Dilo’n Ko Chhaid Ker Rakh Dain Jo, Un Lafzon Se Khaa’if Hoon
Kisi Masoom Per Banti Hui Baton Se Khaa’if Hoon
Wo Jin Ki Aanch Se Dil Ke Kanwal Murjha Ke Reh Jayen
Main Aisay Garm, Jhulsaye Huay Lehjon Se Khaa’if Hoon
Kisi Ko Zaat Se Meri Koi Takleef Na Pohnchay
Mujhe Pyaray Hain Jo Main Unn Sabhi Rishto’n Se Khaa’if Hoon
Unhain Her Aik Se Her Pal, Gilay Shikway He Rehtay Hain
Anaa Ki Jaal Maion Jakray Huay Logon Se Khaa’if Hoon
Kuduurat Dil Main Hai To Phir Kisi Pal Waar Ker Dain Ge
Naqaab-E-Dosti Daalay Huay Chehro’n Se Khaa’if Hoon
Ye Maana Mainay Jazba’haye Dil Anmol Hotay Hain
Magar Bay’mol Jo Ker Dain Main Unn Jazbo’n Se Khaa’if Hoon
Bikher Jaye Koi To Phir Samaita Jaa Nahi Sakta
Mujhe Jo Muntashir Ker Dain Unhi Socho’n Se Khaa’if Hoon
Zamanay Bhar Main Meray Dard Ki Tash’heer Ker Dain Gay
Main Gham’khuaro’n Se, Hamdardi Se, Hamraazo’n Se Khaa’if Hoon
Mujhe Bay’dast-O-Paa Ker Ke Kaheen Aagay Na Barh Jayen
Main Apni Zindagi Ke Bhagtay Lamhon Se Khaa’if Hoon
Mujhe Bay’chargi Se Bay’basi Se Khauf Aata Hai
Saharay Ke Leay Phailay Huay Haathon Se Khaa’if Hoon
Jo Hasrat Main Badal Ker Zindagi Ka Rog Ban Jayen
Main Aisi Khuahisho’n Aise Tamana’on Se Khaa’if Hoon
Ye Panjay Gaar Dain Jis Jaa, Wahan Kuch Bhi Nahi Rehta
Main Apne Chaar’soo Phailee Hui Rasmo’n Se Khaa’if Hoon
Kaheen Paas-E-Murawwat Hai Kaheen Ehsas-E-Ghairat Hai
Kabhi Apno’n Se Khaa’if Hoon, Kabhi Ghero’n Se Khaa’if Hoon
Ye Deemak Ki Tarha Se Aadmi Ko Chaat Jatay Hain
Amaawas, Khauf, Darr Aur Andesho’n Se Khaa’if Hoon
Jahan Na Chain Din Ko Ho Na Raatain Pur’sukoon Guzrain
Sabhi Aisay Makaano’n Aur Shabistaano’n Se Khaa’if Hoon
Khuda Haami Hai Apna, Ye Yaqeen To Hai Magar Phir Bhi
Daroo’n Khaana Main Jo Paltay Hain Jo Unn Fitno’n Se Khaa’if Hoon
Nazar Her Gaam Dilkash Manaazir Se Ulajhti Hai
Jo Manzil Se He Bhatka Dain Main Unn Raho’n Se Khaa’if Hoon
Subscribe to:
Post Comments (Atom)
0 comments:
Post a Comment