaon Mein
Ghani Zulfoon Ki Chaaon Mein
Sitaray Chaand Sooraj
Walehana Raqs Kartay Hain

Humein Maloom Hi Kab Tha

Teray Qadmon Ki Aahat Par
Gulabi Muskurahat Par
Teray Hontoon Ki Jumbish Par
Teray Sir k Isharay Par
Sada-e-Dil Barana Par
Nigah-e-Qatilana Par
Jafa-e-Mehramana Par
Ada-e-Kafirana Par
Chaman ke Phool Saray
Is Tarah Se Dhyan Detay Hain
Zara Say Wasl k Jhansey Mein
Apni Jaan Detay Hain

Humein Kab ILM Tha Jaana

Teray Pekar Se Dhul kar
Chandni Har Soo Bikharti Hai
Shab-e-Mahtab Ki Dosheezgi
Kaisy Nikharti Hai
Teri Payal Ki Chan Chan
Mann Mein Kya Ghanti Bajati Hai
Teri Awaz Veeranay Mein
Kya Jadu Jagati Hai
Teray Naghmay Fiza Mein
Kis Tarah Jal Tarang Bajaty Hain
Bohat Pukhta Iraday
Kis Tarah Se Toot Jatay Hain

Humein Idraak Hi Kab Tha

Humein Kamil Bharosa Tha
Hamaray Sath Kisi Surat
Bhi Aisa Nahi Ho Ga
Dil-e-Nadaan Kabhi
Qaboo Se BeQaboo Nahi Ho Ga
Yeh DuniyaDaar
DuniyaDaar Se Saadhuu Nahi Ho Ga

Magar....


Magar Phir Yun Hua Jaana

Na Janay Kyun Hua Jaana
Bara Afsoon Hua Jaana
Jigar Ka Khoon Hua Jaana

Teray Abroo Ki Ik Jumbish
Se Ghayel Ho Gaye Hum bhi
Baray Be Multafit Phirtay Thay
Maayel Ho Gaye Hum bhi
Sakhawat Karnay Aye Thay
Aur Saayel Ho Gaye Hum bhi
Baray Boorhon Ki In Baaton ke
Qaayel Ho Gaye Hum bhi

Keh ...

Mohabbat Rog Hai Jaana

Ajab Sanjog Hai Jaana
Yeh Kaisa Jog Hai Jaana...!!!
Wednesday, March 5, 2014 | 0 comments | Labels:

0 comments: