twitter

Abhi kya kahain abhi kya sunain
Keh sar-e-faseel-e-sukoot-e-jaan
Kaf-e-roz-o-shab pay sharar numa
Wo jo harf harf charagh tha
Usay kis hawa nay bujha diya
Kabhi lab hilain gay to poochna

Sar-e-sahar-e-ahad-e-visaal-e-dil
Wo jo nikhaton ka hujoom tha
Usay dast-e-mauj-e-firaaq nay
Tah-e-khaak kab se mila diya
Kabhi gul khilain gay to poochna

Abhi kya kahain abhi kya sunain
Yun hi khwahishon kay fishaar main
Kabhi bay sabab kabhi bay khalal
Kahan kon kis se bichar gaya
Kisay kis nay kaisay ganwa diya
Kabhi phir milain gay to poochna

Mohsin Naqvi

Saturday, April 12, 2008 | 0 comments | Labels:

0 comments: