twitter

Khwaab ab husn-e-tasawur ke ufaq se hain paray
Dil ke ek jazba-e-ma’soom ne dekhay thay jo khawaab
Aur tabeeron ke taptay huay sehraaon mein
Tishnagi aabla-paa, shola-bakaf mauj-e-saraab
Ye to mumkin nahin bachpan ka koi din mil jaye
Ya palat aaye koi sa’at-e-nayab-e-shabab
Phoot niklay kisi afsurdah tabassum se kiran
Ya damak utthay kisi dast-e-bureedah mein gulaab
Aah ! patthar ki lakeeren hain ke yaadon ke nuqoosh
Kaun likh sakta hai phir umr-e-guzishta ki kitab
Beetay lamhaat ke soay huay toofaanon mein
Tairtay phirtay hain phoot'ti hui aankhon ke habaab
Taabish rang-e-shafaq, aatish ru-e-khursheed
Mal ke chehray pe sahar aai hai khoon ahbaab
Janay kis mor pe, kis raah mein kya beeti hai
Kis se mumkin hai tamannaon ke zakhmon ka hisaab
Aasteenon ko pukaarain ge kahan tak aansu
Ab to daaman ko pakartay hain lahu ke gardaab
Dekhti phirti hai ek ek ka mun khamoshi
Janay kya baat hai sharminda hai andaaz-e-khitaab
Dar-ba-dar thokarain khaatay huay phirtay hain sawal
Aur mujrim ki tarah un se gurezan hain jawab
Sarkashi, phir main tujhay aaj sada detaa hoon
Main tera shaa’ir-e-aawara-o-be-baak-o-kharaab
Phenk phir jazba-e-betaab ke aalam pe kamand
Ek khwaab aur ay himmat-e-dushwaar pasand
Monday, January 13, 2014 | 0 comments | Labels:

0 comments: