twitter

Us ko juda huay bhi zamana bohat hua
Ab kya kahain yeh qissa purana bohat hua

Dhalti na thi kisi bhi jata se shab e firaq
Aye marg e nagahaan tera aana bohat hua

Hum khuld se nikal to gaye hain per aye khuda
Itnay say waqae ka fasana bohat hua

Ab hum hain aur saray zamanay ki dushmani
Us say zara sa rabt barrhana bohat hua

Ab kyun na zindagi pe mohabbat ko waar dain
Is aashqui main jaan se jana bohat hua

Ab tak to dil ka dil se ta'aruf na ho saka
Mana keh us se milna milana bohat hua

Kya kya na hum kharab huay hain magar yeh dil
Aye yaad e yaar tera thikana bohat hua

Kehta tha nasehon se meray munh na aaiyo
Phir kya tha ek hu ka bahana bohat hua

Lo phir teray labon pe usi bewafa ka zikr
Ahmed Faraz tujh se kaha na bohat hua


Wednesday, October 7, 2015 | 0 comments | Labels:

0 comments: