Hijr main khoon rulatay ho, kahan hotay ho?
Lot ker kyun nahin aatay ho, kahan hotay ho?
Jub bhi milta hia koi shaks baharon jesa
Mujh ko tum kesay bhulatay ho, kahan hotay ho?
Yaad aati hain akailay main tumhari neendain
Kis tarha khud ko sulatay ho, kahan hotay ho?
Mujh say bichray ho to mehboob-e-nazar ho kis kay
Aaj kul kis ko manatay ho, kahan hotay ho?
Shub ki tanhai main aksar yeh khayal aata hai
Apnay dukh kis ko sunatay ho, kahan hotay ho?
Mausam-e-gul main nasha hijr ka barh jata hai
Meray sub hosh churatay ho, kahan hotay ho?
Serd raaton main kesay tumhain bhula sakta hoon?
Aag si dil main lagaty ho, kahan hotay ho?
Tum to khushiyon ki rafaqat kay liye bichray thay
Ab agar ashk bahatay ho, kahan hotay ho?
Sheher kay log bhi 'Wasiq' yehi kertay hain sawal
Ab bohot kum nazar aatay ho, kahan hotay ho?
Socha tha pehlay kar loon who kaam jo mujh ko karnay hain
Phir to saaray mah-o-saal issi kay saath guzarnay hain
Jub yeh farz ada kar loon ga jub yeh qarz utaaroon ga
Umr ka baqi hissa teri yaad kay saath guzaroon ga
Aaj faraghat paatay hee maazi ka daftar khola hai
Tanhai mein baith kay apna ik ik zakhm tatola hai
Chhaan chuka hoon jism-o-jaan par aaee hui kharashon ko
Ulat palat kar daikh liya hai armaanon kee laashon ko
Kamray mein rakha tha ussay ya dil mein kahin dafnaya tha
Jaanay woh anmol khazana mein nay kahan chhupaya tha
Saari umr ka haasil thee yeh khonay walee cheez na thee
Soch raha hoon yaad teri gum honay walee cheez na thee ..
Dil Hijr Key Dard Sey Bojhal Hai, Ab Aan Milo To Behtar Ho
Is Baat Sey Hum Ko Kya Matlab, Yeh Kaisey Ho Yeh Kyun kar Ho
Ik Bheek Key Dono Kaasey Hain, Ik Pyaas Key Dono Pyasey Hain
Hum Khaiti Hain Tum Badal Ho, Hum Nadya Hain Tum Saagar Ho..
Yeh Dil Key Jaltey Seeney Mein, Ik Dard Ka Phora Alhar Sa
Na Gupt Rahey Na Phoot Bahey, Koi Marham Ho Koi Nashtar Ho
Hum Saajh Samey Ki Chaaya Hain, Tum Charhti Raat Kay Chanderma
Hum Jaatey Hain Tum Aatey Ho, Phir Mail Ki Soorat Kyun kar Ho
Abb Husn Ka Rutba Aali Hai, Abb Husn Sey Sehra Khaali Hai
Chal Basti Mein Banjara Ban, Chal Nagri Mein Saudagar Ho
Woh Raatein Chaand Key Saath Gaein, Woh Baatein Raat Key Saath Gaein
Abb Sukh Key Sapney Dekhein Kya, Jabb Dukh Ka Sooraj Sar Per Ho
Abb Insha Ko Bulana Kya, Ab Pyaar Key Deep Jalana Kya
Jabb Dhoop Aur Chaya Aik Sey Hoon, Jabb Din Aur Raat Barabar Ho
Meray mah-o-saal kay beach main koi aisaa lamha gaya nahin
Tera naam main nay liya nahi tujhay yaad main nay kiya nahin
Tera kon sa woh madaar tha jahan gardishain meri ruk gaeen
Tera kon sa woh kahyal tha jisay main nay daman diya nahin
Mera safar adhoora hi reh gaya mujhay manzilon ka pata nahin
Main humsafar usay maana tha kabhi saath jis nay diya nahin
Yahan har qadam pe hain haadsay ye khayal hi dil ko thaka gaya
Yeh safar keh siraat-e-taaveel hai abhi aik qadam taak utha nahin
Yeh meri ana ki hai sarkashi jo wasf aisay sikha gai
Main darya hoon jo gira nahi wo pahar hoor jo hila nahin
Koi aik aansoo aisa day dar-o-baam apnay saja loon main
Tujhay kya khabar meri raah main koi tara, jugnoo, diya nahin
Koi be-qarari si aaj bhi meray dil main khaar hai khenchti
Koi dard tha jo daba nahi koi aansoo tha jo baha nahin
Usay baad barson ke dekh ke yunhi aik lamhay ko kya huwa
Koi saans thi jo chali nahin koi zabt hai jo huwa nahin
Yun laut aao keh ek baar phir say mera wajood
Tumharay saath kay rangon main kuch is tarah rangay
Keh jaisay raat main phailay sagar ki koi tarapti leher
Haseen chand ki roshni main behkay.
Yun laut aao keh ek baar phir say mera ehsaas
Tumharay saath keh naghmon kay seher main doobay
Keh jaisay madhur sargoshi ka khoya hua saaz
Apnay suron kay jaltarang say khud hi kehkay
Yun laut aao keh eb baar phir say mera jeevan
Tumharay saath ki narm lau say yun chamkay
Keh jaisay khoi hui titli kay udas jeevan main
Kaheen say ek aas ka jugnoo sitara chamkay
Yun laut aao keh ek baar phir suroor ka rang
Tumharay saath kay haseen palon say yun mehkay
Keh jaisay shaam kay aasmaan pay phaili koi shafaq
Zameen o aftab kay milan say sharma ker damkay