twitter

Bohut Ghoomi Jahan Bhar Main
Mujhey Awargi Lay Ker
Kabhi Sehra Samander Main
Kabhi Dunya Key Mailon Main
Kabhi Jungle Main Bhatkaya

Ajab Wehshat Lahoo Main Thi
Nazar Bhi Justojoo Main Thi
Kai Chehrey They Ankhon Main
Unhi Chehron Ki Khwahish Main
Her Ik Manzil Ko Thukraya
Sukoon Phir Bhi Nahi Paya

Bohut Ghooma Jahan Bher Main
To Phir Aakhir Khula Mujh Per
Woh Jis Ko Chor Aaya Tha
Main Apney Hijr Main Jalta
Wohi Sachi Mohabbat Thi

Usi Ki Yaad Key Moti
Baney Jeewan Ka Sarmaya
Mohabbat Aakhri Manzil
Mohabbat Aakhri Saya
Wednesday, February 26, 2014 | 0 comments | Labels:
Na Koi Rung Na Hathon Pe Hina Meray Baad
Wo Mukammal Hi Syah Posh Hua Meray Baad.

Roz Ja Ker Wo Samunder K Kinaray Chup Chaap
Nao Kaghaz Ki Bahata Hi Raha Meray Baad

Us Ke Honton Se Mera Naam Nikal Jata Tha
Jisnay Apnaya Usay Chor Diya Meray Baad

Main Ne Girnay Na Diye They Kabhi Aansu Us Ke
Shayad Is Wastay Wo Ro Na Saka Meray Baad.

Main Bhi Waisa Na Raha Us Ke Bichar Janay Se,
Koi Usko Bhi Na Pehchaan Saka Meray Baad.

Sari Dunya Ne Usay Maal E Ghaneemat Samjha
Jo Na Socha Tha Kabhi Wo Bhi Hua Meray Baad.

Us Ka Hasna Mujhe Bhata Tha So Wo Shakhs Adeem
Baal Kholay Huay Hansta Hi Raha Meray Baad.
Sunday, February 9, 2014 | 0 comments | Labels:
Hamain to hukm e mujawari hai !!!
Mazar e dil main hai kon madfan?
Yeh kis uroosa ka maqbara hai?
Na koi katba, na koi takhti
Na sung e marmar ki sil pe likha hua
Mohabbat ka koi shair
Faqat serhanay se paainti tak
Amar ki bail ik lipat si gai hai
Jo ik zamanay se keh rahi hai
Yahan thikanatha aashiqi ka
Yeh peer khana tha aashiqi ka
Kisay khabar keh
Yahan hai madfan
Faqeer koi
Aseer koi
Ya phir hai waris ki
Heer koi
Magar hamari majal hi kya
Yahan jo bolay
Zuban kholain
Hamaray lab to
Silay huay hain
Na janay kab se
Silay huay hain
Hamain to hukm e mujawari hai !!!
 
Tuesday, February 4, 2014 | 0 comments | Labels: