twitter

Phirtay hain ab bhi dil ko girebaan kiye huay
Jin wehshiyon pe hain tere ehsaan kiye huay

Tajdeed-e-ishq kia ho keh barson guzar gaye
Tujh se koi sukhan bhi meri jaan kiye huay

Ab tujh se kya gila ho keh ek umar ho gai
Hum ko bhi qasd-e-koocha-e-janaan kiye huay

Dil se hui hai phir tere bare mein guft o gu
Tar ansuon se deeda-o-daamaan kiye huay

Jee manta nahin hai ke hum bhi bhula chukeen
Teri tarah se wada-o-paimaan kiye huay

Kuch zid mein nasehon ki tujhe chahte rahe
Kuch paasdari-e-dil-e-nadaan kiye huay

Hum woh keh tujh ko shair mein tasveer kar diya
Surat garaan-e-shehar ko hairaan kiye huay

Aye ishq hum se aur bhi honge zamanay mein
Achay bhale gharon ko bayabaan kiye huay

Kuch hum se na murad keh phirtay hain kubaku
Dil ko kisi faqeer ka daamaan kiye huay

Wada kia tha us ne kisi shaam ka kabhi
Hum aaj tak hain ghar mein charaghan kiye huay

Ab us ke jaur se bhi gaye hum keh jab se hain
Apne kiye pe us ko pashemaan kiye huay

Yeh rut-jagay qabool keh araam se to hain
Rakhtay thay warna khwab pareshan kiye huay

Hum woh aseer hain keh zamanay guzar gaye
“Band apnay aap par dar-e-zindan kiye huay"

Tark-e-wafa ke baad hawas ikhtiyar ki
Is karobar mein bhi hain nuqsaa kiye huay

Jaan-e-Faraz marg-e-tamanna ke bawajood
Bhoolay nahi humain teray ehsan kiye huay
Sunday, October 26, 2014 | 0 comments | Labels:

0 comments: