twitter

Umeed e aaqbat e kaar ke barabar hai
Yeh aik darakht keh deewar ke barabar hai

Zyada dur nahi amn o jung aapas main
Yeh faasla teri talwaar ke barabar hai

Tujhay khabar nahi yeh aik baar ka inkar
Hazaar baar ke iqraar ke barabar hai

Khuli hai aur koi gahak idhar nahi aata
Dukaan e khwab keh bazaar kay barabar hai

Ho is ke baad zamanon ka kya jisab kitab
Jab aik lamha lagataar ke barabar hai

Main is liye bhi zuban kholta nahi keh abhi
Sakoot hi yahan izhaar ke barabar hai

Hun itna bay sar o samaan keh is dafa mujh ko
Yeh berg e sabz bhi ashjaar ke barabar hai

Mujhay pasand hai jee jaan se yeh aib e sukhan
Jahan jahan meray mayaar ke barabar hai

Wohi paseena paseena hoon raat din ke Zafar
Hawa yahan meri raftaar ke barabar hai
Friday, January 10, 2014 | 0 comments | Labels:

0 comments: