twitter

Yehi gar zid tumhari hai
Chalo hum bhool jaatey hain!
Sabhi waadey, sabhi qasmain
Mohabbat ki sabhi rasmain
Nahi manzoor jo tum ko
Karain ranjoor jo tum ko
(Tumhaari shadmani hi azeez-az-jaan hai jab to
Tumhain phir tokna kesa?
Zyaan-o-sood ki baabat bhala phir sochna kesa)
Chalo hum bhool jatey hain
Mohabbat ki ryazat main
Wafaon ki musaafat main
Qadam kis ke kahan behkey, hui kis sey kahan larzish
Keh dar aai achanak say hamari aankhon main barish
Aur us ki tez boondon ne
Kisi tezaab ki soorat
Nishaan-e-manzil-e-dil hi jala dala, mita dala
Magar jaanan
Kahan aasan hota hey?
Jigar ka khoon ashkon mein badalna aur … bahaa dena
Khas-o-khashak chun chun kar
Nasheman ik banana aur … usi ko phir jala dena
Jawan sapnon ki laashon ko
Daroon-e-jaan chuhpaa kar … muskura dena
Khiza’ein paalna khud mein, baharain baant’tey phirna
Kahan aasaan hota hey..?
Buhat mumkin hey hum bhi haar hi jaein
Jawan hai zabt jo ab tak
Muqabil ghum ke aaey..aur Dhaey jaaey
Aur is mein bhi ta’ajub kya
Tumharey laut aaney ki, bachi ho aas jo koi
Nawa-e-be-zubaan bun kar
Sisak kar phir sey utthey aur..tum tak bhi pohonch jaaey
So tum sey ye guzarish hai
Tab ik ehsan tum karna
Palat kar dekhna yun sard nazron sey
Ke jo bhi aas zinda ho
Usay yaksar mita dena
Hamain pathar bana dena

Ishtiaq Zain
Saturday, April 12, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: