Bazahir aam lehjay main
Kaha tha main nay jab us se
“Badal lo raasta apna
Juda rahain yaheen karlo
Hamaray chahnay na chahnay se kuch nahi hota
Yehi sach hai keh hum do mukhtalif
Raston kay raahi hai
To phir kyon dil ki manain hum???
Shuru main manta hoon main
Aziyyat dil ko pohanchay gi
Magar phir waqt guzray ga
Sabhi zakhmon ko bhar day ga”
Meray is aam say lehjay pay wo
Ik pal ko chonki thi
Meri aankhon main aankhain daal kar
Hairat se poocha tha
“Yeh sab jo keh rahay ho khud ko samjha bhi pao gay?”
Bohat hi jee kara kar ke
Main us dam muskuraya tha
Bohat khud pay jabr kar ke
Main us say keh yeh paya tha
“Meri tum fikr rehnay do
Sambhal jaoon ga main khud hi
Sabhi zakhmon ko sii loon ga
Bhula kar sari batoon ko
Akaila bhi main jee loon ga”
Buhat hi be yaqeen aakhoon se
Us ne mujh ko dekha
Aur
Bina ik lafz bolay wo gai
Aur phir nahi aai
Aur ab tark-e-taalluq ko
Agarcheh umar beeti hai
Magar is dil pe us ki zaat ka
Jo naqsh qaaim tha
Kabhi dhundla nahi hota
Mujhay mehsoos hota hai ke jaisay
Meray kanoon main
Wo apni bolti aankhoon se
Sargoshi si karti hai
“WO SAB JO KEH RAHI THEEN
KHUD KO WO SAMJHA BHI PAYE HO?”
Pyar ke samandar main Har utarney waaley ko Kashtiyan nahin milteen Dur dur tak janan Dhoop ki musaafat hai Aur kaheen bhi pal bhar ko Dhoop ke musaafir par Saaye’baan nahin khultey Is ajab samandar main Umr ki reyaazat kay bad Hum nay yeh jana hai Jis tarha fizaon main Urney waley panchi par Bars ha baras main bhi Aasman nahin khulta Hijr-e-beykaraan main bhi Bhaid, bhaid rehta hai Raazdan nahin miltey Baam-o-dar nahin khultey Pyar ke samandar main Har utarney waaley ko Kashtiyan nahin milteen Aur mil bhi jain to Baadban nahin khultey Pyar ke samandar main Bhaid bhaid rehta hai
Raat baaqi thi abhi jab sar-e-baaleen aa kar Chaand nay mujh sey kaha - “Jaag sehar aai hai Jaag is shab jo mey-khwaab tera hissa thi Jaam kay lab sey teh-e-jaam utar aai hai” Aks-e-janan ko vida kar ke uthi meri nazar Shab ke thehrey huay pani ki syah chaadar par Ja-baja raqs mein aanay lagay chaandi ke bhanwar Chaand ke haath say taaron ke kanwal gir gir kar Doobtey, tertey, murjhatey rahey, khiltey rahay Raat aur subh bohat dair galay miltay rahay
Sehen-e-zindaan main rafeeqon kay sunehray chehray Sath-e-zulmat say damaktay huay ubhray kam kam Neend ki aus nay in chehron say dho dala tha Dais ka dard, firaq e rukh e mahboob ka gham
Dur naubat hui, phirnay lagay bezaar qadam Zard faaqon kay sataey huay pehray walay Ehl e zindaan kay ghazabnaak, kharoshan nalay Jin ki bahon main phira kertay hain baahain dalay
Lazzat e khwab say makhmoor hawain jageen Jail ki zeher bhari chor sadaein jageen Dur darwaza khula koi, koi bund hua Dur machli ki zanjeer, machal ke roi Dur utra kisi taalay kay jigar main khanjar
Sar pataknay laga reh reh kay dareecha koi Goya phir khwab say bedaar huay dushman e jaan Sang o faulad say dhaalay huay jinnat e giraan Jin kay chungal main shab o roz hain faryaad kunan Meray bekaar shab o roz ki nazuk paryaan Apnay shehpur ki raah dekh rahay hain yeh aseer Jis kay tarkash main hain umeed kay jaltay huay teer
Kabhi yun jo ho kisi din agar
Kabhi tu mujhey sare-e-raah miley
Mein hazaar lamhon ko khainch kar
Yeh jo chalta waqt hai baandh dun
Yeh jo gardishen hein zameen ki
Usi ik lamhey pe ruki rahain
Mein taka karun tujhey jazb sey
Yunhi pyar sey yunhi ishq sey
Teri her adaa ko samait luun
Mein hisaar-e-jaan mein sajaa rakhun
Na tu keh sakey , na mein keh sakun
Tu jo paas ho to mein jee sakun
Tu jo door ho na jiya karoon
Kabhi yun jo ho kisi din agar
Merey humsafar tu jo na miley
Mein hazaar dharkanon ko khainch kar
Ye jo chalta dil hai baandh dun
Ye jo silsiley hein meri saans key
Teri doori mein hi haar dun
Tu jo paas ho to mein jee sakun
Tu jo door ho , na jiya karun
Kabhi yun jo ho kisi din agar
Merey hum safar tu jo na miley…!
Muhabbat diary her giz nahin hai
Jis mein tum likho
Keh kal kis rang kay kapray pehannay, Kaun si khushbu lagani hai
Kisay kya baat kehni, kon si kis se chupani hai
Kahan kis pair kay saaye talay milna hai
Mil kar poochna hai
Kya tumhein mujh say muhabbat hai?
Yeh farsooda sa jumla hai
Magar phir bhi yeh jumla
Dareechon, aanganon, sarkon, gali koochon mein, chaubaron mein
Chaubaron ki tooti seerhiyon main
Har jaga koi kisi say keh raha hai
Kya tumhein mujh say muhabbat hai?
Muhabbat diary her giz nahin hai
Jis mein tum likho
Tumhein kis waqt, kis say, kis jagah milna hai, kis ko chor jana hai
Kahan per kis tarha ki guft-o-gu karni hai ya khamosh rehna hai
Kis ke sath kitni door tak jana hai aur kab laut aana hai
Kahan aankhein milana hai kahan palkein jhukana hain
Ya yeh likho keh ab ki baar jab woh milnay aaye aga
Tu us ka haath apne haath mein lay kar
Dhanak chehray pay roshan jagmagati raqs karti uski aankhon mein utar jain gay
Aur phir gulshan-o-sehra ke beecho beech dil ki saltanat mein khaak urra’ein gay
Bohut mumkin hai woh ujlat mein aaye
Aur tum us ka haath haathon mein na le pao
Na aankhon hi mein jhanko, aur na dil ki saltanat ko fatah kar pao
Jahan per guft-o-gu karni hai, tum khamosh ho jao
Jahan khamosh rehna hai, wahan tum boltay jao
Naye kapray pehan kar ghar se niklo, mailay ho jao
Koi khushbu laganay ka irada ho, to sheeshi haath se gir jaye
Tum weeran ho jao
Safar karnay se pehlay bay sar-o-saman ho jao
Muhabbat diary her giz nahin hai, aab ju hai
Jo dilon ke darmiyan behti hai, khushbu hai
Kabhi palkon pe lehraye, To aankhein hansnay lagti hain
Jo aankhon mein utar jaye to manzar aur pas manzar mein shamaein jalnay lagti hain
Kisi bhi rang ko choo lay
Wohi dil ko gawara hai
Kisi mitti mein ghul jaye
Wohi mitti sitara hai
Saleem Kauser
Wednesday, November 19, 2008
| 0
comments |
Labels:
Nazm
Nahi mil raha hai yahan kaheen meri zaat ka hi nishan mujhey Sun aey justuju dey jawaab tu, ke ley aai hai ye kahan mujhey! Wo sabaq mein parh ke bhula chuka ke usool banatey hein zindagi Mujhey mantaqi si daleel dey, ye muhawarey na suna mujhey
Tujhey kya khabar mein dil mein dard, liye phir raha hoon ajab ajab Teri mashq puraani hai yaar tu, kya ghaao dey ga naya mujhey
Nahi kuch gila ke ye sab hai kya, bhaley kuch ajab hai ye maajra Keh merey aik jurm pe baar baar, koi dey raha hai sazaa mujehy
Ye jo chaahaton ke bazaar hein yahaan bik raha hai sabhi magar Yahan kon ley ga wafaa ki jins, bhala kya miley ga nafaa mujhey!
Merey hum’nawa bhala mein kahan, terey waastey mujhey bhool ja Tu ney khwahishon ke auraq par, kaheen likh dia to mita mujhey
Yun diye na rakh merey haath pe ke katain ge nahi phir raastey Kabhi rok lein gi baarishein to kabhi tang karey gi hawa mujhey
Kataa zindagi ka katthin safar, mein muflisi mein mraa magar Mein gulshanon ka makeen tha, zara khushbu'ain to laga mujhey
Ye Raakh Raakh Rutein, Apni Raat Ki Qismat
Tum Apni Neend Bujhaao, Tum Apnay Khuaab Chuno
Bikherti Doobti Nabzoon Pe Dhiyaan Kya Dena
Tum Apnay Dil Main Dharaktay Huay Haroof Suno
Tumharay Shehar Ki Galiyon Main Sail-e-Rang Bikhrain
Tumharay Naqsh-E-Qadam Phool Phool Khiltay Rahien
Woh Rahguzar Jahan Tum Lamha Bhar Thehar Kay Chalo
Wahan Pe Abar Jhukein, Aasmaan Miltey Rahien
Nahin Zaroori Kay Har Ajnabi Ki Baat Suno
Har Aik Sada Pe Dharakna Bhi Dil Ka Farz Nahin Sukoot-E-Hulqa-E-Zanjeer-E-Darr Bhi Kyun Tootay
Saba Ka Saath Nibhaana Junoon Ka Qarz Nahin
Hum Aisay Log Bohat Hain Jo Sochtay Hi Nahin
Kay Umer Kaisey Kati, Kis Kay Saath Beet Gaee
Hamari Tushna-Labi Ka Mizaaj Kya Jaanay
Keh Fasal-e-Bakhshish-e- Moj-e-Faraat Beet Gayee
Ye Aik Pal Tha Jissay Tu Nay Noch Dala Hai
Woh Aik Sadii Thi Jo Bay-Iltifaat Beet Gaee
Hamari Aankh Lahoo Hai, Tumhein Khaber Hogi
Chiraagh Khud Se Bujha Hay Keh Raat Beet Gayee
Kabhi tum laut ke aao
Mujhay bus itna samjhao
Kahan se seekh li tum ne,
Ada mujh ko bhulane ki
Tumhain mujh se jo shikwa tha
Ya koi bhi shikayat thi
Na ki koshish batanay ki
Bbhala yun chor ke apna
Koi apnon ko jata hai
Musalsal dukh ki barish main
Yun jeevan bhar rulata hai
Abhi tau rait geeli hai
Banay apnay gharondon ki
Abhi sub naqsh baqi hain
Gaye qadmon pe laut aao
Mujhay bus itna samjhao
Kahan se seekh li tum ne
Ada mujh ko bhulanay ki
Tohmatain to lagti hain
Roshni ki khahish main
Ghar say bahir aanay ki kuch saza to milti ha
Loag loag hotay hain
Unko kiya khabar ja'ana
Aap kay iradoon ki khubsurat aankhon main
Basnay walay khaboon kay rang kaisay hotay hain
Dil ki good aangan main palnay wali batoon kay
Zakham kaisay hotay hain
Kitnay gehray hotay hain
Kub ya soach saktay hain
Aisi baygunah aankhain
Ghar kay konay khudroon main chup kay kitna roti hain
Phir bhi yey kahani say
Apni kuj bayani say
Is qadar rawani say dastaan sunatay hain
Aur yakeen ki aankhain
Sach kay ghamzada dil say lag kay kitna roti hain
Tohmatain tu lagti hain
Roshni ki khawish main
Tohmatoon kay lagnay say
Dil kay dost ko jaa'na
Ab nidhal kiya karna
Tohmatoon say kiya darna
Dard phail jaye tou aik waqat aata hay
Dil dharakta rehta hay
Arzoo gazidoon kay hoslay nahi chaltay
Dasht-e-bay yaqeeni main asray nahi chaltay
Rah-ro-on ki ankoon main
Manzilen na jab tak hoon, qaflay nahi chaltay
Ik zara tavajo say daikhiye tu khulta hay
Log in per chaltay hain, rastay nahi chaltay
Sochnay samajhnay say, saath saath chalnay say
Doriyan smat'ti hain, faslay nahi chaltay
Khwab khwab aankoon main ratjagay nahi chaltay
Darguzar kay halqay main masalay nahi chaltay
Do diloon ki qurbat main teesra nahi hota
Vastay nahi chaltay
Bakht sathh chalta hay taal-e-azmaon kay
Waqat raam kernay main tujzeeon kay dao kya
Tajrabay nahi chaltay
Ishaq kay ilaqay main hukm-e- yar chalta hay
Zaabtay nahi chaltay
Husan ki adalat main aajzi tu chalti hay
Mertabay nahi chaltay
Dosti kay rishtoon ki perwarish zarori hay
Silsalay ta'aluq kay, khud say ban tu jatay hain
Lakin in shagofoon ko totnay bikharnay say
Rokna bhi perta hay
Chahatoon ki matti ko, arzo kay poday ko
Senchna bhi perta hay
Ranjishon ki baton ko bolna bhi perta hay
Abhi kuch din lagain gay
Dil aesay shehar kay pamaal ho jaanay ka manzar bhoolnay main
Abhi kuch din lagain gay
Jahan-e-rung kay saaray khas-o-khaashaak,
Sub saru-o-sanober bhoolnay main
Abhi kuch din lagain gay....
Thakay haaray hooway khwaaboun kay saahil par,
Kaheen ummeed ka chota sa ik ghar
Bantay bantay reh gaya hay
Woh ik ghar bhoolnay main, abhi kuch din laggain gay
Magar ab din hee kitnay reh gaye hain
Buss, ik din dil kee loh-e-muntazir per
Achaanak
Raat utray gee
Meri baynoor aankhoun kay khazaanay main chupay
Her khwaab kee takmeel kar day gee
Mujhay bhee khwaab main tabdeel kar day gee
Ik aisa khwaab jiss kaa dekhnaa mumkin naheen tha
Aik aisaa khwaab jiss kay daaman-e-sud chaak main koi mubarak
Koi roshan din naheen thaa
Abhi kuch din laggain gay
Kis tarah rokta hoon ashkoon ko
Kis tarah dil pe jabr karta hoon
Aaj bhi kaar zaar-e-hasti mein
Jab tere shehar se guzarta hoon Dil bhi kartaa hai yaad chhup ke tujhe
Naam leti nahi zubaan tera.. Is qadar bhi nahin mujhe maloom
Kis muhalley mein hai makaan tera
Koun si shaakh-e-gul pe raqsaan hai
Raqs-e-firdaus, aashyaan tera
Jaaney kin vaadiyoon mein thehra hai
Ghairat-e-husn, karvaan tera
Kis se puchoon ga mein khabar teri
Koun batlaaye ga nishaan tera
Teri rusvaaiyoon se darta hoon
Jab tere shehar se guzarta hoon
Haal-e-dil bhi na keh saka garchay
To rahi muddaton qareeb mere
Kuch teri azmaton ka dar bhi tha
Kuch khayalat bhi thay ajeeb mere
Aakhir-e-kar woh ghari aayi
Yar war ho gaye raqeeb mere
Tu mujhe chor kar chali bhi gayi
Khair qismat meri naseeb mere
Aab main kiyon tujh se piyar karta hoon
Jab tere shehar say guzarta hoon
Wo zamana teri muhubat ka
Aik bholi hoi kahani hai
Tere koochay main umr bhar na gaye
Sari duniya ki khaak chani hai
Lazat-e-qurb ho keh zakhm-e-firaq
Jo bhi hai teri meharbani hai
Kis tammana say tujh ko chaha tha
kis muhabbat say har mani hai
Aapni qismat pay naz karta hoon
Jub tere shehar se guzarta hoon
Aaj bhi karzar-e-hasti main
To agar aik bar mil jaye Kisi mehfil main saamna ho jaye Ya sar-e-rahguzaar mil jaye Aik nazar daikh lain mohabbat say Aik lamhay ka pyar mil jaye Chain aa jaye aarzoon ko
Hasraton ko qarar mil jaye
Jane kiya kiya khayal karta hoon
Jab tere shehar se guzarta hoon
Koi pursan-e-haal ho to kahon
Kesi aandhi chali hai tere baad
Din guzara hai kis tarha main nai
Raat kese dhali hai tere baad
Roz jeeta hon roz marta hoon
Jub tere shehar say guzarta hoon
Tujh se koi gila nahi mujh ko
Main tujhe bewafa nahin kehta Tera milna khuab-o-khayal hua Phir bhi na-aashna nahin kehta Wo jo kehta tha muh ko awara Main us ko bhi bura nahin kehta
Warna ik be nawa muhabbat main
Dil kay lutne pay kiya nahi kehta Main to mushkil say aah bharta hoon Jub tere shehar say guzarta hoon
Abhi waqt hai meray saath chal
Abhi paon main hain musafatain
Abhi raaston peh garift hai
Abhi hath rakha hua hai waqt ki baag per
Abhi meherbaan hai rahguzar bari door tuk
Abhi raastay bhi nahin utay huay hain ghubar main
Abhi hoslay hain jawan meray
Abhi dil main chalnay ka shoq hai
Abhi manzilon ka yaqeen hai to junoon bhi hai urooj per
Yahan aik jahan main jaanay kitnay jahan hain
Abhi daik apni umeed kay kisi baadban ko khol ker
Yeh jo kishtiyan si rawan hai seena-e-aab per
Isi aag ki hain nishaniyan yeh musafatain
Koi hisraton main suna gaya hai basharatain
Abhi waqt hai meray saath chal
Umr beeti hai jinhain hijr ki pemaish main
Hum syah bakht, teray faasla bardaar, musafir shab kay
Raat aati hai to chal pertay hain
Bay baha sulagi hui yaad kay angaaron per
Rooh bersaat main bharki hui aatish hai keh bujhti hi nahin
Raat aati hai to gir pertay hain
Teray undoh ki num ghaaron main
Kon ab aa kay nikalay humain
Kon tehraaye ga bikhray huay pat'ton kay naseeb
Hum jo ronday huay raston ki tarah
Aah bhi bhartay huay dartay hain
Jaanay phir konsi veerani guzar jaye achanak kisi veerani say
Hum jo thithkay huay bachon ki tarah
Sans bhi letay hua mertay hain
Zindagani kisi murjhaye huay dil ki tarah
Sog kay kapray main lipti hui bevah hai koi
Koi dum bhar bhi thehertay hai kisi aas ki chaon (shade) main to ro perti hai
Aur hum phir say nikal pertay hain
Hum syah bakht, teray faasla bardaar, musafir shab kay
Umr beeti hai jinhain hijr ki pemaish main
Raat aati hai to chal pertay hain
Vasl ko khwahish bananay main
Tumhain apna samajhnay kay liye dil ko mananay main
Abhi kuch din lagain gay
Abhi hum apni khwahishon ko dil say milnay dain
Inhain mehsoos karnay dain
Wafa kya hai or taqaza-e-mohabbat ki hadain kya hain?
Hadon ki sarhadain kya hain
Phir in kay paar janay ka sabab kya hai
Dheyan o bay-dheyani main
Tumhari bheegti baaton kay darya ki rawani mai
Kahani hi kahani main
Agar beja wo manzil
Koi khawashish
Dilon ki kokh say paida hui
To kon daikhay ga
Humaray naam ki sachai ko
Or khwahishon k bay-nasb mehtab chehron ko
Abhi thehro
Abhi kuch din lagain gay
Rishta-e-baynaam ko naam karnay main
Kahani ko kisi agaz say anjam karnay main
Kahin izhar karnay main
Humain iqrar karnay main
Abhi thehro
Abhi kuch din lagain gay!!!!!
Abhi kuch din lagain gay !!!!
Aur kuch hidair main, jub phir meray dil ko
Fikr aa lay gee keh tanhai ka kia chara karay
Dard aaye ga dabay paon, liye surkh charagh
Woh jo ik dard dharakta hai kahin dil say puray
Shola-e-dard jo pehloo main lapak uthay ga
Dil ki deewar pe her naqsh damak uthay ga
Halqa-e-zulf kaheen, gohsa-e-rukhsar kaheen
Hijr ka dasht kaheen, gulshan-e-deedar kaheen
Lutf ki baat kaheen, pyar ka iqrar kaheen
Dil say phir ho gee maray baat keh aye dil aye dil
Yeh jo mehboob bana hai teri tanhai ka
Yeh to mehmaan hai ghari bhar ka, chala jaye ga
Is say kub teri museebat ka madawa ho ga
Mushtail ho kay abhi uthain gay wehshi saaye
Yeh chala jaye ga, reh jain gay baqi saaye
Raat bhar jin say rera khoon kharaaba ho ga
Jang thehri hai koi khail nahin hai aye dil
Dushman-e-jaan hain sabhi, saray kay saray qatil
Yeh kari raat bhi, yeh saaye bhi, tanhai bhi
Dard aur jang main kuch mail nahin hai aye dil
Lao, sulgao koi josh-e-ghazab ka angaar
Taish ki aatish-e-jarrar kahan hai lao
Woh dehekta hua gulzaar kahan hai lao
Jis main germi bhi hai, harkat bhi, tawanai bhi
Ho na ho apnay qabeelay ka bhi koi lashkar
Muntazir ho ga andhairay ki faseelon kay udhar
Un ko sholon kay rajz apna pata to dain gay
Khair, hum tuk wo na pohonchay bhi, sada to dain gay
Dur kitni hai abhi subh, bata to dain gay
Hawa ko likhna jo aa gya hai Ab us ki marzi Keh wo khizan ko bahar likh dey Bahar ko intezar likh dey Safar ki khawish ko Wahemon key azaab sey humkinar likh dey Wafa key raston pe chalny walon ki qismatoon main Ghubar likh dey Hawa ko likhna jo aa gya hai Hawa ki marzi Keh vasl mausam main hijr ko hissa-dar likh dey Mohabbaton main guzarny wali ruton ko Na-paidar likh dey Shajr ko kum saya daar likh dey Hawa ko likhna jo aa gaya hai Ab us ki marzi keh hamaray diye bujha kar Shabon ko baikhtiyar likh dey Hawa ko likhna sikhanay walon
Iss Basti ke Ik koochey mein , Ik Insha Naam ka Deewana
Ik naar pe jaan ko Har gaya , mash'hoor hai uss ka afsaana
Uss naar mein aisa roop na tha , jis roop se din ki dhoop dabbey
Iss shehar mein kya kya gori hai , mehtaab rukhey gulnaar labbey
Kuch baat thi uss ki baatoo'n mein,kuch bhaid they uss ke chitwan mein
Wuhi bhaid ke joat jagaatey hain , kisi chahney waaley ke mann mein
Ussey apna banaey ki dhun mein , hua aap hi aap se begaana
Iss basti ke ik koochey mein ik Insha naam ka Deewana
Na chanchal khail jawani ke , na payaar ki al'harh ghaatein thein
Bus raah mein unn ka milna tha aur phone pe unn ki baatein thein
Iss Ishq pe ham bhi hanstey they , behasil sa behasil tha?
Ik roz biphartey sagar mein , na kashti thi na sahil tha
Jo baat thi in ke ji mein thi , jo bhaid tha yaksar anjaana
Iss basti ek ik koochey mein , ik Insha naam ka deewana
Ik roz magar barkha rutt mein , wo bhaadoon' thi ya sawan tha
Deewar pe beech sumandar ke , yeh dekhney waloo'n ne dekha
mastana haath mein haath diye , yeh aik Kagar pe baithey they
youn Shaam hui phir Raat hui , jab Sailaani ghar laot gey
kya raat thi wo - ji chahta hai uss raat pe likhein Afsaana
iss basti ke ik koochey mein ik Insha naam ka deewana
Haa'n Umar ka saath nibhaaney ke they Ehad bohat Paimaan bohat
wo jin pe bharosa karney mein kuch sood nahi , Nuqsaan bohat
wo Naar yeh keh kar door hui - " majboori Sajan Majboori"
yeh wehshat se ranjoor huye aur ranjoori si ranjoori
uss roz hamein maloom hua , uss shakhs ka mushkil samjhana
iss basti ke ik koochey mein , Ik Insha naam ka deewana
Go Aag se Chaati jalti thi , Go Aankh se darya behta tha
har aik se dukh nahi kehta tha , Chup rehta tha Gham sehta tha
Naadaan hain wo jo chairtey hain , iss aalam mein deewanoo'n ko
uss shakhs se aik jawab mila , sab apnoo'n ko baigaanoo'n ko
"kuch aur kaho to Sunta hoo'n , iss Baab mein kuch mat farmana"
iss basti ke ik koochey mein ik Insha naam ka deewana
Ab aagey ka Tehqeeq nahi , go sun'ney ko ham suntey they
uss Naar ki jo jo baatein thein , uss Naar ke jo jo Qissey they
ik Shaam jo uss ko bulwaya , kuch samjhaya bechaarey ne
uss raat yeh qissa paak kiya , kuch kha hi liya dukhyaarey ne
kya baat hui , kis toar hui ? Akhbaar se logoo'n ne jana
iss basti ke ik koochey mein , ik Insha naam ka deewana
Har baat ki khoj to theek nahi , tum ham ko kahani kehney do
Uss naar ka naam maqam hai kya , iss baat pe parda rehney do
ham se bhi soda mumkin hai , tum se bhi jafa ho sakti hai
yeh apna bayaa'n ho sakta hai , yeh apni Katha ho sakti hai
wo naar bhi aakhir pachtaayi , kis kaam ka aisa pachtaana?
iss basti ke ik koochey mein , ik Insha Naam ka deewaana
Aksar shab-e-tanhai main ' kuch dair pehlay neend say
Guzri hui dil-chuspian ' Beetay huay din aish kay
Buntay hain shama-e-zindagi ' Aur daaltay hain roshni
Meray dil-e-sud chaak per
Woh bachpan aur wo saadgi ' Woh rona woh hansna kabhi
Phir woh jawani kay mazay ' Woh dil lagi woh qehqahay
Woh ishq woh ehd-e-wafa ' Woh wada or woh shukriya
Woh lazzat-e-bazm-e-tarb ' Yaad aati hain ik aik sab
Dil ka kanwal jo roz-o-shab ' rehta shagufta tha so ab
Us ka yeh abtar haal hai ' Ik sabza-e-pamaal hai
Ik phool kumhlaya hua ' sookha hua bikhra hua
Ronda para hai khak per
Yun hi shab-e-tanhai main ' Kuch dair pehlay neend say
Guzri hui na-kaamiyan ' Beetay huay din ranj kay
Bantay hain shama-e-baykasi ' Or daltay hain roshni
Un hasraton ki qabr per
Jo aarzooain pehlay theen ' Phir gham say hasrat ban gaein
Gham doston kay faut ka ' Un ki jawan mot ka
Lay daikh sheeshay main meray ' Un hasraton ka khoon hai
Jo gardish-e-ayyam say ' Jo qismat-e-nakaam say
Ya aish-e-ghum anjaam say ' Merg-e-But-e-gulfaam say
Khud meray ghum main mer gaein ' Kis tarha paaon main hazeen
Qaboo dil-e-baysabr per
Jab aah un ahbab ko ' Main yad ker uthta hoon jo
Yun mujh say pehlay uth gaye ' jis tarha taa'ir baagh kay
Ya jesay phool aur patiyan ' Gir jain sun qabl khizan
Or khushk reh jaye shajr
Us waqt tanhai meri ' Bun ker mujassam baykasi
Ker deti hai pesh-e-nazar ' Ho haq sa ik weeran ghar
Berbaad jis ko chor ka ' Sub rehnay walay chal basay
Tootay keewar or khirkiyan ' Chut kay tapaknay kay nishan
Pernaalay hain rozan nahin ' Yeh hall hain aangan nahin
Perday nahin chilman nahin ' Ik shama tuk roshan nahin
Meray siwa jis main koi ' Jhankay na bhoolay say koi
Woh khana-e-shali hai dil ' Poochay na jis ko dev koi
Ujra hua weeran ghar
Aksar shab-e-tanhai main ' kuch dair pehlay neend say
Guzri hui dil-chuspian ' Beetay huay din aish kay
Bantay hain shama-e-zindagi ' Aur daltay hain roshni
Meray dil-e-sud chaak per