twitter

Aye matwalo! naaqon walo dete ho kuch us ka pata
Najad k ander majnoo naami aik hamara bhai tha
Aakhir us per kya beeti, jano tou ehwaal kaho
Maut mili ya laila paai? deewane ka maa'al kaho
Aql ki batein kehne wale doston ne usey samjhaya
Us ko tou lekin chup si lagi thi , na bola na baaz aya
Khair ab us ki baat ko choro...dewaana phir deewana
Jatay jatay hum logon ka aik sandesa lay jana

Aawara Aawara phirna chor k mundli yaaron ki
Dekh rahe hain dekhne wale Insha ka ab haal wohi
Kia achaa khush baash jawan tha jane kyun beemar hua
Ut'thtey baith'tey Meer ki baitain parhna us ka shuaar hua
Taur tareeqa ukhraa ukhraa chehra peela sakht malool
Raah main jese khaak pe koi masla masla baagh ka phool
Shaam sawerey baal bikherey betha betha rota hai
Naqon walo ! in logon ka Aalam kaisa hota hai

Apna bhi wo dost tha hum bhi paas us k baith aate hain
Idher udher kay qissey keh kay jee us ka behlaate hain
Ukhri ukhri baat karey hai bhool kay agla yaraana
'Kon ho tum 'kis kaam se aaye ho? hum ne na tum ko pehachana
Jane ye kis ne choat lagayi ,jane ye kis ko piyaar karey
Tumhi kaho hum kis ko dhoonden, aahain khenchey naam na lay
Peet main aise jaan say yaro kitnay log guzerte hain
Peet main na haq mer nahin jatey,peet tou saare kerte hain

Aye matwalo! naqo walo! nagri nagri jaatey ho
Kahin jo us ki jaan ka bairi mil jaye, ye baat kaho
Chaak gereibaan ik deewana phirta hai hairaan hairaan
Patther se serr phorr marega , deewane ko saber kahan
'Tum chaho tou basti chorey tum chaho tou dasht basaye
Tum chaho tou kuch din jee ley daaman see ley hosh main aaye'
Aye matwalo naqon walo....werna ik din ye hoga
Tum logon se aatey jaatey poochainge Insha ka pata

Wednesday, September 17, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: