twitter

Bazahir aam lehjay main
Kaha tha main nay jab us se
“Badal lo raasta apna
Juda rahain yaheen karlo
Hamaray chahnay na chahnay se kuch nahi hota
Yehi sach hai keh hum do mukhtalif
Raston kay raahi hai
To phir kyon dil ki manain hum???
Shuru main manta hoon main
Aziyyat dil ko pohanchay gi
Magar phir waqt guzray ga
Sabhi zakhmon ko bhar day ga”
Meray is aam say lehjay pay wo
Ik pal ko chonki thi
Meri aankhon main aankhain daal kar
Hairat se poocha tha
“Yeh sab jo keh rahay ho khud ko samjha bhi pao gay?”
Bohat hi jee kara kar ke
Main us dam muskuraya tha
Bohat khud pay jabr kar ke
Main us say keh yeh paya tha
“Meri tum fikr rehnay do
Sambhal jaoon ga main khud hi
Sabhi zakhmon ko sii loon ga
Bhula kar sari batoon ko
Akaila bhi main jee loon ga”
Buhat hi be yaqeen aakhoon se
Us ne mujh ko dekha
Aur
Bina ik lafz bolay wo gai
Aur phir nahi aai
Aur ab tark-e-taalluq ko
Agarcheh umar beeti hai
Magar is dil pe us ki zaat ka
Jo naqsh qaaim tha
Kabhi dhundla nahi hota
Mujhay mehsoos hota hai ke jaisay
Meray kanoon main
Wo apni bolti aankhoon se
Sargoshi si karti hai
“WO SAB JO KEH RAHI THEEN
KHUD KO WO SAMJHA BHI PAYE HO?”
Friday, December 12, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: