Na hua naseeb qarar e jaan, hawas e qarar bhi ab nahi
Tera intezar bohat kiya, tera intezar bhi ab nahi
Tujhe kya khabar mah o saal ne hamain kesay zakhm diye yahan
Teri yaadgar thi ik khalish, teri yaadgar bhi ab nahi
Na gilay rahay na guman rahay, na guzarishain hain na guftogu
Woh nishat e wada e wasl kya, hamain aitabar bhi ab nahi
Kisay nazr dain dil o jaan baham keh nahin woh kagul kham ba kham
Kisay her nafs ka hisab dain keh shameem e yaar bhi ab nahi
Woh hujoom e dil-zadgan keh tha, tujhe muzdah ho keh bikhar gya
Teray aastanay ki khair ho, sar e raah ghubar bhi ab nahi
Woh jo apni jaan se guzar gaye, unhain kya khabar keh sheher main
Kisi jaan nisar ka zikr kya, koi sog-war bhi ab nahi
Nahin ab to ehl e junoon main bhi, woh jo shoq sheher main aam tha
Woh jo rung tha kabhi ku ba ku, sir e ku-e-yaar bhi ab nahi
Jaun Elia

0 comments:
Post a Comment