twitter


Kya aah bharay koi
Jab aah nahin jati
Dil say bhi zara gehri
Aur arsh say kuch oonchi

Kya nazm likhay koi
Jab khwab ki qeemat mein
Aadarsh ki soorat mein
Kashkoal gada'ei ka
Shaa'ir ko diya jaey
Aur roak liya jaey
Jab shair utarnay say
Badal say zara oopar
Taaron say zara neechay

Kya khaak likhay koi
Jab khaak kay medaan par
Ungli ko hilanay say
Toofan nahin uth'ta
Jab shakh pay imkan ki
Is dasht-e-tamanna mein
Ik phool nahin khilta
Rahbar nahin ruktay
Mohoam si manzil par
Aankhon kay isharay say
Aur noor ki boondon ki
Bochhar nahin hoti

Ik neelay sitaray say


Jab dil kay bulaway par
Iss jheel kanaray par
Peghaam nahin aata
Ik door ka bashinda
Ik khwab ka shehzada
Gulfaam nahin aata

Basti mein koi aurat
Raaton ko nahin soati
Jaagi huwi aurat ki
Soi hui qismat par
Jab koi bhi deewana
Be chain nahin hota
Dehleez kay pathar say
Takra kay jabeen apni
Ik shakhs nahin rota

Jab neend kay shedaei
Khwabon ko tarastay hain
Aur dekhnay kay aadi
Binaei say dartay hain
Reh reh kay andheray say
Aankhon mein utartay hain

Aankhon kay ujalon say
In phool say bachchon say
Keh do keh na ab nangay
Paa'on say chalein ghar mein
Is farsh pay mitti kay
Ab ghaas nahin ugti
Ab saamp nikaltay hain
Deewar say aur dar say

Ab noor ki boondon say
Mehki hui mitti mein
Anmol ujalay kay
Woh phool nahin khiltay
Ab jheel kanaray par
Bichhray bhi nahin miltay
Basti mein koi aurat
Raton ko nahin soti
Aur jagnay walon say
Ab nazm nahin hoti

Kya nazm likhay koi
Jab jagnay, sonay mein
Pa lenay mein, khonay mein
Jab baat kay honay mein
Aur baat na honay mein
Kuch farq na reh jaey
Kya baat karay koi !



Sunday, February 15, 2009 | 3 comments | Labels:


Amar kar lo woh sab lamhay

Jo ham nay yun guzaray hain

Sahar kar lo woh sab raatein

Jahan apni hi dunya thi

Jahan saansein bhi apni theen

Jahan sapnay bhi apnay thay

Safar kar lo woh sab rastay

Jahan kuch bhi wafaaein hain

Jahan khushbu hai pyaron ki

Jahan yaadein hain yaaron ki

Fikar kar lo zara ik pal

Keh tum ne kis ko khoya hai

Usay tum dhoond paao gay

Kabhi phir dekh paao gay

Thehar jaao jahaan ho tum

Keh us bin tum adhooray ho

Kabhi phir mil na paao gay

Usay dhoondo gay yaadon main

Usay is pal bula lo tum

Keh yeh lamhay tumhaaray hain


Thursday, February 5, 2009 | 0 comments | Labels:


Zeest hai haari hui baazi ki tarah
Rooh main utarnay lagi hai sard thakan
Yaas ki dhundh chaa rahi hai har soo
Barhnay lagi hai aankhon main jalan
Shehar-e-khwaab khaakastar honay kay qareeb
Ik udaasi hai har taraf madham madham
Bahaar par bhi khizaan ka ghumaan honay laga
Chalay bhi aao mere maseeha mere hamdam
Tum jo chalay aaoo to dil ka nagar raoshan ho
Dil-e-bhojal ko milay khushi-e-jawedaan
Taptay wujood ko saaya-e-abr milay
Shab-o-roz kehnay lagain nai daastan
Zindagi ki raah'guzaaron par tum jo mere sang chalo
Chaand saath chalay baad-e-saba saath chalay
Diye jalnay lagain denay lagain manzilon ka pata
Hayaat gun'gunaanay lagay tu jo thaamay haath chalay



| 0 comments | Labels: