Qadam qadam pe naya marhala tha kya karti?
Tawiil hota
Har aik shakhs ko tha zaum e rahbari kitna
bhatak raha tha mera qaafla main kya karti?
Gham-e-hayat gham-e-ishq aur gham-e-janan
Ulajh
Tumharey sath kisey faisaley ki fursat thi
Tumharey baad bhala faisla main kya karti?
Bohat sambhaal kay rakkha tha dil mein raaz tera
Woh ban kay ashk jo girnay laga main kya karti?
Mujhi sey mangney aaya woh lay kay Majhburi
Ab uss sey us ki jafaa ka gilaa main kya karti?
Woh aansu'on ki zubaan janta na tha meri . .
Mujhe baya'n ka na tha hosla main kya karti?
Na Koi Khwaab Na Sahelii Thi
Is Muhabbat Mein, Main Akeli Thi
Ishq Mein Tum Kahaan Kay Sachey Thay
Jo Azeeyyaat Thi Hum Nay Jheylii Thi
Yaad Ab Kuch Nahi Raha Lekin
Ek Darya Tha Ya Hawelii Thi
Jis Nay Uljha Kay Rakh Diya Dil Ko
Woh Muhabbat Thi Ya Paheyli Thi
Main Zara Si Bhi Kam Wafa Karti
Tum Nay To Meri Jaan Lay Li Thi
Waqt K Sanp Khaa Gaye Us Ko
Merey Aangan Mein Ek Chambeli Thi
Is Shab-E-Gham Mein Kis Ko Batlaoon
Kitni Rooshan Meri Hatheylii Thi
Teri Aankhon Main Meray Dil Ka Naqsha Ho Bhi Sakta Hai
Jisey Dewaar Samjha Hai Woh, Rasta Ho Bhi Sakta Hai
Nazar Sey Door Reh Kar Bhi Kisi ki Soch Mein Rehna
Kisi Key Pass Rehney Ka Tareeqa Ho Bhi Sakta Hai
Woh Apni Sard Mohri Sey Mujhey Had Mein To Rakhta Hai
Mera Had Sey Guzarney Ka Irada Ho Bhi Sakta Hai
Bhari Dunya Ka Maila Sath Ho To Kaun Sii Mushkil
Magar Aik Shakhs Mailey Mein Akaila Ho Bhi Sakta Hai
Yeh Seedhii Raah Par Chalna Kaha'n Sey Seekh Aaye Ho?
Yeh Ra'sta Dostii Ka Hai Yeh Tairha Ho Bhii Sakta Hai
Machalta Thokrien Khata Huaa Paani Ka Aik Dharaa
Teray Dil Tak Pohanchney Ka Bahana Ho Bhi Sakta Hai
Nikal Kar Band Kamrey Sey Zara Baazar Mein Aao
Agar Tum Daikhna Chaho Tamasha Ho Bhi Sakta Hai
Hum say taskheer muqadder kay sitaray na huay
Zindagi aap thay, aur aap hamary na huay
Phir bata'o keh bhala kis pe sitam dhao gey
Shehr-e-ulfat main ager dard kay maary na huay
Zard aankhon say meri hijr kay moti barsay
Ye bhi kya kam hay muhabat main khasaary na huay
Sach to yeh hay keh bina us kay guzaara jeevan!
Ye bhi sach hay kay bina us kay guzaarey na huay
Iss liye apna milan ho bhi nahi sakta tha
Aik drya kay kabi dono kinaary na huay
Toot jatay hain sabhi pyaar kay rishtay Amjad
Kachay dhagay to kisi kay bhi sahaary na huay
Raat bhar sehn-e-chaman main siskiyan sunta raha
Khushk patton say lipat ker saba roti rahi
Ik taraf thi maslehatain ik taraf majbooriyan
Main alag rota raha woh alag roti rahi
Chaand say mai nay pyar kiya
Chaand say mai nay pyar kiya
Pehley pehal to us ki bus
Ik jhalak dekhai deti thi
Dheerar dheeeray us nay saath nibhana seekh liya.....
Phir kuchh yun hua
Akser woh dair say aata
Dekhta hansta aur chhup jata
Aana jana chhor dyia
Saath nibhana chhor diya
Aakhir ko mehboob jo tha
Chaand say main nay pyar kiya
Aye matwalo! naaqon walo dete ho kuch us ka pata
Najad k ander majnoo naami aik hamara bhai tha
Aakhir us per kya beeti, jano tou ehwaal kaho
Maut mili ya laila paai? deewane ka maa'al kaho
Aql ki batein kehne wale doston ne usey samjhaya
Us ko tou lekin chup si lagi thi , na bola na baaz aya
Khair ab us ki baat ko choro...dewaana phir deewana
Jatay jatay hum logon ka aik sandesa lay jana
Aawara Aawara phirna chor k mundli yaaron ki
Dekh rahe hain dekhne wale Insha ka ab haal wohi
Kia achaa khush baash jawan tha jane kyun beemar hua
Ut'thtey baith'tey Meer ki baitain parhna us ka shuaar hua
Taur tareeqa ukhraa ukhraa chehra peela sakht malool
Raah main jese khaak pe koi masla masla baagh ka phool
Shaam sawerey baal bikherey betha betha rota hai
Naqon walo ! in logon ka Aalam kaisa hota hai
Apna bhi wo dost tha hum bhi paas us k baith aate hain
Idher udher kay qissey keh kay jee us ka behlaate hain
Ukhri ukhri baat karey hai bhool kay agla yaraana
'Kon ho tum 'kis kaam se aaye ho? hum ne na tum ko pehachana
Jane ye kis ne choat lagayi ,jane ye kis ko piyaar karey
Tumhi kaho hum kis ko dhoonden, aahain khenchey naam na lay
Peet main aise jaan say yaro kitnay log guzerte hain
Peet main na haq mer nahin jatey,peet tou saare kerte hain
Aye matwalo! naqo walo! nagri nagri jaatey ho
Kahin jo us ki jaan ka bairi mil jaye, ye baat kaho
Chaak gereibaan ik deewana phirta hai hairaan hairaan
Patther se serr phorr marega , deewane ko saber kahan
'Tum chaho tou basti chorey tum chaho tou dasht basaye
Tum chaho tou kuch din jee ley daaman see ley hosh main aaye'
Aye matwalo naqon walo....werna ik din ye hoga
Tum logon se aatey jaatey poochainge Insha ka pata
Yeh dooriyaan yeh fasley
Dua karo keh barh ja’ain
Na shikwa karo hum sey na hum koii gila karien
Khuda karey keh andhairii raat mein
Tum niklo kisi manzil ki talash mein
Hum apne dil ko jala’ien
Aur dikha’ain tum ko raasta
Tum phir sey thukrao humien
Kaho , nahi koii teri chah humien
Phir apni zaat mein hym kuch aur simat jaien
Keh zindgii aur mout mein fasiley bhi mit jaien
Phir apney marney ki hum dua karien
Is sey aiyada karien bhi to hum kya karien
Phir kaii saal baad
Tum jo hum sey milla karo
Dekh kar meri halat tum bhi karb sey rou paro
Phir hum Poochien keh kya hua
Phir tum kaho keh kuch nahii
Phir karo kuch shikayatien
Phir sey koii gilla karo
Phir karo milney kii koshishien
Phir hum na tum ko milla karien
Yeh dooriyaan yeh fasley
Dua karo keh barh jaien
Na shikwa karo hum sey
Na hum koii gilla karien