twitter

Tu kahan chali gai thi
Tera beqarar Insha
Teri justoju main hairaan
Teri yaad main sulagta
Kabhi bastiyon banon main
Kabhi soo e koh o sehra
Kabhi shorishon main khoya
Kabhi be kasana o tanha
Liye deed ki tamanna
Bana aarzoo sarapa
Tujhay her jagah pukara
Tujhay dhoond dhoond hara
Tu keh rooh e zindagi thi
Tu kahan chali gai thi

Meri hairaton ka Roma
Meri hasraton ki Dilli
Meri wehshaton ka sehra
Mera bald ye Karachi
Mujhay or kaun janay
Yehi day to day gawahi
Keh haseen sooraton se
Yahan her gali bhari thi
Magar aik yeh dewana
Tera wehshi e yagana
Jisay zidnagi gawara
Keh hai peet ka bahana
Kabhi chor ke gya hai
Tera aastan purana
Jahan awwal e jawani
Sar e mehfil e shabana
Kabhi tu usay mili thi
Tu kahan chali gai thi

Kabhi sawanon se poocho
Kabhi phaganon se poocho
Tha jo haal mausamon ka
Tha jo rung wehshaton ka
Kabhi yaas ke jaloo main
Kabhi aas ke jaloo main
Na woh mehfil e shabana
Na kaheen ka aana jana

Paray saat sagaron kay
Jahan log hain anokhay
Hamain jee say yun utara
Hamain yaad se pisara
Yahan laut ke bhi jani
Na milan hua gawara
Yeh jo mah o saal guzray
Ba ajeeb haal guzray

Tujhay yaad to dilaain
Tujhay yaad bhi to aain
Kabhi ehed jo kiye thay
Hamain qaul jo diye thay
Kabhi kamptay labon se
Kabhi ashk ki zuban main
Kisi ganj e gulistan main
kisi koo e rahrawan main
Kisi dost ke makan main

Teri zindagi salamat
Magar aik roz jani
Tera saath chor day gee
Teri bay aman jawani
Tera roop cheen lay gee
Mah o saal ki garani
Teray gaysuon ki chandi
Ba zuban e bay zubani
Jo sunaey gee kahani
Dhali sham e zindagani
To yeh bewafa zamana
Teray jee pe baar ho ga
Na dilon ki qismaton per
Tujhay ikhtayar ho ga
Na jawan mehfilon main
Tera intezar ho ga
Na koi wafa ka khwahan
Na gila guzaar ho ga

Magar aik yeh deewana
Yeh purana peet rogi
Tere naam pay bana hai
Jo koi faqeer jogi
Tujhe dhoondta milay ga
Tujhay justuju jo ho gee

Kabhi bastiyon banon main
Kabhi soo e koh o sehra
Teri justoju main hairaan
Teri yaad main sulagta
Yunhi shorishon main khoya
Yunhi be kasa o tanha
Gham e aashqi nibhata
Ya udaas geet gata
Meri shaairi ki rani
Meri hasil e jawani
Meri jaan e zindagani
Tu kahan chai gai thi
Tu kahan chali gai thi

Ibn-e-Insha
Tuesday, September 11, 2012 | 0 comments | Labels:

0 comments: