twitter

Zindagi ke rastoon main
Itni gard urti hay
Faslay se daikhain tu
Kuch nazar nhi ata
Rah ki nishani bhi
Manziloon ke chehray bhi
Sab hi doob jatay hain
Gard ke samander main
Jis jaga se niklay thay
Hamsafar ke rastoon per
Wahan pohanch k daikhain tu
Har taraf udasi hay
Har taraf andhera hay
Kabhi nazar nhi aay
Be nishaan rastoon main
Wahmay tu atay hain
Apna ghar nhi ataa

Amjad Islam Amjad
Friday, April 22, 2016 | 0 comments | Labels:
Tu mera naam na poocha kar
Main teri zaat ka hissa hoon.
Main teri soch main shamil hoon
Main teri neend ka qissa hoon
Main terey khuwaab ka hasil hoon
Main teri yaad ka mehwar hoon
Main teri sans ka jhonka hoon
Tu manzar main pas-e-manzar hoon
Main lamhaa hoon main jazba hoon
Jazbay ka koi naam nhi
Tu mera naam na poocha kar.

Mohsin Naqvi
Thursday, April 21, 2016 | 0 comments | Labels:
Aaj ki raat bohat sard bohat kali hai
Teergi aisay lipti hai hawa e ghum say
Apnay bichray huay sajan say mili hai jesay
Mashal e khwab kuch is taur bujhi hai jesay
Dard nay jagti aankhon ki chamak kha li hai
Shauq ka naam na khwahish ka nishan hai koi
Barf ki sil nay meray dil ki jagah pa li hai
Ab dhundalkay bhi nahi zeenat e chashm e bay khwab
Aas ka roop mehel dast tahi hai jesay!
Bahr e imkaan pay kaai si jami hai jesay!
Aisay lagta hai keh jesay mera mamoora e jaan
Kisi sailab zada ghar ki zuboon-hali hai
Na koi dost na tara keh jisay batlaoon!
Is tarah toot kay bikhra hai ana ka sheesha
Mera pindaar meray dil kay liye gaali hai
Nabz taaron ki tarah doob rahi hai jesay
Ghum ki pinhai samandar say bari hai jesay
Aankh sehraon kay daman ki tarah khali hai
Dasht e jaan ki taraf dekh ke yun lagta hai
Maut is tarah ke jeenay say bhali hai jesay
Teergi chatnay lagi, waqt rukay ga kyun ker
Subh khursheed liye dar pe khari hai jesay
Daagh e ruswai chupanay say nahi chup sakta
Yeh to yun hai keh jabeen bol rahi hai jesay

Amjad Islam Amjad
| 0 comments | Labels:
Mujhay us say yeh kehna tha
Tumhi to ho, meray dil nay
Jisay dekha tha khwabon main
Jisay manga duaon main
Thi dil ko aarzuu jis ki
Mujhay thi just-o-ju jis ki
Tumhi to ho, Tumhi to ho
Magar kesay kahoon us say?
Abhi is soch main gum tha
Achanak jab kahan us nay
Yunhi baton hi baton main
“Kisi ka naam likha hai
Meri qismat kay mathay per
Badalna jis ko namumkin
Bhalay hum dost hain lekin
Hamara sath hai itna
Keh jesay bhool per shabnam
Yehi taqdeer hai apni
Juda ho jain gay hum tum
Bohat thoray hain din baqi
Piya ghar jab main jaoon gee
Nai dunya basaoon gee”
Bazahir hans kay tub main nay
Kaha us say mubarak ho
Nai manzil, nai dunya
Tumjhay sari teri khushiyan
Magar ik cheekh si uthi
Kahin meray hi seenay say
Keh jesay aakhri hichki
Lab e beemar say niklay
Laga mujh ko, meray andar
Keh jesay mar gya koi

Ishtiaq Zain
| 0 comments | Labels:
Main khayal hoon kisi aur ka, mujhay sochta koi aur hai
Sar e aaina mera aks hai, pas e aaina koi aur hai

Main kisi ke dast e talab main hoon to kisi ke harf e dua main hoon
Main naseeb hoon kisi aur ka, mujhay mangta koi aur hai

Ajab aitabar o bay aitabari kay darmiyan hai zindagi
Main qareeb hoon kisi aur kay, mujhay janta koi aur hai

