twitter

Main khayal hoon kisi aur ka, mujhay sochta koi aur hai
Sar e aaina mera aks hai, pas e aaina koi aur hai

Main kisi ke dast e talab main hoon to kisi ke harf e dua main hoon
Main naseeb hoon kisi aur ka, mujhay mangta koi aur hai

Ajab aitabar o bay aitabari kay darmiyan hai zindagi
Main qareeb hoon kisi aur kay, mujhay janta koi aur hai

Meri roshni teray khud o khaal say mukhtalif to nahi magar
Tu qareeb aa tujhay daikh loon, to wohi hai ya koi aur hai

Tujhay dushmanon ki khabar na thi mujhay doston ka pata na tha
Teri dastan koi aur thi, mera waqea koi aur hai

Wohi munsifon ki riwayatain, wohi faislon ki ibaratain
Mera jurm to koi aur tha, peh meri saza koi aur hai

Kabhi laut aain to poochna nahi dekhna unhain ghaur say
jinhain rastay main khabar hui keh yeh rasta koi aur hai

Saleem Kauser
Sunday, April 17, 2016 | 0 comments | Labels:

0 comments: