twitter

Bay sada lafzon main
Wajh-e-zindagi keh kay
Wasl ki zaroorat par
Phir say zor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Zikr wohi kertay hein
Naam aur detay hein
Zabt ke kinaaron say
Dard aan lipta hai
Toot'tay kinaaray ab
Dard aur detay hein
Aaj aisa kertay hein
Dard say ulajhtay hein
Zabt chor detay hein
Taar taar daaman ko
Khaar khaar raahon main
Ranjishein bhula kay ham
Aa kay jor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Khud nahin palat'tay hein
Raah mor detay hein
Sabz sabz maosam main
Laal laal aankhon kay
Khwaab ki ragon se ham
Khoon nichor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Ye bhi kar guzartay hein
Khwaab tor detay hein
Aa keh ab duaaon ko
Maatami ridaaon main
Phir se kar kay alwidaa
Mauqa auor detay hein
Aaj aisa kertay hein
Darya main utartay hein
Rab pe chor detay hein


Friday, January 30, 2009 | 0 comments | Labels:


Ik shab aankh kinaray …

Neend say pehlay aao,

Khwab-e-safar per saath chalain gay

Ik doojay ka haath pakar ker …

Jhootay sachay ehed karain gay,

Main kuch un dekhay sapnon ki ..

Ungli thaam kay lay aaon gee,

Tum kuch ru-pehli taberain ..

Zaad-e-safar kay taur per lana … …

Ho sakta hai khwab-e-safar main

Barish bhi ho, aandhi bhi ho

Ho sakta hai toofanon nay,

Shart safar say baandhi bhi ho …

Ho sakta hai kuch jugnoo, kuch taaray

Apni raah main aain

Ho sakta hai ghor andhairay main hi

Hum donon kho jain

Is jungle main nadi kinaray

Thoray sapnay bo aain gay

Aur behti nadi main donon

Gham ki gard bhi dho aain gay

Ik bargad kay pair kay neechay

Teray shanay per sir rakh ker

Main apnay sab dukh ro loon gee

Tum apni jalti aankhon per

Meri barf hatheli rakhna .. !

Tum yadon kay roshan jugnoo

Apni mutthi main bhar lena

Main bhi aanchal kay pehloo main

Ujli yadain rakh laoon gee

Is dauraan hi khwab ki devi

Hum donon say haath chura ker

Such ki bheer main kho jaye gee..!

Chahay such kitna karwa ho

Dukh ko maat to ho jaye gee..!

Phir tum neend nagar ko jana

Main khwabon main reh jaoon gee

Ik shab aankh kinaray

Neend say pehlay aao

Khwab-e-safar per saath chalain gay!


| 0 comments | Labels:


Shab-e-hijraan ki aziyyat ki khabar kis ko hai
Meir gumnaam muhabbat ki khabar kis ko hai

Kis ko ehsas meri shedat-e-jazbaat ka hai
Meri halat meri wehshat ki khabar kis ko hai

Kon weraan makanon ki khabar rakhta hai
Meri ujri hoi halat ki khabar kis ko hai

Main nay chup chap muhabbat kay sitam jhailay hain
Meri iss darja sharaafat ki khabar kis ko hai

Kon aaye ga ab aay dil tujh ko tasalli denay
Teri udas tabiyat ki khabar kis ko hai.....!


| 1 comments | Labels:


Taar-e-rag-e-hayaat jo larzaan hai aaj kal
Saaz-e-wafa pe koi ghazal khwaan hai aaj kal

Markaz bana hua hoon kisi ki nigaah ka
Mujh par gham-e-hayat bhi aasan hai aaj kal

Phir hain junoon nawaaz nigahon ki shokhiyan
Maa'il ba'naaz deeda-e-janaan hai aaj kal

Daanista phir kisi ki tawajjo hai is taraf
Barbadiyon ka phir koi samaan hai aaj kal

Tajdeed-e-wada haa-e-wafa chaahata hoon main
Phir shamma-e-ishq dil main farozaan hai aaj kal

Wo meri kaiynaat-e-mohabbat se kya gaye
Dunyaa-e-aarzu meri weeraan hai aaj kal

Wajid kisi se phir hai umeed-e-wafa mujhe
Phir aarzu-e-khwaab pareshaan hai aaj kal



| 0 comments | Labels:


Bikharna tootna bhi aor anaa ke saath bhi rehna
Sitam eejaad bhi karna, wafa ke saath bhi rehna

Tera andaaz aisa hai andheron ki kahaani main
Jalaana kuch diye bhi aur hawa ke saath bhi rehna

Yahaan to shokhiyon ko apni zebaaii se matlab hai
Lahu main bhi machalna aur hina ke saath bhi rehna

Ajab rang-e-ta'aluq hai mohabbat ka mere dil se
Keh us ko torna bhi aur sada kay saath bhi rehna

Haram aur dair sab naqsh-e-mohabbat hain, to dil ko hai
Khad-o-khaal-e-butaan main bhi, khuda ke saath bhi rehna


| 0 comments | Labels:


Hamara kya hai keh ham to charagh e shab ki tarah

Agar jalay bhi to bas itni roshni ho gee

Keh jesay tund andhairon ki raah main jugnoo

Zara si dair ko chamkay, chamak kay kho gaye

Phir us kay baad kisi ko na kuch sujhai day

Na shab katay na suragh-e-sahar dikhai day

Hamara kya hai keh ham to pus-e-ghubar-e-safar

Agar chalay bhi to bas itni raah taey ho gee

Keh taiz hawaaon kay zard maa’il naqsh-e-qadam

Zara si dair ko ubhray ubhar kay mit jaey

Phir us kay baad na rasta na rahguzar milay

Had-e-nigah talak dasht-e-bay kinar milay

Hamari samt na daikho keh koi dair main ham

Qabeela-e-dil-o-jaan say juda honay walay hain

Basay basa’aye huay sheher apni aankhon kay

Misal-e-khana-e-weeran ujarnay walay hain

Hawa ka shor yehi hai to dekhtay rehna

Hamari umar kay khaimay ukharnay walay hain

Wednesday, January 28, 2009 | 0 comments | Labels:


In hijr zada aur ranjeeda
Aankhon say zara neechay jhuk kar
Teri yaad mein bheegay rukhsaron kay
Zard kinaron par aa kar
Ghabra'ei hui si utri thi
Aur thori daIr ko thehri thi


Ab yaad nahin teri aankhon mein
Koi khwab tha, koei sitara tha
Teray honton kay un goshon par
Koi lafz tha koi ishara tha

Kya shaam kay rastay par ruk kar
Teray dill nay mujhay pukara tha?


Bas yaad hai itna, jabb dil nay
Is umr ki had say kuch peechay
Ik baar palat kar dekha tha


Raston pay khilay sab phoolon par
Ik abr ka saya jhukta tha
Aur shaam zara si gehri thi!


| 0 comments | Labels:


Samajh Mein Kuch Nahi Aata
Humein Kis Haath Ki Mehboob Rekhaaon Mein Rehna Tha
Kis Dil Mein Utarna Tha
Chamakna Tha Kin Aankhon Mein
Kahaan Per Phool Banna Tha
To Kab Khushboo Ki Surat Kooay Janaa say Guzar Jana Tha
Samajh Mein Kuch Nahi Aata
Humein Kis Qarua Aab-o-Hawa Kay Sang Rehna Tha
Kahaan Shaamein Guzarna Theen
Kahaan Mehtaab Raaton Mein
Kisi Ko Yaad Kerna Tha
Kisi Ko Bhool Jana Tha
Kahaan Per Subha Ka Aaghaaz Kerna Tha
Kahaan Sooraj Nikalna Tha
Safar Kay Dasht Mein Tanha
Thaky Haray Musafir Ko
Kahaan Khaima Lagana Tha
Kahaan Darya Mein Kashti Dalni Thi
Aur.....!!!!
Kis Sahil Utarna Tha
Samajh Mein Kuch Nahi Aata


| 0 comments | Labels:


Zindagi yun mujhay awaaz na day ruk ruk kay
Main musafir hoon, musafir ka bharosa kaisa
Chund lamhay main theher jaoon magar darta hoon
Tu mujhay qaid na kar daalay inhi lamhon main
Aur phir ho kay aseer-e-gham-e-janaan ek din
Bhool jaoon keh meri zeest ka haasil kya hai
Cheen kar mujh say mera shoq-e-junoon josh-e-junoon
Jeetay ji maar hi daalay na yehi darta hoon
Kon jaanay keh kahan rabta tootay tujh say
Kon jaanay keh kahan maut say ho jaaye wisaal
Phir bhala teri sada pay main rukoon bhi kesay
Mujh ko jaana hai bohot dur teri sarhad say
Door itna keh koi faasla baaqi na rahay
Saath guzray huay lamhon ki qasam hai tujh ko
Zindagi yun mujhay awaaz na day ruk ruk kay
Main musafir hoon musafir ka bharosa kaisa



| 0 comments | Labels:


Yeh noor kesa hai

Raakh ka sa rang pehnay

Barf ki laash hai

Laavay ka sa badan pehnay

Gungi chahat hai

Rusvaai ka kafan pehnay

Her ik qatra muqaddas hai mailay aansu ka

Ik hujoom-e-apaahaj hai aab-e-kausar per

Yeh kesa shor hai jo be-awaz phaila hai

Rupehli chaaon main, badnamiyon ka deraa hai

Yeh kesi jannat hai jo chaunk chaunk jati hai

Ek intezar-e-mujassam ka naam – khamoshi

Aur ehsas-e-bekaraan pe ye sarhad kesi?

Dar-e-deevar kahan ruh ki aavargi kay

Noor ki vaadi talak lams ka ik safar-e-taveel

Her ik mor per bas do hi naam miltay hain

Maut keh lo jo mohabbat nahin kehnay paao


Tuesday, January 20, 2009 | 0 comments | Labels:


Us nay meray seenay per sar

Rakh ker poocha

Janan ! apnay jeewan ka woh

Lamha to batao mujh ko

Jis kay badlay mil saktay hon sabhi sitaray

Dariyaon kay saray moti

Sawan ki pehli barish kay saray qatray

Ujlay chand ki sari kirnain

Dharti kay seenay say lipay sabhi khazanay

Saray mausan, sabhi dua’ain

Phoolon ki rangeen qaba’ain

Patti patti pernay wali bheegi shabnam

Main nay kaha Ism-e-Azam

Us nay meray seenay per sar rakh ker poocha

Janan ! apnay jeewan ka wo lamha to batao mujh ko

Jis kay badlay sab kuch apna, sab kuch, day saktay ho

Main nay us ka maatha chooma aur bola

"Jab pehli baar meray seenay per tum nay apna sir rakha tha"


| 0 comments | Labels:

Agar main patthar ki larki hoti
To apnay paikar ki sabz rut per bohat si kaaii ugaya kerti
Bohat say tareek khwab bunti
Ujalay ko thokron main rakhti
Khamoshi kay babool chunti
Dehekti kirnon ka jharna hoti
Sama’aton kay tamam afsoon paash kerti
Main kuch na sunti
Main apnay pallu main sog bandhay
Kisi ko un ka pata na deti
Safar kay her aik merhalay per
Main rahzanon ki tarah mukarti

Agar main patthar ki larki hoti
To main aziyyat ki malgiji un-ginat udasi kay rung chunti
Wehem ugaati, gumaan rakhti

Tumhari sari wajahaton ko
Main sau tarah say para para kerti
Na tum ko yun aaina banati
Agar main patthar ki larki hoti …. !!!


Tuesday, January 13, 2009 | 0 comments | Labels:

Lafz-e-pas-e-lafz
Jo ham boltay hain, roltay hain
Kon sa lafz hai kholay ga jo dar ma’ni ka
Iss ka pata kon karay
Tum to khushbu ho, sitaaron ki guzargaah ho tum
Tum kahan aao gai iss dasht-e-purasrar ki pehnai main
Kaise utro gai tamannaon ki gehrai mai

Reh gaya main
So aye jaan-e-wafa
Mai to jo kuch hoon tumharay hi kham-e-chashm se hoon
Tum hi jab lafz pas-e-lafz se aagah nahi
Kis tarah sehr-e-mafaheem ko darwaza khulay
Lafz ki kokh main taseer kahan se utray

Tum meray saath ho, humraah nahi
Kon se khuwaab ke jugmug main nihaan hain ham tum
Kaise girdaab-e-tamanna mai rawaaN hain ham tum
Lafz ka paar jo daikhain to koi raah nahi
Aur tum lafz-e-pas-e-lafz se aagaah nahi


Friday, January 9, 2009 | 0 comments | Labels:

Is se pehlay ke suraj ka kundan
Shaam-e-gham ke ujaar sehra mein
Jal bujhay, bujh ke raakh ho jaaye
Is se pehlay ke chahatoon ka yaqeen
Waahmon ke bhanwar mein kho jaaye

Iss se pehlay ke chaand ka jhoomar!
Dard ki jheel mein utar jaaye
Aur khwahish ki chandni ka ghubaar
Waqt ki aankh mein bikhar jaaye

Is se pehlay ke apne dil ki rugain
Ik ik ker ke toot'ti jayein
Aur tanaabein gulaab khwaabon ki
Apne haathon se chhoot'ti jayein

Is se pehlay ke ghair le mujh ko
Her taraf se jaloos-e-ruswaai
Qurbatoon ke nishaan mita dale
Hijr ke zalzaloon ki angraai

Ay meri be'suhaag tanhaai
Mujh se pursa le apne pyaaron ka
Bujhtay ashkon ke un sitaaron ka
Jo her ik ajnabi ke rastay mein
Noor ki chaadrein bichhaatay thay
Jo kisi subh'zaad ki dhun mein
Raat bhar roshni lutaatay thay

Ay meri be'suhaag tanhaai!
Aa mere paas, mujh se pursa le
Un gulaabon ka un suhaabon ka
Habs ki rut mein jo barastay thay
Jin ke pal bhar ke lams ki khatir
Mausamon ke badan tarastay thay

Ay meri be'suhaag tanhaai!
Is se pehlay ke saans thak jaaye
Shoq doonday nai guzargaahein
Is se pehlay ke be'nishaan thehray
Hasrat-e qurb ki sabhi raahein
Meri gardan mein daal de baanhein!!!!

Juz mere kon tuj ko chahay ga
Mein bhi teri tarah akela hoon
Aankh mein tishnagi ka sehra hai
Dil mein paataal ki si gehraai
Aur kia ho reh-e-shanaasaai

Ay meri be'suhaag tanhaai!



Thursday, January 8, 2009 | 0 comments | Labels: