Qissay meri ulfat kay jo marqoom hain sarey
Aa daikh terey naam say mausoom hain sarey!
Bus iss liye her kaam adhooray hi paray hain
Khadim bhi meri qaum ke makhdoom hain sarey
Ab kon merey paoon ki zanjeer ko kholey
Hakim meri basti ke bhi mehkoom hain sarey!
Shayad ke yeh hai zarf jo khamosh hoon ab tak
Warna to teray aib bhi maloom hain sarey!
Sub jurm meri zaat say mansoub hain Mohsin!!
Kiya mere siva sheher mein masoom hain sarey!

0 comments:
Post a Comment