twitter

Na Koi Rung Na Hathon Pe Hina Meray Baad
Wo Mukammal Hi Syah Posh Hua Meray Baad.

Roz Ja Ker Wo Samunder K Kinaray Chup Chaap
Nao Kaghaz Ki Bahata Hi Raha Meray Baad

Us Ke Honton Se Mera Naam Nikal Jata Tha
Jisnay Apnaya Usay Chor Diya Meray Baad

Main Ne Girnay Na Diye They Kabhi Aansu Us Ke
Shayad Is Wastay Wo Ro Na Saka Meray Baad.

Main Bhi Waisa Na Raha Us Ke Bichar Janay Se,
Koi Usko Bhi Na Pehchaan Saka Meray Baad.

Sari Dunya Ne Usay Maal E Ghaneemat Samjha
Jo Na Socha Tha Kabhi Wo Bhi Hua Meray Baad.

Us Ka Hasna Mujhe Bhata Tha So Wo Shakhs Adeem
Baal Kholay Huay Hansta Hi Raha Meray Baad.
Sunday, February 9, 2014 | 0 comments | Labels:

0 comments: