twitter

Lay ke aaya hoon tumharay saamnay seenay ke daagh
Dair say lau dey rahey hain baada-e-fun ke chiraagh
Aik rahro ja raha tha raastay mein bey khayaal
Dil ko mustaqbil ki ummeedon say behlata hua
Tum achanak aaeen aur khaas ik doraahey ke qareeb
Apni paayal ke tarannum say usay chonka dia
Aur us say uski manzil ka tasawwur cheen kar
Aik bey maqsad safar ke ehd o peimaan kar liye
Ab tumhari rahbaree thee aur takhayyul ka faraib
Raastay badlay gaye aur kaarwaan barhnay lagay
Zehn pay chaata raha rangeen khwaabon ka fusoon
Zindagi karnay lagi khwaabon ke gulzaaron mein raqs
Raat ki tanhaiyon mein shehr-e-anjum ka safar
Kehkashaan ta Kehkashaan na deeda sayyaron mein raqs
Mujh ko bakhshay thay unheen nazaaron ney maekhaanon ke khwaab
Aariz o Gesu say wabasta shabistaanon ke khwaab
Saahil-e-aghosh-e-sar masti mein toofaanon ke khwaab
Kya magar khwaabon ka haasil,wo bhi deewaanon ke khwaab ?
Aur phir wo daur bhi aaya keh tum ukta gayeen
Apni hud say barh gayee theen, apni hud mein aa gayeen
Main faraib-e-aarzu khaata raha, jeeta raha
Zehr-e-gham peeta raha, peeta raha, peeta raha
Chaak karti hi raheen tum jeib o daamaan-e-wafa
Aur main sehta raha, sehta raha, sehta raha
Jaanay kyun tum mustaqil daaman kushaan rehnay lageen ?
Bey sabab na mehrbaan, na mehrbaan rehnay lageen
Bhool ker ehd-e-nazar jaanay kahan pohncha khayal
Chor kar shehr-e-wafa janay kahan rehnay lageen ?
Aah ! Wo naaz-e-mohabbat ka yaqeen o aitbaar
Main neay tumko dam badam aawaaz per aawaaz di
Phir hudood-e-hasrat o ummeed tak Dhoonda tumhain
Rooh ki waadi mein dil ke saaz per aawaaz di
Log kehtay hain yaqeenan theek hi kehtay hain log
Main faqat wehmon ki dunya mein safar karta raha
Main nay chahi bijliyon say khirman andozi ki daad
Paththaron say khwaahish-e-lutf-e-nazar karta raha
Kya tumharay shehr mein ley kar duaaon ke hisaar
Nau jawani ko mitaanay ke liye aaya tha main ?
Kya shaoor-e-zindagi ki daad paanay ki bajaaye
Maikadon mein larkharaaney ke liye aaya tha main ?
Ab shaoor-e-zindagi ko aazmaanay do mujhay
Kuch hijaabaat-e-mizaaj-e-dil uthaaney do mujhay
Aik hi rukh tum ney dekha hai abhi tasveer ka
Aaj us ka doosra rukh bhi dikhaaney do mujhay
Tum ko apnaya tha, tum ko chor bhi sakta hoon main
But banata hi nahin hoon, tor bhi sakta hoon main !!

Jaun Elia
Wednesday, October 8, 2014 | 0 comments | Labels:

0 comments: