twitter

Sari baten bhool janab fariha.
Tha wo sub kuch ik fasana fariha.

Han mohabbat 1 dhoka he to thi.
Tum kabhi dhoka na khana fariha.

Cher day gar koi mera tazkira.
Sun k tanzan muskurana fariha.

Meri jo nazmaen tumhare naam hain.
Ab unhen mat gun'gunana fariha.

Tha faqat ruhon k naly ki shikast.
Wo taran'num wo tarana fariha

Behs kya karna bhala halaat se.
Haarna hai haar jana fariha.

Saz o barg e aish ko meri tarha.
Tum nazar se mat girana fariha

Hai shaoor e gham ki ik qimat magar.
Tum ye qimat mat chukana fariha.

Zindagi hai fitratan kuch bad’mizaaj.
Zindagi k naaz uthana fariha.

Pesh kash mein phool kar lena qabool.
Ab sitare mat mangwana fariha.

Chand wiranen tas’sawar mein rahen.
Jab nai duniya basana fariha.

Jaanib e ashr e tag e shehr e bahaar.
Ho saky to mill k janab fariha.

Sochta hun kis qadar tareek hai.
Ab mera baqi zamana fariha.

Sun raha hun manzil e ghurbat se door.
Baj raha hai shaadiyana fariha.

Moj e zan pata hun me ik sayl e gham.
Az qafas ta ashiyana fariha.

Ho mubarak rasm e taqreeb e shabaab.
Bar muraad e khirwarana fariha.

Saj k wo kesa laga ho ga jo tha.
Aik khaab e shai’rana fariha.

Sochta hun k mujh ko chahiye.
Ye khushi dill se lagana fariha.

Kya huwa gar zindagi ka bas na chaly.
Ham nhi shana bashana fariha.

Waqt shayad aap apna jabr hai.
Is pe kya tohmat lagana fariha.?

Zindagi ik naqsh e be’naqaash hai.
Us pe kya ungli uthana fariha.?

Kaash ik qanoon hota jo nhi.
zakhm apne kya dikhana fariha.?

Kaash kuch iqdaar hotin jo nhi.
Phir bhala dill kya lagana fariha.?

Sirf ik jalti hoi zulmat hao noor.
Taab o tabish par na jana fariha.

Ye jo sub kuch hai ye shayad kuch nhi.
Roog jee ko kya lagana fariha.?

Sayl hai bus beqaran lamhon ka sayl.
Gharq e sayl e beqarana fariha.


Jaun Elia
Thursday, October 9, 2014 | 4 comments | Labels:

4 comments:

  1. Unknown
    January 9, 2016 at 11:52 PM

    Bohat khoob inekhab...(Y)

  1. Unknown
    May 27, 2017 at 8:48 PM

    ye fariha thin kon mughe nhi malum lekin amar hogayi hain ye..khair agar kisi ko maloom ho to batae

  1. Unknown
    October 31, 2017 at 12:46 AM

    Fariha joun ke khayali mahboba the
    Wasy is ka matlb khobsurat larki k han

  1. Anonymous
    April 20, 2018 at 8:19 PM

    Fariha Sarkar jaun Elian shb ka woh love tha jisay unhon nay kabhi kuch nhi kaha. Bs dil hi dil main mohabbat ki un say