twitter

Kissay maloom
Kon is raaz ki sadiyon purani kefiyat say aashna hai
Yeh meray charon taraf kyun ik sakoot e bay sada hai
Main kahoon kis say
Meri ujri hui aankhon kay khali rozanon say us taraf kya hai
Khalaa hai ya sitaray phainkti andhi hawa hai
Janta hai kon?
Kis per khul saka hai?
Jism kay khali khandar main
Kon ab tak bas raha hai?

Tum mujhay daikho
Main apnay aap say darta hoon shab ko
Jab andhaira bolta hai,
Dil ka sannata purani daastanon say attay bhaidon ki girhain kholta hai!
Jab lahu ki aag main lat-pat kiwaaron say
Ulajhti hain meri cheekhain
Koi sunta nahi mujh ko!
Bikhartay toot'tay khwabon main jab taqseem hota hoon
Koi chunta nahi mujh ko!

To aisa hai keh tum apni mehekti neend se khailo
Na dukh jhailo
Meri tanhai kay asraar mat poocho
Kaheen aisa na ho tum bhi
Khud apnay aap ko ganwa baitho
Meri khwahish aur apnay darmiyan
Bhaidon bhari deewar rehnay do
Mujhay kuch din
Meri ujri hui aankhon kay khali rozanon say us taraf
Tareek lamhon kay bhanwar main bas yun hi baydaar rehnay do
Mujhay sadiyon purani dastaanon ki tarah
Andhi hawa kay saath
Pur asrar rehnay do.
Tuesday, September 11, 2012 | 0 comments | Labels:

0 comments: