Mujhay uss say muhabbat thi
Keh wo us waqt meray shehr ki banjar zameen par
Abr-e-neesan ka badan orhay
Gulabi kasni mausam k saray zaviay pehnay
Chureray surajon ki sat rangon mein nahaey
Aabsharon ki tarha
Behti, behekti, bolti, bajti
Shuaon ki sunhehri unglian thamay
Baqa k bam say dosh-e-hawa par
Naqsh-e-pa ki daimi khushbo dharay
Dum tortay chehron
Bujhi ankhon
Jalay raston
Katay pairron ki sookhi tehnion ko
Surkharo mausam ki khushkhabri sunanay
Kon janay kis bahanay aa ke utra tha keh jab
Her so udasi apnay khemay nasb kar kay
Wehshiyon ki budnuma dulhan ki soorat nachti thi aur
Meray shehr ki banjar zameen ke be nawa basi
Udasi ko abd ki dewdasi jaan kar apnay lahu ki nazr dena
Kaar-e-awwal jantay thay
Mantay thay
Sabhi zameenon ki jabeenain daaghnay walon ko "an data "
Sunehri baliyon ka bankpan jin ke badan, kundan banata
Un ke darwazon pay aawazon ko dafnanay ki adat ik ibarat thi
Mujhay us say muhabbat thi
Keh us ne benawa logon ke yakhbasta zameeron
Ko jaga kar
Muddaton se sar jhuka kar reengnay walon ko seena taan kar
Gardan utha kar
Saf ba saf charon taraf nazrein ghuma kar
Sub zameenon ki jabeenein daghnay walon ke
Chamkeelay girebanon kay taankon mein
Khud apnay jism ke ristay laho say
Phoot'ti chingarian bharnay
Ki jurrat ka hunar bakhsha
Sulagtay khurdaray hathon ki mehnat ko samar bakhsha
Mujhay us say muhabbat thi
Keh us ne wehm ke jaalay mein uljhi fakhtaaon ko
Chamaktay aasmanon ki basharat di
Bujhi dharti ki sharyanon mein
Sehmay khoon ko taza hararat di
Mujhay us say muhabbat thi
Keh us ne dar ke mathay pay
Zakhmi unglion say zindagi ka naam likh kar
Apnay " honay " ka bharam rakha
Keh us ne ehd ke saray andheray cheer kar
Sach ke saweray mein qadam rakha .
Mohsin Naqvi

0 comments:
Post a Comment