twitter

Kahin goyai ke haathon sama’at ro rahi hai
Kahin lab basta reh janay ki hasrat ro rahi hai

Kisi deewar par nakhun ne likha hai rehaai
Kisi ghar main aseeri ki aziyyat ro rahi hai

Kahin mimber pe betha hai ek sajde ka nasha
Kisi mehraab ke neechay ibaadat ro rahi hai

Yeh mathay par paseenay ki jo larzish tum ne dekhi
Yeh ek chehray pe la-hasil mushaqqat ro rahi hai

Ajab mahfil hai sab ek doosray pe hans rahe hain
Ajab tanhaai hai khilwat ki khilwat ro rahi hai

Yeh khamoshi nahi, sab ilteja'ain thak chuki hain
Yeh aankhen tar nahi, rone ki himmat ro rahi hai

Jo baad az hijr aaya, us ko kaise wasl kah doon?
Shikaayat say gale mil ke nadaamat ro rahi hai

Isay ghussa na samjho! ‘Azm’ yeh mere lahoo me
Musalsal zabt karnay ki riwaayat ro rahi hai
Monday, July 21, 2014 | 0 comments | Labels:

0 comments: