Tareekh Ki Uljhi Galiyon Mein
Kuch Dhair Paray Hein Malbay Ke
Malba Jo Hamaray Dard Ka Hai
Har Dekhnay Wali Aankh Ka Hai
Har Sochnay Walay Fard Ka Hai
Har Manzar Dhundla Dhundla Hai
Kuch Aisa Parda Gard Ka Hai
Wo Log Jo Aagay Guzar Gaye
Kya Sach Tha Unka Jhoot Tha Kya
Kis Haq Ki Khatir Lartay Thay
Kis Zulm Ke Haathon Martay Thay
Kya Khwab Thay Unki Aankhon Ke
Or Kya Unki Tabeeren Theen?
Jo Seel-E-Zamaan Ka Rizq Hoeen
Wo Kya Mohkam Taameeren Theen?
Arzhang Jo Leer-O-Leer Huwa
Kya Kya Us Men Tasveeren Theen?
Or Pani Par Jo Likhi Gaeen
Wo Kya Mushkil Tehreeren Theen
Ik Dasht Ki Jalti Mitti Par
Kya Behtay Lahu Ne Likha Tha
Pardes Ke Qatil Raston Main
Kya Martay Huwon Ne Socha Tha
Jo Ahle-Chashm Ki Saff Main Gaye
Mehlon Main Takhat Nasheen Huay
Muflis Ke Lahu Ke Cheenton Se
Wo Daman Jo Rangeen Huay
Or Khalq-E-Khuda Ki Qismat Ke
Jo Maalik Ban Kar Baith Gaye
Laashon Par Masnad Rakhi Or
Phir Us Pe Tann Ke Baith Gaye
Or Wo Jo iLm Ke Joya Thay
Taaron Pe Kamandain Daaltay Thay
Jo Apni Soch Ke Gulshan Main
Aafaaq Ke Taa'ir Paaltay Thay
Taksaal Main Fikr-E-Farda Ki
Wajdaan Ke Sikkay Dhaaltay Thay
Or Wo Jo Ishq Men Rusva Thay
Jo Mirza, Ranjha, Heer Huay
Khud Dhoonda Husn Ke Phanday Ko
Phir Chal Kar Aap Aseer Huay
Baatan Main Utar Kar Harfon Ke
Jo Ghalib, Khusro, Meer Huay
Ye Sab Or Inn Se Or Kayi
Is Seel-E-Zaman Ka Rizq Banay
Is Gard Ke Manzar Namay Main
Ik Abr-E-Guman Ka Rizq Banay
Ab Apni Apni Rau Main Hain
Hai Kis ko Fursat, Kon Rukay
Kya Raaz Hain Dil Darvaazon Ke?
Ab Kon Sunay Or Kon Kahay
Kuch Ghut'ti, Marti Cheekhen Hain
Kuch Larzi Hui Avaazain Hain
Kuch Khauf Hai Pathar Bannay Ka
Kuch Bhatkay Huay Andaazay Hain
Kuch Zakhm Hain Jin ke Naam Nahi
Kuch Bhugtay Huay Khamyaazay Hain
Tarteeb Kesay Ho Saf'hon Ki
Sab Bikhray Huay Sheerazay Hain
Murghon Ki Tarah Iss Malbay Main
Minqaar Daba Kar Kya Hoga
Ye Raunday Huay Se Taaj O Kalaah
Maathon Par Saja Ke Kya Hoga
Jo Nauhon Main Tabdeel Huay
Wo Naghmay Gaa Kar Kya Hoga
Aglon Ki Jeet Or Haar Se Ham
Kyun Khush Hain, Kyun Sharminda Hain
Hai Lauh-E-Jahaan Pe Darj Yehi
Ham Apna Aap Aainda Hain
Bas Aik Haqeeqat Yaad Rahay
Jis Saans Talak Ham Zinda Hain
Aao Ke Chunain Iss Malbay Se
Jo Khwab Abhi Tabinda Hain
Un Jazbon Ki Tauqeer Karain
Jo Anmit Hain, Paainda Hain
Bas Un Taaron Ki Baat Karain
Jo Bujh Kar Bhi Rakhshinda Hain
Is Gard Ke Manzar-namay Main
Jo Apnay Kahay Se Ruk Jaaye
Aisa To Koi Mausam Bhi Nahi
Ye Sach Hai Aankh Jhapaknay Tak
Manzar Bhi Nahi Or Ham Bhi Nahi
Ay Baad-E-Fana Se Dartay Dil
Jo Dekh Sakay To Kam Bhi Nahi
Ye Nazaaray Ki Fursat Bhi
Kuch Kar Saknay Ki Taaqat Bhi
Ye Pal Do Pal Ki Mohlat Bhi