twitter

Chalo us sheher jatay hain. . !
Chalo taqdeer ko phir aazmatay hain
Chalo hum rait se peron ke ja kar naqsh chuntay hain
Hawaon per likhi sargoshiyon ko aaj sunty hain
Chalo palkon se, neelay aur sunehray reshmi se khuwab bunty hain
Hatheli per kisi ne likh diya tha lams honton ka
Aur aankhon ke dareechon mein adhoora khuwab rakha tha
Sama’at un-chooi si aahaton ki zad mein hai shayad
Jabhi to dharkanain chup hain, jabhi to sa’atain chup hain


Chalo us sheher jatay hain


Jahan per wasl ko zanjeer se bandha nahi jata
Jahan tadbeer ko taqdeer se bandha nahi jata
Mani ko jahan tehreer se bandha nahi jata
Jahan dil ko kisi jageer se bandha nahi jata
Jahan per chaand taaron se muzayyan raat hoti hai
Jahan per chahaton ki har taraf barsaat hoti hai
Muhabbat ki jahan per jeet hoti hai
Jahan per dil ke saray dushmanon ko maat hoti hai
Chalo us sheher jatay hain. . !
Monday, March 10, 2014 | 0 comments | Labels:

0 comments: