twitter

Mujhay Aksar Yeh Kehti Thi,"Mohabbat Kuch Nahin Hoti"
Hijr Ka Khauf Bay Matlab, Vaal Ke Khwab Bay Mani
Koi Soorat Nigahon Main Kahan Din Raat Rehti Hai?
Usay Kyun Khamshi Kehiye Keh Jis Main Baat Rehti Hai
Yeh Aansoo, Be-zuban Aansoo Bhala Kya Bol Saktay Hain?
Kahan Dil Main Kisi Ki Yaad Se Toofaan Uthtay Hain?
Kahan Palkon Kay Saaey Main Nami Din Raat Rehti Hai?
Kahan Hoti Hain Woh Aankhain Jahan Barsaat Rehti Hai?
Mujhay Aksar Yeh Kehti Thi,"Mohabbat Kuch Nahin Hoti"

Magar Aaj Barson Baad Main Ne Us Ko Dekha Hai
Keh Uski Jheel Aankhon Main Hijr Ka Khauf Rehta Hai
Vasl Kay Khwab Rehtay Hain, Wahan Barsaat Rehti Hai
Yun Lagta Hai Kai Raton Se Woh Soi Nahin Shayad
Yun Lagta Hai Kisi Ki Yaad Ab Din Raat Rehti Hai
Aur Uski Narm Palkon Kay Haseen Saaey Bhi Geelay Hain
Aur Uski Khamshi Aisi Keh Jis Main Baat Rehti Hai
Mujhay Ab Wo Nahi Kehti "Mohabbat Kuch Nahin Hoti"
Keh Ab Shayed Mohabbat Ki Woh Sab Ramzain Samajhti Hai

Atif Saeed
Tuesday, June 10, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: