Hawa bhi khushgawar hai, gulon pe bhi nikhar hai
Tarannumein hazaar hai, bahaar purbahaar hai
Kahan chalaa hai saaqiya, idhar to laut idhar to aa
Arey, yeh dekhta hai kya? Uthaa sabu, sabu uthaa
Sabu uthaa, pyala bhar, pyala bhar ke day idhar
Chaman ki simt kar nazar, samaan to dekh bekhabar
Woh kaali kaali badliyaan , ufaq peh ho gai ayaan
Woh ik hajum-e-maikashaan, hai su-e-maikada rawan
Yeh kya guman hai badguman, samajh na mujh ko naatavan
Khayal-e-zohd abhi kahan? Abhi to main jawaan hoon
Ibaadaton kaa zikr hai, nijaat ki bhi fikr hai
Junoon hai sawaab ka, khayal hai azaab kaa
Magar suno to shaikh ji, ajeeb shay hain aap bhi
Bhala shabab-o-aashiqui, alag huay bhi hain kabhi?
Haseen jalwa-rez hon, adaaein fitana khaiz hon
Hawaaein itr-bez hon, to shauq kyun naH taiz hon?
Nigaah hai fitana gar, koi idhar koi udhar
Ubhartaye hon aish par, to kya karey koi bashar?
Chalo ji qissa mukhtasir, tumhara nuqta-e-nazar
Durust hai to ho magar, abhi to main jawaan hoon
Yeh gasht kohsaar ki, yeh sair ju-e-waar ki
Yeh bulbulon ke chehchahey, yeh gulrukhon ke qahqahey
Kisi sey mail ho gya, to ranj-o-fikr kho gya
Kabhi jo waqt so gya, ye hans gya woh ro gya
Yeh ishq ki kahaniyan, yeh ras bhari jawaaniyan
Udhar sey meharbaniyan, idhar sey lantaraniyan
Yeh aasman yeh zameen, nazara haa-e-dilanasheen
Unhain hayat afareen, bhala main chor doon yahin
Hai maut is qadar qareen, mujhey na aaye ga yaqeen
Nahin nahin, abhi nahin, nahin nahin abhi nahin
Na gham kashood-o-bast ka, baland ka na pust ka
Na bood ka na hast ka, na wadaa-e-alast ka
Umeed aur yaas gum, hawas gum qayas gum
Nazar sey aas-paas gum, hama, bajuz gilas gum
Na mai mein kuch kami rahey, qadah sey hamdami rahey
Nashist yeh jami rahey, yahi hama hami rahey
Wo raag cherr mutrabaa, tarab-fizaa, alam-rubaa
Asar sadaa-e-saaz ka, jigar mein aag de laga
Har ik lab pe ho sada, na haath rok saaqiya
Pilaye ja pilaye jaa, abhi to main jawaan hoon
Hafeez Jallandhari

0 comments:
Post a Comment