Meri roshni teray khud o khaal say mukhtalif to nahi magar
Tu qareeb aa tujhay daikh loon, to wohi hai ya koi aur hai

Tujhay dushmanon ki khabar na thi mujhay doston ka pata na tha
Teri dastan koi aur thi, mera waqea koi aur hai

Wohi munsifon ki riwayatain, wohi faislon ki ibaratain
Mera jurm to koi aur tha, peh meri saza koi aur hai

Kabhi laut aain to poochna nahi dekhna unhain ghaur say
jinhain rastay main khabar hui keh yeh rasta koi aur hai

Saleem Kauser
Sunday, April 17, 2016 | 0 comments | Labels:
Meray ghar say teray dyar tak
Yeh musafatain raheen umr bhar
Keh bohat taweel thay rastay
Keh bari kathin thi raahguzar
Meray humnafs mujhay bhool ja
Mujhay chor day meray humsafar
Main hoon paa shikasta dareeda dil
Mujhay sath lenay ki zid na ker
Na wo walwalay na wo aarzu
Na gham e tarb na gham e mehn
Meray hoslay to buland thay
Magar hadsaat thay dil shikan
Wo nawazishain meray haal per
Wo tashaffiyan ba-lab-e-sukhan
Teri maey bhi saqi buri na thi
Main ne jaam tora hai aadatan
Yehi teergi-e-shab-e-alam
Meri ghumgusar hai dosto
Mujhay ab talash-e-sahar nahi
Mujhay ab naveed-e-sahar na do
Gaye din keh maqtal-o-daar say
Thi hamain umeed-e-hayat-e-nau
Nahi justuju-e-baqa mujhay
So mujhay qaza ki khabar na do
Yeh to qismaton ka tazad tha
Keh naseeb apna bigar gya
Teri aankh tak main nami na thi
Mera dard jaan se guzar gya
Wo jo qehqahon ki talash main
Gham-e-do jahan say guzar gya
Wo jo tha mujassam zindagi
Wo hi shakhs chupkay say mar gya

Talat Farooq
Saturday, April 16, 2016 | 0 comments | Labels:
Tum sachay barhaq sa’een
Sar say le ker peron tak
Dunya shak hi shak sa’een
Tum sachay barhaq sa’een
Ik behti rait ki dehshat hai
Aur reza reza khwab meray
Bus aik musalsal hairat hai
Kya sahil, kya gardaab meray
Is behti rait kay darya paar
Kya janay hain kya kya asraar
Tum aaqa charon tarfon kay
Aur meray char taraf deewar
Is dharti say aflaak talak
Tum data, tum ho palan haar
Main galiyon ka kakh sa’een
Tum sachay barhaq sa’een
Sar say le ker peron tak
Dunya shak hi shak sa’een

Kuch bhaid azal say pehlay ka
Kuch raaz abad ki aankhon kay
Kuch hissa hijr sarapay ka
Kuch bheegay mausam khwabon kay
Koi chara meri pasti ka
Koi daru aankh tarasti ka
Bus aik nazar say jurr jaye
Aina meri hasti ka
Azlon say rahain takta hai
Ik mausam dil ki basti ka
Us ki oar bhi tak sa’een
Tum sachay barhaq sa’een
Sar say le ker peron tak
Dunya shak hi shak sa’een
Tum sachay barhaq sa’een

Main aik bhikari lafzon ka
Yeh kaghaz hain kashkol meray
Hain malba zakhmi khwabon ka
Yeh rasta bhatkay bol meray
Yeh arz o sama ki pinhaai
Yeh meri adhoori beenai
Kya dekhoon, kesay dekh sakoon
Yeh hijr ki jalwa aarai
Yeh rasta kalay koson ka
Aur ik musalsal tanhai
Mangoon ik jhalak sa’een
Tum sachay barhaq sa’een
Sar say le ker peron tak
Dunya shak hi shak sa’een
Tum sachay barhaq sa’een

Amjad Islam Amjad
Saturday, April 9, 2016 | 0 comments | Labels:
Wo Buland-Baam Taaray, Wo Falak-Maqam Taaray
Jo Nishaan De Ke Apna, Rahay Be-Nishaan Hamesha
Wo Haseen, Wo Noor-Zaaday, Wo Khala Ke Shahzaday
Jo Hamari Qismaton Par Rahay Hukmran Hamesha
 Mere Ahd Ke Haseenon, Wo Nazar-Nawaz Taaray
Mera Daur e Ishq Parwar Tumhain Nazr Day Raha Hai
Wo Junoon Jo Aab-o-Aatish Ko Aseer Kar Chuka Hai
Wo Khala Ki Wus’aton Say Bhi Khiraj Le Raha Hai

Mere Paas Rehnay Walon, Mere Baad Aanay Walon
Mere Daur Ka Yeh Tohfa, Tumhain Saazgar Aaye
Kabhi Tum Khala Se Guzro Kisi Seem-Tan Ki Khatir
Kabhi Tum Ko Dil Mein Rakh Kar Koi Gul-O-Zaar Aaye
Sahir Ludhianvi
| 0 comments | Labels:
Mauj der mauj hawa
Dur kashti main diya
Mausam e khwab numa
Baadbaan khol diya
Shaam hota hua din
Raat hoti hui shaam
Shaam aur raat ke beech
Hum kahin mehv e kharam
Uska simta hua jism
Meray phailay huay haath
Uski bikhri hui zulf
Meray shanoon pe thi raat
Baat kertay huay lab
Un mein thehra hua naam
Kham e abru se udher
Bhaid kholay huay chashmMujh se kehti hai, hawa hai pani
Kabhi kehti hai keh pani mein hai aag
Kabhi israr keh hai aag mein phool
Aur kabhi phool mein rangon ki talash
Rang, khushbu mein milati hai kabhi
Mujh ko dunya sai chupanay ke liye
Aaina ru nazar aati hai kabhi
Kabhi roti hai bharay shehar ki veerani per
Aur kabhi hansti hai khud apni hi nadani per
Pehlay woh mujh ko pareshan bohat kerti hai
Phir dukhti hai bohat meri pareshani perPhir sawalon ka hujoom
Kya hain yeah mah o najoom
Poochti hai keh bata
Waqt ka unt hai kya
Jabr kehtay hein kisay
Ikhtiyari koi shay
Baad az maut hayat
Kesay guzray gi woh meray sath
Itna maloom to ho ga tujh ko
Chaak daman kahan siltay hein
Chahnay walay kahan miltay hein
Jism mein rooh ka hona kya hai
Zindagi kya hai khilona kya hai
Kya tagayyur hai pas e vehm o yaqeen
Hansna kya cheez hai rona kya hai
Barf pani hai keh aag
Abr, barish hai keh raag
Raag, aahang bhi hai
Aaina, sang bhi hai
Ishq bhi rog hai kya
Rog mein liptay huay
Teray mairay siwa
Aur bhi loag hein kya
Tu mujhay kuch to bata
Meri sunta hai bohat
Kabhi apni bhi suna
Janay kya chahta hai
Bhaid khulta hi nahi
Roz milta hai mujhay
Roz milta hi nahi
Kya muhabbat hai hamari phir bhi
Itni qurbat hai hamari phir bhi
Woh mukarta na kaha manta hai
Itni vehshat hai keh dil janta hai
| 0 comments | Labels:
Ghanay jangalon ke safar pe tha woh jo muddaton se chala hua
Kaheen raat orrh ke so gaya woh janam janam ka thaka hua

Nai dastaan shuru hui keh usi kahani ka baab hai
Wohi karbala hai, hussain phir se ghaneem mein hai ghira hua

Meri justuju ko kamal day mujhe shak ke sanchay main dhal day
Meri por por main zehr bhar main hoon amriton ka dasa hua

Wohi shola apnay wujood ka wohi lums phir say naseeb kar
Teri aag phir say bharrak utthay keh alaao kab ka bujha hua

Mujhay izn ho keh main ji uthun mujhe izn ho keh main mar sakoon
Aey khuda e zinda bus aik kun main hoon dono samt bata hua

Koi chand dhar mere haath pur kabhi mehr e taban saja koi
'Yeh charagh koi charagh hay na jala hua na bujha hua'

Teray sab hawalay hain motabar tera naam sab say buland hay
Tu 'Jamal' day kay nishan day, main hoon harf harf mita hua

Jamal Sheikh Jamal

Wednesday, October 14, 2015 | 0 comments | Labels: