twitter

Tum sachay barhaq sa’een
Sar say le ker peron tak
Dunya shak hi shak sa’een
Tum sachay barhaq sa’een
Ik behti rait ki dehshat hai
Aur reza reza khwab meray
Bus aik musalsal hairat hai
Kya sahil, kya gardaab meray
Is behti rait kay darya paar
Kya janay hain kya kya asraar
Tum aaqa charon tarfon kay
Aur meray char taraf deewar
Is dharti say aflaak talak
Tum data, tum ho palan haar
Main galiyon ka kakh sa’een
Tum sachay barhaq sa’een
Sar say le ker peron tak
Dunya shak hi shak sa’een

Kuch bhaid azal say pehlay ka
Kuch raaz abad ki aankhon kay
Kuch hissa hijr sarapay ka
Kuch bheegay mausam khwabon kay
Koi chara meri pasti ka
Koi daru aankh tarasti ka
Bus aik nazar say jurr jaye
Aina meri hasti ka
Azlon say rahain takta hai
Ik mausam dil ki basti ka
Us ki oar bhi tak sa’een
Tum sachay barhaq sa’een
Sar say le ker peron tak
Dunya shak hi shak sa’een
Tum sachay barhaq sa’een

Main aik bhikari lafzon ka
Yeh kaghaz hain kashkol meray
Hain malba zakhmi khwabon ka
Yeh rasta bhatkay bol meray
Yeh arz o sama ki pinhaai
Yeh meri adhoori beenai
Kya dekhoon, kesay dekh sakoon
Yeh hijr ki jalwa aarai
Yeh rasta kalay koson ka
Aur ik musalsal tanhai
Mangoon ik jhalak sa’een
Tum sachay barhaq sa’een
Sar say le ker peron tak
Dunya shak hi shak sa’een
Tum sachay barhaq sa’een

Amjad Islam Amjad
Saturday, April 9, 2016 | 0 comments | Labels:

0 comments: