twitter

Zindagi ki dhoop main
Hum'safar k roop main
Banay jo mera saaibaa'n
Hon us main chand khubiyan
Wo khush shakal zaroor ho
Per us main na ghuroor ho
Chaal main waqar ho
Shokhiyon sey piyar ho
Guftugu main narm ho
Mizaj ka na garm ho

Bhaley sey woh ghareeb ho
Per shart hai shareef ho
Nafaasaton ki baat ho
Misal us ki zaat ho
Zarf baa'kamaal ho
Na dil main koi baal ho
Jo bazm ki woh jaan ho
Khuda ka bhi dhiyan ho
Dee'n ki sakht raah main
Day is tarah sey sath woh
Jahan bhi dag'magaaun main
Pakar lay mera haath woh

Faraib day na woh mujhay
Zindagi k morr parh
Kahin parrey na torrna,
Us se naata jorr karr
Haan aisa ho agar kabhi
Main bhool ker alam sabhi
Mai iss sulagti raah per
Uss ka haath thaam ker
Ye zindagi k roz-o-shab,
Mai huns k bus guzaar dun
Kerey wafa jo woh sada
To jaan us pe waar dun

Magr yeh khwab hain merey
Haqeeqaton se bey'khabar...

Haqeeqatain to talkh hain
Aur talkh jaam pee k ab
Koi jhoomta hai kab !
Sara nasha to zar main hai
Ya mai'kaday k dar main hai
Aur zindagi ki dhoop main
Hum'safar k roop main
Koi ban k mera saaibaa'n
Kyun piye yeh talkhiyan !
Woh talkhiyan jo zindagi ki rooh ko nikhaar dain
Azeem ik waqar dain, aur aakhrat sanwaar dain
Ke ab nasha to zar man hai
Yeh mai'kaday k dar main hai
Aur...

Par merey khwab hain abhi
Haqeeqaton sey bey'khabar !!

Tuesday, June 10, 2008 | 0 comments | Labels:

Kabhi gham yun bhi hota hai
Keh sansain toot jati hain
Kisi ki rah tak tak ker
Nigahain sookh jati hain
Jinhen ana ho jeewan main
Wohi aanay nahi paatay
Jinhen ana ho khuwabon main
Wo rastay bhool jatay hain

Kabhi gham yun bhi hota hai
Jahan dil apna khilta hai
Waheen mausam badalta hai
Hamain jo naam lena ho
Amanat aur ki ho wo
Hamai jo baat kerni ho
Sira wo mil nahi pata

Kabhi gham yun bhi hota hai
Jahan phoolon ki aahat ho
Khizan bhi tan ke aati hai
Koi dharkan sunaey gee
Hamain kya raaz ki batain
Kabhi jab aankh dil per ho
To dil hi mil nahi paatay

Kabhi gham yun bhi hota hai
Keh lawa beh nahi pata
Khwahish aesi hoti hai
Mager hum ro nahi saktay
Sar-e-maqtal kharay ho ker
Kabhi tum ko pukarain to
Sada'ain mil nahi sakteen

Kabhi gham yun bhi hota hai
Keh mar janay ko dil chahay
Koi marnay nahi deta

Kabhi gham yun bhi hota hai
Hamain hi gham kyun hota hai?
Usay gham kyon nahi hota?

| 0 comments | Labels:
Mujhay Aksar Yeh Kehti Thi,"Mohabbat Kuch Nahin Hoti"
Hijr Ka Khauf Bay Matlab, Vaal Ke Khwab Bay Mani
Koi Soorat Nigahon Main Kahan Din Raat Rehti Hai?
Usay Kyun Khamshi Kehiye Keh Jis Main Baat Rehti Hai
Yeh Aansoo, Be-zuban Aansoo Bhala Kya Bol Saktay Hain?
Kahan Dil Main Kisi Ki Yaad Se Toofaan Uthtay Hain?
Kahan Palkon Kay Saaey Main Nami Din Raat Rehti Hai?
Kahan Hoti Hain Woh Aankhain Jahan Barsaat Rehti Hai?
Mujhay Aksar Yeh Kehti Thi,"Mohabbat Kuch Nahin Hoti"

Magar Aaj Barson Baad Main Ne Us Ko Dekha Hai
Keh Uski Jheel Aankhon Main Hijr Ka Khauf Rehta Hai
Vasl Kay Khwab Rehtay Hain, Wahan Barsaat Rehti Hai
Yun Lagta Hai Kai Raton Se Woh Soi Nahin Shayad
Yun Lagta Hai Kisi Ki Yaad Ab Din Raat Rehti Hai
Aur Uski Narm Palkon Kay Haseen Saaey Bhi Geelay Hain
Aur Uski Khamshi Aisi Keh Jis Main Baat Rehti Hai
Mujhay Ab Wo Nahi Kehti "Mohabbat Kuch Nahin Hoti"
Keh Ab Shayed Mohabbat Ki Woh Sab Ramzain Samajhti Hai

Atif Saeed
| 0 comments | Labels:

Inn Udaas Rahon Per
Iss Akelay Dil Ke Sath
Ker Lia Safar Kitna
Aur Kitna Baqi Hai
Wo Jo Aik Taara Sa
Duur Jhilmilata Hai
Raasta Dikhata Hai
Or Duub Jata Hai
Tabb Akelay-Pann Se Dil
Ye Sawaal Kerta Hai
Jugnu-on Ki Khuwahish Main
Titlion Ki Chahat Main
Ker Lia Safar Kitna
Aur Kitna Baqi Hai

| 0 comments | Labels:

Ajnabi si rahon ka,
Ajnabi musafir aik,
Mjuh say pooch betha hai,
Raasta bata do gay?
Ajnabi si raahon kay,
Ajnabi musafir sunn,
Raasta koi bhi ho,
Waasta koi bhi ho,
Manzilen nahi miltien,
Manzilen to dhoka hain!
Manzilen jo mil jain,
JUSTUJU Nahi Rehti!
Zindagi ko jeenay ki
AARZU NAHIN REHTI.........!!!

| 0 comments | Labels:

Kisi haath nay kisi loh pay jo nahi likha
Wohi aik hurf-e-gumaan hain hum
Khat-e-gumshuda main likhi gaiee
Koi ajnabi si zuban hain hum
Kisi aur khita-e-dard par jo guzar gaya
Usi waqt ki tag-o-taaz ka
Koi be nishan sa nishan hain hum
Kabhi apnay wahimay say nikal k dunia ko dekhain
Tu na khul sakay k kahan hain hum
Meri jaan humari ya dastaan
Isi aasmaan ki chat talay
Isi kahkashaan k darmiyan
Kaiee baar likhi gaiee kaiee bar suni gaiee
Ya hadees nagm-e-bay sada
Kabhi surkh phoolon ki taiz khushbu'on main ruk gaiee
Kabhi aansoon main rawan hwee
Ya woh shame-e-sham-e-wisal ha
Jo tamaam raat jali kabhi
Kabhi aik pal main dhuwan hwee
Kabhi roshni ka yakeen bani
Kabhi teergi ka gumaan hwee
To jo ho gaya usay maan lay
K wo daag wo hain jo saath behroon
K panioon say na dhul sakain gain
Hwa k rastay main urnay walay udas lamhay
Na ruk sakay hain na ruk sakain gain
K aik tere na manay say
Yeh sheher bhar ki emaraton pe
Jo jalte bujhtay harf pehnay
Shikasta wada latak rahay hain
Na jur sakain gay, na chup sakain gay
Hawa kay raastay main urnay walay udaas pat'tay
Na ruk sakain gay
Tu jo ho gaya hai usay maan lay

| 0 comments | Labels:

Kisi Kay Youn Bicharney Per
Kisi Kay Yaad Aney Per...
Bohat Se Log Rotay Hain...
Keh Rona Ek Rawayat Hai...
Magar Main In Pur Paich Raahon Per...
Teri Yaad Say Ghabra Ker Aksar...
Rawayat Toor Jata Hun...
Tumhari Yaad Ati Hai...
Mein Aksar Muskurata Hun...

| 0 comments | Labels: