twitter

Kaha us ne, zamana dard hai aur tum dawa jese
Laga tum se mohabbat hai, mujhe us ne kaha jese

Talab ki us ne jab mujh se mohabbat ki wazahat to
Bataya, dasht ke honton pay barish ki dua jese

Suno kyun dil ki basti ki taraf se shor uthta hai?
Batay, hadsa ehsaas kay ghar mein hua jese

Kaho ae gul, kabhi khushbu ka tum ne aks dekha hai?
Kaha, qaus e qazah kay sare rangon ki sada jese

Suno, kwahish ki lehron per sambhalna kyun hua mushkil?
Bataya paaniyon per khwab ki rakhi thi bina jese

Bhala tum rooh ki in kirchiyon mein dhoondte kya ho?
Kaha, yeh itni roshan hain ke sooraj hai diya jese

Suno ankhon hi ankhon ka bayan kesa laga tum ko?
Laga, phoolon se sargoshi si karti ho saba jese
Friday, December 20, 2013 | 0 comments | Labels:

0 comments: