twitter

Raat baaqi thi abhi jab sar-e-baaleen aa kar
Chaand nay mujh sey kaha - “Jaag sehar aai hai
Jaag is shab jo mey-khwaab tera hissa thi
Jaam kay lab sey teh-e-jaam utar aai hai”
Aks-e-janan ko vida kar ke uthi meri nazar
Shab ke thehrey huay pani ki syah chaadar par
Ja-baja raqs mein aanay lagay chaandi ke bhanwar
Chaand ke haath say taaron ke kanwal gir gir kar
Doobtey, tertey, murjhatey rahey, khiltey rahay
Raat aur subh bohat dair galay miltay rahay

Sehen-e-zindaan main rafeeqon kay sunehray chehray
Sath-e-zulmat say damaktay huay ubhray kam kam
Neend ki aus nay in chehron say dho dala tha
Dais ka dard, firaq e rukh e mahboob ka gham

Dur naubat hui, phirnay lagay bezaar qadam
Zard faaqon kay sataey huay pehray walay
Ehl e zindaan kay ghazabnaak, kharoshan nalay
Jin ki bahon main phira kertay hain baahain dalay

Lazzat e khwab say makhmoor hawain jageen
Jail ki zeher bhari chor sadaein jageen
Dur darwaza khula koi, koi bund hua
Dur machli ki zanjeer, machal ke roi
Dur utra kisi taalay kay jigar main khanjar

Sar pataknay laga reh reh kay dareecha koi
Goya phir khwab say bedaar huay dushman e jaan
Sang o faulad say dhaalay huay jinnat e giraan
Jin kay chungal main shab o roz hain faryaad kunan
Meray bekaar shab o roz ki nazuk paryaan
Apnay shehpur ki raah dekh rahay hain yeh aseer
Jis kay tarkash main hain umeed kay jaltay huay teer
Friday, December 12, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: