twitter

Hum apnay aap ko
Pat'thar ana ke khauf say
Jitna bazahir pur sukoon rehnay ki aadat daal lain
Per hijr ki bechain yakh basta hawa say
Raakh mein dhalti tamanna'ein bhi
Aakhir kapkapati hain
Sada'ein larrkharrati hain
Tumhain maloom to ho ga
Keh kachi umr ki chahat
Hazaron saal bhi dil k kisi gehray samandar mein rahay paband
Per
Phir bhi kabhi marti nahi
Main ne bohat arsa tumhain
Yaadon, khayalon aur khuwabon ki nigaahon say kiya ojhal
Magar jaanan
Main apnay aap say ab larrtay larrtay thak gya hoon
Aur akelaypan ke weeraan shehar mein jab shaam dhalti hai
To muddat say thaki haari wafa'ein
Sog mein doobay huay kuch geet gaati hain
Tumhain wapas bulati hain

Farhat Abbaas Shaah
Wednesday, October 8, 2014 | 0 comments | Labels:

0 comments: