twitter

Jab apni apni mehroomi se dar jatay thay hum dono
Kisi gehri udaasi main utar jatay thay hum dono

Bahar-e-shoq main Baad-e-Khizan aksar chalti thi
Shaguft-e-gul ke mausam main bikhar jatay thay hum dono

Tumharay shaher ke charo taraf pani hi pani tha
Wohi ik jheel hoti thi jidher jatay thay hum dono

Sunehri machliyan, Maahtab or Kashti ke undar hum
Ye manzar gum tha phir bhi jheel per jatay thay hum dono

Zamistan ki hawaon main faqat jismon ke khaimay thay
Dubak jate thay in main jab thithar jatay thay hum dono

Ajab ik be yaqeeni main guzarti thi kinaray per
Thehrtay thay, na uth ke apne ghar jatay thay hum dono

Bohat sa waqt lag jata tha khud ko jama karnay main
Zara si baat per kitna bikhar jatay thay hum dono

Kahin jana nahi tha is liye ahista rau thay hum
Zara sa fasla ker ke theher jatay thay hum dono

Zamana dekhta rehta tha hum ko chor aankhon se
Na jane kin khayalon main guzar jatay thay hum dono

Bus itna yaad hai pehli mohabbat ka safar tha wo
Bus itna yaad hai sham o seher jatay thay hum dono

Hadood-e-Khwab se aagay hamara kon rehta tha
Hadood-e-Khwab se aagay kidhar jatay thay hum dono

Abbas Tabish
Sunday, June 2, 2013 | 0 comments | Labels:

0 comments: