twitter

Raat ki kokh main awara phiro
Khwab gino
Ishq ki chot se darmaanda to thay hi dil o jaan
Saakh ki rakh ke hathon main udasi ke siwa
Kuch bhi na tha
Be sabab aaina bardaar khayalaat sulag uthtay hain
Sheher main dur talak phail chuki hai khushbu
Raat aur rait ke maa bain jo aik kashmakash e zaat ki bechaini thi
Ehtaraman teray bazar main lay aaya hoon
Baichtay rehtay ho tum to her shay
Apni khushiyan, to alam auron ke
Bant’tay rehtay ho gham auron ke
Hum ne aik raat ki khwahish main kai din khoay
Sham e gham beet chali thi lekin hum ne
Janay na diya, rok liya barh ke usay
Hum teri yaad main khush bethay thay
Thaam ke behtay huay ashkon ko
Aa gya yunhi achanak koi
Apnay daman main liye zard udasi ki thakan
Raah takti hui weerani bhi rehti hai yaheen
Meray is ghar ke sid’haaye huay darwazay main
Yeh jo darwazay hain, sab jaan liya kertay hain
Kon aaye ga yahan,Kon nahi aaye ga
Teergi ke liye mashroot nahi hai sooraj
Teergi noor main ho sakti hai
Teergi aag main ho sakti hai
Teergi bhaag main ho sakti hai
Raat ke pichlay peher aati hai sooraj ki tarah
Teray bichray huay lamhon ki sada
Koi roi hui tanhai hai kamray main meray
Meray khwabon ki nigahon main chubhoti hui ghum
Jis tarah rait say aaluda hawa
Urr kay aankhon main paray aur shikasta ker jaey.

Farhat Abbas Shah
Friday, September 14, 2012 | 0 comments | Labels:

0 comments: