twitter

Meri basti ke logon ne sitaray toot'tay dekhay
To rab say ye dua mangi..
Khudaya ab ke sawan mein bhaley barsaat kam dena,
Koi saughaat mat dena,
Magar itna karam karna..
Usay wapas bula lena..

Keh jis kay qehqahay banjar nighahain shaad kartay thay
Keh jis kay lams dharkan ko naya ek saaz detay thay !

Usay maloom tha chopaal par baithay,
Buzurgon ki kahani mein
Kahan par muskurana hai, kahan par sar jhukana hai !

Usay ehsaas tha,
Urti patang ki dor tootay to
Zameen say dekhti hasrat bhari aankhain,
Bohat afsurda hoti hain,
Hawa ko dosh deti hain !

Na woh koi patang sa tha,
Keh jis ki dor tooti thi,
Na woh chopaal pe baithay buzurgon ki kahaani tha !

Woh jo bhi tha,
Usay basti ka har chehra
Musalsal yaad karta hai.
Sitaaray jab bhi toot'tay hain,
Yehi faryaad karta hai..
Usay wapas bula lena,
Usay wapas bula lena!!
Sunday, October 4, 2015 | 0 comments | Labels:

0 comments: