twitter

Haan Abhi Soch Lay
Faislon Ka Safar
Lafz Ki Narm Chaon Mein Kat'ta Nahin
Aur Sun
Faislon Ki Nadamat Say Takleef Deh Koi Bhi Dukh Nahin
Jitnay Khadshay Meray Saath Chalnay Mein Hain
Is Dorahey Pey Ruk
Aur Inhain Apni Aankhon Mein Tarteeb Day
Jaan Lay
Waqt Ke Dasht-e-Bey Barg Mein Wapsi Ke Liye Koi Rasta Nahin
(Manzaron Ka Naya Pan Puraani Ruton Ke Liye Maut Hai)
Jo Hawa Mere Jumley Ke Aghaaz Mein
Tere Baalon Ko Chootay Huay Chal Rahi Thi Usi Waqt Say
Mar Chuki Hai, Keh Ab
Us Ka Hona Na Hona Terey Wastay Aik Hai
(Aur Tujh Ko Pata Hai Kisi Ki Zindagi Us Ta'aluq Sey Hai Jo Kisi Zaat K Rabtey Sey Banay)
Haan Yehi Waqt Hai
Rabtay Aur Ta'aluq Ke Maani Samajh
Jitnay Khadshay Merey Saath Chalnay Mein Hain
Is Dorahay Par Ruk
Aur Inhain Apni Aankhon Mein Tarteeb Day
Keh Abhi Terey Haathon Ka Har Rabta
Terey Haathon Mein Hai ! ! !
Wednesday, October 7, 2015 | 0 comments | Labels:

0 comments: