Ik shab aankh kinaray …
Neend say pehlay aao,
Khwab-e-safar per saath chalain gay
Ik doojay ka haath pakar ker …
Jhootay sachay ehed karain gay,
Main kuch un dekhay sapnon ki ..
Ungli thaam kay lay aaon gee,
Tum kuch ru-pehli taberain ..
Zaad-e-safar kay taur per lana … …
Ho sakta hai khwab-e-safar main
Barish bhi ho, aandhi bhi ho
Ho sakta hai toofanon nay,
Shart safar say baandhi bhi ho …
Ho sakta hai kuch jugnoo, kuch taaray
Apni raah main aain
Ho sakta hai ghor andhairay main hi
Hum donon kho jain
Is jungle main nadi kinaray
Thoray sapnay bo aain gay
Aur behti nadi main donon
Gham ki gard bhi dho aain gay
Ik bargad kay pair kay neechay
Teray shanay per sir rakh ker
Main apnay sab dukh ro loon gee
Tum apni jalti aankhon per
Meri barf hatheli rakhna .. !
Tum yadon kay roshan jugnoo
Apni mutthi main bhar lena
Main bhi aanchal kay pehloo main
Ujli yadain rakh laoon gee
Is dauraan hi khwab ki devi
Hum donon say haath chura ker
Such ki bheer main kho jaye gee..!
Chahay such kitna karwa ho
Dukh ko maat to ho jaye gee..!
Phir tum neend nagar ko jana
Main khwabon main reh jaoon gee
Ik shab aankh kinaray
Neend say pehlay aao
Khwab-e-safar per saath chalain gay!
0 comments:
Post a Comment