twitter

Ghanay jangalon ke safar pe tha woh jo muddaton se chala hua
Kaheen raat orrh ke so gaya woh janam janam ka thaka hua

Nai dastaan shuru hui keh usi kahani ka baab hai
Wohi karbala hai, hussain phir se ghaneem mein hai ghira hua

Meri justuju ko kamal day mujhe shak ke sanchay main dhal day
Meri por por main zehr bhar main hoon amriton ka dasa hua

Wohi shola apnay wujood ka wohi lums phir say naseeb kar
Teri aag phir say bharrak utthay keh alaao kab ka bujha hua

Mujhay izn ho keh main ji uthun mujhe izn ho keh main mar sakoon
Aey khuda e zinda bus aik kun main hoon dono samt bata hua

Koi chand dhar mere haath pur kabhi mehr e taban saja koi
'Yeh charagh koi charagh hay na jala hua na bujha hua'

Teray sab hawalay hain motabar tera naam sab say buland hay
Tu 'Jamal' day kay nishan day, main hoon harf harf mita hua

Jamal Sheikh Jamal

Wednesday, October 14, 2015 | 0 comments | Labels:
Aziyyat Apni Qismat Thi Aziyyat Say Nahi Niklay
Juda Ho Kar Bhi Hum Dono Mohabbat Say Nahi Niklay

Ana Kay Da'iron Main Thay So Ik Doojay Ko Kho Bethay
Magar Phir Bhi Umar Bhar Dono Malamat Say Nahi Niklay

Qadam Chokhat Pay Rakhtay Hi Yeh Bazu Phail Jatay Hain
Mohabat Say Nikal aaye hain Aadat Sat Nahi Niklay

Bohat Mumkin Tha Ruk Jatay Pukara Hi Nahi Tum Nay
Teray Koochay Say Hum Itni Bhi Ujlat Say Nahi Niklay

Meray Jazbat Ab Janan Meray Bus Main Nahi Rehtay
Kay Ansooo Ab Teri Khatir Ijazat Say Nahi Niklay
| 0 comments | Labels:
Mitti ki imarat saya day kar mitti mein humwaar hui
Veerani sey ab kaam hai aur veerani kis ki yaar hui

Har patti bojhal ho ke giri sab shaakhain jhuk kar toot gaeen
Us baarish sey hi fasal ujari jis baarish sey tayyaar hui

Dar dar ke qadam yun rakhta hoon khwabon ke sehara mein jesay
Yeh raig abhi zanjeer bani, yeh chaaon abhi deewaar hui


Chuti hai zara jab tun ko hawa chubhtey hain ragon mein kantay sey
Sau baar khizaan aai ho gee mehsoos magar es baar hui

Ab yeh hi nahin hai bas mein ke hum phoolon ki dagar per laut chalain
Jis raah-guzar per chalna hai woh raah-guzar talwaar hui


Likhi hain shikastein itni jahan maqtal mein wahan yeh bhi likh do
Kitni shamsheerain toot gaeen kitney dushmanon ki haar hui

Ik ghuncha sahar ke arsay main aisa bhi tha jo keh guzra
Is arz e khush gurtaran per tahleeq e jars bekaar hui

Hum sath chalay thay suraj ke so is ka yeh khamyaza hai
Suraj to nikal kar dur gya ab apni shaam ghubar hui

Woh naaley hain bay taabi key cheekh uthta hai sannataa bhi
Yeh dard ki shab maaloom nahin kab tak key liye bedaar hui

Ab taiz hawa kitni hi chaley ab garm fiza kitni hi rahey
Seeney ka zakhm charagh bana daman ki aag bahaar hui...

Mahshar Badayuni
 
| 0 comments | Labels:
Usay Yeh Kehna Ke Roz-o-Shab Ka Safar Bhi Tanha Guzar Raha Hai
Woh Dil Jo Teray Liye Bana Tha Teri Talab Say Mukar Raha Hai

Meri Muhabbat Ki Band Aankhain Teray Jagnay Say Khul Sakain Gee
Wagarna Yah Dil Muhabbaton Ke Wajood Say Hi Mukar Raha Hai

Woh Apnay Aansu Jo Meri Khatir Chuhpa Ke Rakhti Thi Aanchal Main
Ab Us Ke Aanchal Ki Khusbuon Ko Koi Haseen Maand Ker Raha Hai

Woh apnay Hathon Pay Aaj Mehendi Laga Ke Kitni Udaas Ho Gee
Woh Sochti To Zaroor Ho Gee Koi Usay Yaad Ker Raha Hai

Kabhi To Socho Tumharay Aanay Pe Jo Dewana Sa Ho Gya Tha
Woh Kya Abhi Tak Wahin Khara Hai? Woh Jee Raha Hai? Keh Mer Raha Hai

Woh Kal Mila Tha To Us Ki Aankhon Main Wehshatain Raqs Ker Rahi Theen
Woh Qatra Qatra Pighal Raha Hai Woh Zarra Zarra Bikher Raha Hai

Udaas Logon Ki Mehfilon Main Nai Kahani Koi Sunaaye
Koi Bataye Ke Itna Arsa Woh Kis Tarf Tha? Kidher Raha Hai
| 0 comments | Labels:
Kaho dukh ke samander ka safar ab tak raha kesa
Kaha ujlay kinaaron ka koi imkaan dekha hai

Kaho darya kinaaron say bhala kya guftugoo thehri..
Kaha darya ko apnay zabt pay heraan dekha hai

Kaha kyun kis liye khola yeh tum nay dil ka darwaza
Bataya dil ke raston per koi mehmaan dekha hai

Kaho us ishq ki baabat, bhala kya had rahi ho gee?
Kaha woh ishq jesay rooh ka sartaan dekha hai

Kaho us say bichharrnay ki, tumhain manzoor yeh hoga
Kaha jeenay ki khwahish ko kabhi qurbaan dekha hai?

Kaho phir tum pay kya guzri, woh khwab-e-zindagi kho ker..?
Kaha kal apni aankhon ko bohot bay-jaan dekha hai
| 0 comments | Labels:
Mera tamam fun meri kawish mera ryaz
Ik na tamam geet kay misray hain jin ke beech
Maani ka rabt hai nakisi qaafiye ka mail
Anjam jis ka tay na hua ho ik aisa khail
Meri mata bus yehi jadu hai ishq ka
Seekha hai jis ko main nay bari mushkilon ke sath
Lekin yeh seher e ishq ka tohfa ajeeb hai
Khulta nahi hai kuch keh haqeeqat main kya hai yeh
Taqdeer ki ata hai ya koi saza hai yeh
Kis se kahain aye jaan keh  yeh qissa ajeeb hai
Kehnay ko yun to ishq ka jadu hai meray pass
Per meray dil ke wastay itna hai is ka bojh
Seenay se ik pahaar sa hatata nahi hai yeh
Lekin asar ke baab main halka hai is qadar
Tujh pay agar chalaoon to chalta nahi hai yeh
Wednesday, October 7, 2015 | 0 comments | Labels:
Hum aisay marg talab bhi na thay muhabbat main
Keh jalti aag ke darya mein be-khatar jatay
(Yaqeen jaan meri jaan keh hum theher jatay)
Tumhari aankh ke aansu thay seel-e-aab na tha
Chalak bhi jatay agar, rizq-e-khaak ho jatay
(Misl-e-qatra-e-shabnam chamaktey, kho jatay)

Raha woh harf-e-wafa jis ki sabz konpal per
Tumharay bosa-e-lab se gulaab jagay thay
(So woh gulaab to shakhon say kat bhi saktayy hain)
Rahayy woh khwab jo ankhon kay aabgeenon mein
Dhanak kay rang liye doltey say rehtay thay
(So aisay khwab to aa kar palat bhi saktay hain)

So baat harf-e-wafa ki hai aur na khwabon ki
Na doltay hua rangon say pur gulabon ki
Samay kay charhtay utartay huay samandar mein
Sab ek pal ki haqeeqat, sab ek pal ka saraab
Dilon mein tark-e-tammana ka hosla ho agar
To kaisay harf-e-wafa aur kahan kay khwab-o-gulaab

Yeh kaisay dasht-e-nadamat mein ghir gaye aey jaan!
Keh ik to tark-e-tammana ka hosla hi nahi
Aur us pe yeh bhi qayamat, agar bafarz-e-muhaal
Tumhari raah say phirnay ka hosla bhi miley...
Palat ke jayen kahan, ghar ka rasta bhi miley!!!
| 0 comments | Labels:
Us ko juda huay bhi zamana bohat hua
Ab kya kahain yeh qissa purana bohat hua

Dhalti na thi kisi bhi jata se shab e firaq
Aye marg e nagahaan tera aana bohat hua

Hum khuld se nikal to gaye hain per aye khuda
Itnay say waqae ka fasana bohat hua

Ab hum hain aur saray zamanay ki dushmani
Us say zara sa rabt barrhana bohat hua

Ab kyun na zindagi pe mohabbat ko waar dain
Is aashqui main jaan se jana bohat hua

Ab tak to dil ka dil se ta'aruf na ho saka
Mana keh us se milna milana bohat hua

Kya kya na hum kharab huay hain magar yeh dil
Aye yaad e yaar tera thikana bohat hua

Kehta tha nasehon se meray munh na aaiyo
Phir kya tha ek hu ka bahana bohat hua

Lo phir teray labon pe usi bewafa ka zikr
Ahmed Faraz tujh se kaha na bohat hua


| 0 comments | Labels:
Jang haari jeet bhi sakti hoon
Aik mohra abhi to raaz main hai
Jeet baqi hai maat baqi hai
Aik aansu abhi mahaaz pay hai
Aik aansu bhi mauj pay rakh doon
Doob jaey gaa darya main darya
Raakh ho jaye ga yeh sub sehra
Dhund ho jain gay sahaab sab hi
Rait bun jain gay yeh koh-e-garaan
Aik aansu bhi main agar rakh doon
Jeet janey ke liey kaafi hai
Zeest baqi hai, zaat baqi hai
Aik Aansu ka khail baqi hai
| 0 comments | Labels:
Mohabbat bakhsh daiti hai
Kabhi ra'anaiyan aisi
Kay jaisay dhoop kay hotay
Kabhi badal baras jaye
Kay jaisay bin kahay koi
Kahin dil main utar jaye
Kahin pariyon ki waadi main
Baray say takht per baithay
Koi phoolon kay daman say
Koi rangon kay anchal say
Saron per saaebaan kar day

Mohabbat bakhsh daiti hai
Kabhi tanhaiyan aisi
Kay jaisay aag si barsay
Jo sara tan jala rakhay
Kay jaisay dhoop kay honton ko
Sholay phir jala baithain
Kay jaisay rastay main hi
Koi raahi bhatak jaye
Kay jaisay mun kay andar kuch,
Chanak say toot sa jaye
Kay jaisay dil pighal jaye
Mohabbat kya hai phir socho!
Kya ra'anai? Ya tanhai ?
| 0 comments | Labels:
Haan Abhi Soch Lay
Faislon Ka Safar
Lafz Ki Narm Chaon Mein Kat'ta Nahin
Aur Sun
Faislon Ki Nadamat Say Takleef Deh Koi Bhi Dukh Nahin
Jitnay Khadshay Meray Saath Chalnay Mein Hain
Is Dorahey Pey Ruk
Aur Inhain Apni Aankhon Mein Tarteeb Day
Jaan Lay
Waqt Ke Dasht-e-Bey Barg Mein Wapsi Ke Liye Koi Rasta Nahin
(Manzaron Ka Naya Pan Puraani Ruton Ke Liye Maut Hai)
Jo Hawa Mere Jumley Ke Aghaaz Mein
Tere Baalon Ko Chootay Huay Chal Rahi Thi Usi Waqt Say
Mar Chuki Hai, Keh Ab
Us Ka Hona Na Hona Terey Wastay Aik Hai
(Aur Tujh Ko Pata Hai Kisi Ki Zindagi Us Ta'aluq Sey Hai Jo Kisi Zaat K Rabtey Sey Banay)
Haan Yehi Waqt Hai
Rabtay Aur Ta'aluq Ke Maani Samajh
Jitnay Khadshay Merey Saath Chalnay Mein Hain
Is Dorahay Par Ruk
Aur Inhain Apni Aankhon Mein Tarteeb Day
Keh Abhi Terey Haathon Ka Har Rabta
Terey Haathon Mein Hai ! ! !
| 0 comments | Labels:
Yeh aath pehron shumar kya hai?
Keh saat rungon ke is nagar main
Jehat shash hain
Hawaas khamsa
Chahaar mausam
Zaman salasa
Jahan do hain
"Khuda hai wahid"
Khuda e wahid __ !
Yeh teri bay-unt wusaton ke
Safar pe niklay huay musafir
Ajab ginti main kho gaye hain
Keh thak ke rahon main so gaye hain

Syed Mubarak Shah
Monday, October 5, 2015 | 0 comments | Labels:
Mohabbat jab bhi hoti hai
Sitara waar hoti hai
Bisat e waqt se bahir
Abad ke paar hoti hai
Mohabbat jab bhi hansti hai
Kahin bijli chamakti hai
Kahin badal barashtay hain
Hawa nazmain likhti hai
Zameen per phool khiltay hain
Parinday laut jatay hain
Mohabbat jab bhi roti hai
Samandar phail jatay hain
Kinaray doob jatay hain
Mohabbat jab bhi soti hai
Kisi aurat ke bistar main
Bari gehri ghani neendain
Badan per orrh leti hai
Mohabbat jab bhi marti hai
Abad ki maut marti hai

Naseer Ahmed Nasir
| 0 comments | Labels:
Kahan hai simt e guman woh jahan e jaan parwar
Keh jis ki sash-jeheti ka fasoon e chashm kusha
Dilon main phelta hai manzilon main phelta hai
Jahan sukhan hai sama'at, nazar hi manzar hai
Jahan huroof labon se kalam kertay hain
Jahan wujood ke maani kharam kertay hain

Jaun Elia
| 0 comments | Labels:
Main wohi qatra e bay-bahr wohi dasht e naward
Apnay kandhon pe uthaaey huay sehra ka talism
Apnay seenay main chupaey huay sailab ka dard
Toot ker rishta e tasbeeh se aa nikla hoon
Dil ki dharkan main barastay huay lamhon ka kharosh
Meri palkon pe bagoolon ki uraai hui gard

Lakh lehron se utha hai meri fitrat ka khameer
Lakh qulzum meray seenay main rawan rehtay hain
Din ko kirnain meray afkaar ka muun dhoti hain
Shab ko taray meri janib nigran rehtay hain
Meray matahay pe jhalakta hai nadamat bun ker
Ibn e Maryam ka wo jalwa jo kaleesa main nahi

Raanda e mauj bhi main, mujrim e zarrat bhi main

Mera qissa kisi afsana e darya main nahi
Meri tareekh kisi safha e sehra main nahi

Mustafa Zaidi
| 0 comments | Labels:
Raat orrhay huay aai hai faqeeron ka libas
Chaand kashkol e gadaai ki tarah nadim hai
Dil main dehkay huay nasoor liye betha hoon
Yehi masoom tasawur jo tera mujrim hai

Kaum yeh waqt ke ghoonghat se bulata hai mujhay
Kis ke makhmoor isharay hain ghataaon ke qareeb
Kaun aaya hai charhaanay ko tamannaon ke phool
In sulagtay huay lamhon ki chita'on ke qareeb
Wo to toofan thi, selaab ne pala tha usay
Us ki madhosh umangon ka fasoon kya kehiye
Thartharatay huay seemab ki tafseer bhi kya
Raqs kertay huay sholay ka junoon kya kehiye

Raqs ab khatam hua maut ki wadi main magar
Kisi payal ki sada rooh main paainda hai
Chup gya apnay nihan khanay main sooraj lekin
Dil main sooraj ki ik awara kiran zinda hai
Kaun janay keh yeh aawara kiran bhi chup jaye
Kaun janay keh idhar dhund ka badal na chattay

Kis ko maloom keh payal ki sada bhi kho jaye
Kis ko maloom keh yeh raat bhi kaatay na katay
Zindagi neend main doobay huay mandir ki tarah
Ehd e rafta ke her aik butt ko liye soti hai
Ghantiyan ab bhi magar bajti hain seenay ke qareeb
Ab bhi kehnay ko, kai baar seher hoti hai

Mustafa Zaidi
| 0 comments | Labels:
Woh jo hum-rhi ka ghuroor tha wo sawad e raah main jal bujha
Tu hawa ke ishq main ghul gya main zameen ki chah main jal bujha

Ye jo shakh-e-lab pe hajoom-e-rang-e-sada khula hai gali gali
Kaheen koi shola e be nawa kisi qatal gaah main jal bujha

Jo kitab-e-ishq kay baab thay teri dataras main bikher gye
Wo jo ehed nama-e-khawab tha wo meri nighah main jal bujha

Humain yaad ho to suna'ain bhi, dheyan ho to bata'ain bhi
Keh woh dil jo mehram raaz tha kahan rasam-o-raah main jal bjha

Kaheen be-nyazi ki laag main, kaheen ehtiyat ki aag main
Tujhe meri koi khaber bhi hai, mere khair khwah main jal bujha

Meri raakh say nai roshni ki hikayaton ko samait lay
Main charagh e subh e wisal tha, teri khaima gaah main jal bujha

Wo jo haroof taza misaal the unhain jab se tune bhula diya
Teri bazm-e-naaz ka bankpan kisi khaanqah main jal bujha

Saleem Kausar
Sunday, October 4, 2015 | 0 comments | Labels:
Meri basti ke logon ne sitaray toot'tay dekhay
To rab say ye dua mangi..
Khudaya ab ke sawan mein bhaley barsaat kam dena,
Koi saughaat mat dena,
Magar itna karam karna..
Usay wapas bula lena..

Keh jis kay qehqahay banjar nighahain shaad kartay thay
Keh jis kay lams dharkan ko naya ek saaz detay thay !

Usay maloom tha chopaal par baithay,
Buzurgon ki kahani mein
Kahan par muskurana hai, kahan par sar jhukana hai !

Usay ehsaas tha,
Urti patang ki dor tootay to
Zameen say dekhti hasrat bhari aankhain,
Bohat afsurda hoti hain,
Hawa ko dosh deti hain !

Na woh koi patang sa tha,
Keh jis ki dor tooti thi,
Na woh chopaal pe baithay buzurgon ki kahaani tha !

Woh jo bhi tha,
Usay basti ka har chehra
Musalsal yaad karta hai.
Sitaaray jab bhi toot'tay hain,
Yehi faryaad karta hai..
Usay wapas bula lena,
Usay wapas bula lena!!
| 0 comments | Labels: