twitter

Mitti ki imarat saya day kar mitti mein humwaar hui
Veerani sey ab kaam hai aur veerani kis ki yaar hui

Har patti bojhal ho ke giri sab shaakhain jhuk kar toot gaeen
Us baarish sey hi fasal ujari jis baarish sey tayyaar hui

Dar dar ke qadam yun rakhta hoon khwabon ke sehara mein jesay
Yeh raig abhi zanjeer bani, yeh chaaon abhi deewaar hui


Chuti hai zara jab tun ko hawa chubhtey hain ragon mein kantay sey
Sau baar khizaan aai ho gee mehsoos magar es baar hui

Ab yeh hi nahin hai bas mein ke hum phoolon ki dagar per laut chalain
Jis raah-guzar per chalna hai woh raah-guzar talwaar hui


Likhi hain shikastein itni jahan maqtal mein wahan yeh bhi likh do
Kitni shamsheerain toot gaeen kitney dushmanon ki haar hui

Ik ghuncha sahar ke arsay main aisa bhi tha jo keh guzra
Is arz e khush gurtaran per tahleeq e jars bekaar hui

Hum sath chalay thay suraj ke so is ka yeh khamyaza hai
Suraj to nikal kar dur gya ab apni shaam ghubar hui

Woh naaley hain bay taabi key cheekh uthta hai sannataa bhi
Yeh dard ki shab maaloom nahin kab tak key liye bedaar hui

Ab taiz hawa kitni hi chaley ab garm fiza kitni hi rahey
Seeney ka zakhm charagh bana daman ki aag bahaar hui...

Mahshar Badayuni
 
Wednesday, October 14, 2015 | 0 comments | Labels:

0 comments: