Atish ho aur maarka e khair o shar na ho
Parwangi abas hai jo raqs e sharar na ho
Yeh kaar e ishq bhi hai ajab kaar e na tamam
Samjhain keh ho raha hai magar umr bhar na ho
Ik lamha e kamal keh sadiyon pe phail jaye
Ik lehza e wisal magar mukhtasir na ho
Ik dasht e bay dili main lahu bolnay lagay
Aisay main aik khwab keh tu ho magar na ho
Ik yad e khush jamal jawaz e hayat hai
Ik mehwar e khayal hai, yeh bhi agar na ho
Ik baat ki charhaai keh kham tootnay lagain
Kehnay ka shoq ho magar itna hunar naho
Aisa bhi kya keh yaad lahu main ghuli rahay
Aisa bhi kya keh umr e guzashta basar na ho
Yun khat e hijr khenchiye apne aur us ke beech
Dono taraf ki saans idhar se udhar na ho
Dono taraf ka shor barabar sunai day
Dono taraf kisi ko kisi ki khabar na ho
Ik sham jis main dil ka saboocha bhara rahay
Ik naam jis main dard to ho, is qadar na ho
Shaam aaye aur ghar ke liye dil machal uthay
Shaam aaye aur dil ke liye koi ghar na ho
Akhtar Usman

0 comments:
Post a Comment